Sarfaroshi kii tamannaa ab hamaare dil mein hai
Dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil mein hai
Ek se karataa nahin kyon dusaraa kuchh baat-cheet
Dekhtaa hun main jise woh chup teri mehfil mein hai
Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar
Ab teri himmat ka charchaa gair kii mehfil mein hai
Sarfaroshi kii tamannaa ab hamaare dil mein hai
Dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil mein hai
Waqt aane de bataa denge tujhe aye aasamaan
Hum abhii se kyaa bataayen kyaa hamaare dil mein hai
Kheench kar laayee hai sab ko qatl hone ki ummeed
Aashiqon ka aaj jamaghat koonch-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil mein hai
Hai liye hathiyaar dushman taak mein baithaa udhar
Aur hum taiyyaar hain seena liye apnaa idhar
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai
Haath jin mein ho junoon katate nahin talvaar se
Sar jo uth jaate hain vo jhukate nahin lalakaar se
Aur bhadakegaa jo sholaa-saa hamaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai
Hum to nikale hii the ghar se baandhakar sar pe kafan
Jaan hatheli par liye lo barh chale hain ye qadam
Zindagi to apnii mehamaan maut ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai
Yuun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar-baar
Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inqilaab
Hosh dushman ke udaa denge hamein roko na aaj
Duur rah paaye jo hamse dam kahaan manzil mein hai
Sarfaroshi kii tamannaa ab hamaare dil mein hai
Jism bhi kya jism hai jisamein na ho khoon-e-junoon
Kya wo toofaan se lade jo kashti-e-saahil mein hai
Chup khade hain aaj saare bhai mere khaamosh hain
Na karo to kuchh kaho mazhab mera mushkil mein hai
Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai
Dekhanaa hai zor kitnaa baaju-e-qaatil mein hai