What's new

Panama leak Case Proceedings - JIT Report, News, Updates And Discussion

Status
Not open for further replies.
pml.jpg
 
. .
.
Waisay I don't know where is the slot information provided. All I can see that the SC will start at 9:00 am and that's it.

By the way, SCL 130 bhi upload ho gaee hai.. but it is not opening in my browser.

Mera khyal hai ke shuru main jo 9:00 am likha hai...it applies to all the cases in this supplementary cause list

SCL 130 main CJ Saqib Nisar ke kisi case ka zikr hai :( :( :(

Mujhe lagta hai ke is week bhi faisla nahi aana :( :( :( lagta hai ke humein is case ke verdict ke baaray main bhool jana chahye, dawn leaks ki tarah... Samajh nahi aaraha bilkol ke judges kia chah rahay hain?

Main ne twitter par parha ke shayad Sheikh Rashid ne aaj kaha hai k 10-15 din main faisla aayega??? :rolleyes::rolleyes:

Waisy tu SR ki bhi aksar predictions ghalat hoti hain...lekin even is not expecting a verdict soon? :( :(
 
.
Main ne twitter par parha ke shayad Sheikh Rashid ne aaj kaha hai k 10-15 din main faisla aayega??? :rolleyes::rolleyes:

Main ne aap ko pehlay bhi bataya tha ke sheikh rasheed 1st Dec se 15 din ki baat kar rahay hain.. :lol:

Jis din faisla aayega uss din bhi sheikh rasheed ki wohi tape chale gi "10 se 15 din hain faisla aanay main"
 
Yeh tu theek hai... Jisy main ne bhi kaha...ke his most predictions are wrong..lekin abhi jab mostly log...is week verdict expect karrahay hain...why is he still saying 10-15 days?

Anyways...something inside me..tells me....tht verdict isnt coming this week either
 
Last edited:
.
Yeh tu theek hai... Jisy main ne bhi kaha...ke hhis kost predictions are wrong..lekin abhi jab mostly log...is week verdict expect karrahay hain...why is he still saying 10-15 days?

Anyways...something inside me..tells me....tht verdict isnt coming this week either

Maybe you are right.

There are two possibilities why bench is delaying the verdict..

1) Faisla disqualification ka hai, aur judges buhat ziada ehtiaat se detailed verdict likh rahay hain ke ye faisla "kala faisla" na kehlaey future main..

2) Wazeer e Azam baizzat bari ho rahay hain (due to lack of proofs connecting him to Panama), and SC dada aur poton ko qasoor waar tehra rahi hai.. Delay iss liey kia ja raha hai ke awam ki intensity zara kam ho, PM 10-15 jalsay karlain, awam jalson main waday waeed dekh kar Panama ko thora halka lena shuru kar dain takay yeh wala verdict accept honay main koi diqqat na ho..
 
.
Allah ka waasta.....judges kisi tarah bataa dein...ke akhir woh chahtay kia hain? Is suspense se woh kia hasil karna chahtay hain ke date tak nahi bataa rahay...aur ppori qoum ko suspense aur bechaini main mubtila kar rakha hai?

Delay se tu aisa lag raha hai ke pata nahi..kia faisla likh rahay hain? Aur pata chalay ke jaisy expected hai ke commission banaa dein ge aur PM ko suspend kar dein ge.... Ye verdict...within 2 weeks tu acceptable hota....lekin agar itna ziadaa delay ke baad bhi yehi faisla dena hai..tu delay ki wajaah kia hai? Delay se lag raha hai ke jaisy pata nahi kitna soch bachaar karrahy hain aur kia tabahi faisla dein ge...lekin agar nikla phir wohi commission.. :( tu poochna justified hoga ke aakhir itna delay kiun tha?

Maybe you are right.

There are two possibilities why bench is delaying the verdict..

1) Faisla disqualification ka hai, aur judges buhat ziada ehtiaat se detailed verdict likh rahay hain ke ye faisla "kala faisla" na kehlaey future main..

2) Wazeer e Azam baizzat bari ho rahay hain (due to lack of proofs connecting him to Panama), and SC dada aur poton ko qasoor waar tehra rahi hai.. Delay iss liey kia ja raha hai ke awam ki intensity zara kam ho, PM 10-15 jalsay karlain, awam jalson main waday waeed dekh kar Panama ko thora halka lena shuru kar dain takay yeh wala verdict accept honay main koi diqqat na ho..

