PakSword
MODERATOR
- Joined
- Dec 6, 2015
- Messages
- 19,505
- Reaction score
- 103
- Country
- Location
Allah na kary ke Mian Sanp ke haqq main faisla aaye.. Waisy ye tu aap ne theek kaha ke faislay ke baad bhtt ronaq lagay gi..... Waisy mera khyal hai ke ab 3 judges Mian sanp ke favor main faisla de bhi nahi saktay... Justice Khosa aur Gulzar ke verdict ki wajah se..ab inn par bhtt pressure hai.. Esp Justice zkhosa ne jitna harsh verdict likha hai....uske baad aur JIT ki report ke baad bhi agar 3 judges ne Mian sanp ke haqq main faisla de diya... Tu ye public main bhtt ziada badnaam hojayein ge.. Inhein kahin chupnay ki jagah nahi milay gi.. Aur agar JIT ki report public hogayi...uske baad tu ye 3 judges kahin nahi chup sakein ge.. Abhi tu JIT ki report ka sahara le liya tha pehlay..aur 2 months sab ne wait kar liya.. Lekin is arsay main sharif family ka jo conduct raha hai..judges, JIT ko dhamkaana..is sab ke baad bhi agar ye judges PM ke favor main faisla dein ge tu inki apni credibility bilkol zero hojayegi... Justice Khosa aur Gulzar ki wajah se..in par pehle hi bhtt pressure hai
Justice Ijazul Ahsan tu..am almost sure ke woh disqualify kar hi dein ge.. So not much worried
Waisy jaisy pehle hum ne 2 months..ek ek din guzar kar intezar kiya tha.. Ab phir wohi din wapis aajayein..jab ek ek din gin kar intezar kartay thay
Waisy is sab ke baad bhi 1 month se pehle tu panama case ka final faisla nahi aayega.. SC ek nornal case main bhi 1-2 months le letay hain.. Lahore high court main sugar mills walay case ka abhi tak faisla nahi aaya.. 1 month se upar hochuka hai.. So, 2 months is almost a routine in our courts.. Us ke baad hi faisla aata hai.. Hnm samajh rahay thay ke pehlay panama case ka faisla jo 2 months baad aaya..ye bhtt delay hua.. Lekin aisa nahi.. Ye tu shayad routine hai... Ab bhi lagta hai ke minimum...1 month intezar karna hi paray ga final verdict ke liye
Agr CJ ne aik aur naya bench bna dia pehly 2 judges ki gher mojoodgi m to phir kia hoga ?
lagta to nahi k esa karen gy CJ kion k is se to ye lagy ga k un judges ko jinhon ne NS k khilaf faisla dia tha, unko sideline kia gya h or log yehi smjhen gy k is dafa koi judicial NRO ho raha h.
Meri to ye dua h k case wapis pehly bench k pass hi jay or faisla unanimous ho against NS or pori family ko na sirf na ehl kia jay balky inke khilaf references bhi bhejy jain.
Ajkal Punjab me to bandar bant shoro ho chuki h development funds ki.
PPP ne ap sb ko yaad ho ga akhri din sundy ko bhi banks khulway thy aur aik din m billions k development funds release kiay thy.
Someone, who is related to a barrister was telling me the other day that there is a third possibility which people aren't discussing, that it may be referred to the trial court by 2:1. Implementation bench may decide with majority that trial hasn't completed yet, and they aren't satisfied with the investigations so far, and until they aren't satisfied, 5 member bench will not hear it.. 5 member bench will only sit again, once all the judges say that in their opinion, there is nothing remaining to probe to investigate..
Maza aayega..
Merey upar ghussa utarnay se pehlay yeh sun lain ke I didn't believe him.. or his barrister relative...