Baizzat bari tu ho nahi saktay...clean chit hargiz nahi mil sakti....chahy judges jo marzi kar lein..unless they are total sell outs... Daada aur poton ko SC sirf tab qusoorwar tehra sakti ahi, if they accept qatari letter... I dont think tht is legally possible for the judges.....Jin logon nr PM ke waaday waeed dekh kar panama ko halka lena hai, aur PM ke waadon par yaqeen karna hai, woh abhi bhi karrahy hain...and they are none other than patwaris... Woh panama ka verdict PM k against aanay par bhi PM ko har haal main support karein ge... Baqi log PM jo bhi kar lein, us ka yaqeen nahi karna..aur veridct PM ki favor main kisi haal main accept nahi karein ge....

Infact this delay is already runinning credibility of judges on social media specifically and even talk shows have started discussing, talks of NRO attempts behind the scenes.... So for their own credibility, judges should announce verdict soon.... Ab tu yeh haal hai ke agar direct disqualification na hui, tu log kahein ge ke judges bik gaye,.even if thts not the case
 
Last edited:
.
since 1 month the players are negociating a deal/ NRO
the process is almost complete now for panama case
zardari is back
ayyan ali gone to spain
dr asim will be on bail within 1 month
n about the rest
well the pakistan i nation can wear the pajama/panama.
long live corruption
to me for every bit of in justice done by justice, in pakistan
remedie............... take out 1 brick for every in justice , given by justice from the court buildings
its mostley rubble. justice sold........... get ready for it........

If you're going to kick authority in the teeth, you might as well use two feet.
 
.
Baizzat bari tu ho nahi saktay...clean chit hargiz nahi mil sakti....chahy judges jo marzi kar lein..unless they are total sell outs...

Bilkul ho sakta hai aisa.. aur woh bhi qanoon ke mutabiq.. Bas yeh baat aur hai ke ainda kafi log SC ko laundry banaein gay.. Internationally, hamari SC ki value bilkul zero hojaegi.. lekin sawal yeh hai ke kia aisa maazi main nahi hua? Bilkul hua hai.. Jab bhutto ko phansi di thi (although I hate bhutto), tou qanoon ki dhajjian bikhair di gaee theen.. aaj bhi aisa ho sakta hai..

talks of NRO attempts behind the scenes....

NRO ka tou nahi pata.. lekin paisa tou bohat phainka gaya hai.. aur woh bhi bag bhar bhar ke...
 
.
2018 ELECTION BUS COMINING TO PAKISTAN

The oppressed are allowed once every few years to decide which particular representatives of the oppressing class are to represent and repress them.
 
.
Bilkul ho sakta hai aisa.. aur woh bhi qanoon ke mutabiq.. Bas yeh baat aur hai ke ainda kafi log SC ko laundry banaein gay.. Internationally, hamari SC ki value bilkul zero hojaegi.. lekin sawal yeh hai ke kia aisa maazi main nahi hua? Bilkul hua hai.. Jab bhutto ko phansi di thi (although I hate bhutto), tou qanoon ki dhajjian bikhair di gaee theen.. aaj bhi aisa ho sakta hai..

NRO ka tou nahi pata.. lekin paisa tou bohat phainka gaya hai.. aur woh bhi bag bhar bhar ke...

@bold... Qanoon ke mutabiq nahi hosakta.... A complete clean chit is not possible for Nawaz Sharif, whatsoever.. Ziada se ziada ye hosakta hai ke commission ban jaye aur PM ko suspend bhi na kiya jaaye... This can be the most favorable decision for Nawaz Sharif, where he is not even asked to step down.. Lekin complete clean chit not possible.. Us ke liye qatari letter accept karna hoga, which is not legally possible.. Qatari letter sirf is condition main acceptable hosakta hai, when all judges in this bench are complete sell outs...

Paisa phenkna bhi tu NRO ki hi ek form hai... I think we already know the division between judges.. Advocate Ijaz Afzal is already PM man.... Tu un par tu paisa lagany ki bhi zuroorat nahi... Rest, i am not sure, if it will work on them... Hopefully not
 
Last edited:
.
DOES ANY ONE REMEMBER DAWN LEAKS??????????????????
ONLY 5 DAYS WERE GIVEN BY PAK ARMY TO NAWAZ SHARIF FOR INQUIRY.
WE ARE STILL WAITING FOR THOSE 5 DAYS TO END........... STILL COUNTINIG
 
.
DOES ANY ONE REMEMBER DAWN LEAKS??????????????????
ONLY 5 DAYS WERE GIVEN BY PAK ARMY TO NAWAZ SHARIF FOR INQUIRY.
WE ARE STILL WAITING FOR THOSE 5 DAYS TO END........... STILL COUNTINIG

Bhai.. Kabhi kabhi mujhe aap bilkol apni tarah hi lagtay hain.. You sre right.. Our frustration is very justified
 
. .
Status
Not open for further replies.

Pakistan Defence Latest Posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom