What's new

Panama leak Case Proceedings - JIT Report, News, Updates And Discussion

Status
Not open for further replies.
Judges ki tarah Mercedes nahi le li hogi kisi aik judge ne..

Ye kia chakkar hai? Ye panama bench main se kisi judge ka zikr hai...mercedes lenay ka?

Waisy honestly i am tired .... Mujhe nahi lagg raha ke panama verdict near future main aaraha hai... Shayd 2018 elections tak latkaana chahtay hain

I am soo seriously disappointed from Justice Khosa and his bench.. Justice delayed is justice denied... Pata nahi..kon se saal ka mid april tha? Kon se pen se likha jaaraha hai verdict ke abhi tak khatam nahi horaha... Ab tu lagta hai ke inhon ne bhi koi backdoor deal kar li hogi....
 
Last edited:
.
Ye kia chakkar hai? Ye panama bench main se kisi judge ka zikr hai...mercedes kenay ka?

Waisy honestly i am tired .... Mujhe nahi lagg raha ke panama verdict near future main aaraha hai... Shayd 2018 elections tak latkaana chahtay hain

I am soo seriously disappointed from Justice Khosa and his bench.. Justice delayed is justice denied... Pata nahi..kon se saal ka mid april tha? Kon se pen se likha jaaraha hai verdict ke abhi tak khatam nahi horaha... Ab tu lagta hai ke inhon ne bhi koi backdoor deal kar li hogi....

Nahi kisi aur case ki misaal de raha hun.. Panama ki nahi..

Panama verdict should be out in 3-4 days in shaa Allah.. Mujhay tou ummeed hai ke acha hi hoga... ittefaq se yeh SC achi aayee hai, kafi arsay baad..
 
Kon acha hai.... Kon bura? Kuch pata nahi... Mid april ki date tu kal guzar chuki..... Ab bhi dekhtay hain ke is week aata hai ya nahi? Agar is week nahi aaya...then i will not wait...Is par bhi dawn leaks ki tarah sabar kar lein ge..ke shayad is par bhi koi deal hogayi ho..ya shayd Justice Khosa bhi naram dil aadmi nikal aayein... Honestly..this is the last week ..i am waiting.. Phir beshak na aaye...
 
. . . .
Aapki aur meri supreme court ne kaha hai ke elections theek thay.. thori si irregularities theen.. Main tou SC ki baat manunga..

Chalain thori der ke liey maan letey hain election system was not working up to the standard, kia Jamaat e Islami, ya Imran Khan ne PM banna tha? We must accept that NS was the most popular leader in 2013, and probably still is.. Abb keh dain qasoor Army ka hai iss main..

NRO uss waqt kia gaya tha jab aap ki awam Musharraf ke khilaaf sarkon pe aagaee thee.. Uska survive karna mushkil hogaya tha.. Despite so many bad qualities, Musharaf was dealing with economic issues quite efectively.. But it was your and my awaam jo sarkon pe aagaee aur theek thaak banday marnay lagay.. NRO tou hona hi tha.. aap ki awam chahti thi ke benazir aur nawaz shareef ko apnay upar sawar karain.. aur aisa hi hua.. abb gham kaisa.. they got what they deserved..

As I said earlier, NRO nahi hona tha agar awam nahi chahti..

Yes, awaam international players ke haathon kheltay hain. aap ki parties ki funding poori duniya se hoti hai, aur sadly, aapki awaam OLX ki tarah qeemay walay nanon ke liey bikti hai.. aik din kisi hukumraan ke khilaaf ehtijaaj karna ho, uss ki qeemat aik naan..

Duniya main sab se ziada international players ke liey awaam ko control karna jitna Pakistan main easy hai shayad ethopia jaisay mulk main bhi nahi hoga.. Hamaray tou pait bharay log bhi biktay hain..

Iss main PA ka qasoor hai? Aap ka education department hai, jaein ehtejaaj karain..

Aapke aur mere dimaagh main baat tou yehi hai ke Martial Law lagna chahiey.. main tou iska 100% supporter hun.. kyunke muamlaat isi tarha chaltay rahaingay agar nahi laga tou.. main tou openly yeh baat karta hun ke Pakistan ke masail ka hal Martial law hai.. koi manay ya na manay.. lekin aaj hukumranon ne woh chance bhi nahi rehnay diya.. now the country can't survive with all those embargoes that come with Martial Law..

Koi tareeqa nahi hai... koi bhi tareeqa nahi hai.. Technocrats ki government kon laega? PA? phir awaam sarkon pe hogi do saal ke baad qeemay walay naan khanay ke baad tou phir koi NRO kar ke barracks main wapis jana parega..

Achi deals nazar nahi aateen.. Iss liey count karna itna asaan nahi hota.. Mostly related to foreign affairs and defense budget.. You need money to survive against one of the largest importers of arms... If government says that they will cut the military spending, Army has to come in with something to get something...

Aap ke barabar main Rafael ki deals horahi hain.. aur aap ke wazeer e khazana Asian Dev Bank ke board of directors main se hain.. aap ki spending ka bara zareeya soodi qarzay hain, jinhain aap ke wazeer e khazana bari aasani se kamzr case bana ke reject karwasaktay hain... aap ko continuous funding chahiey.. to fight with insurgents, to keep minimum deterrence etc.

aap nahi chahti hongi NRO... more than 75% awam tou yehi chahti thee aur unhon ne pichlay 10 saalon main unhi ko muntakhib kia jin ko woh chahtay hain.. sorry but you can't close your eyes and say that awam tou buhat achi hai lekin yeh hukumraan unkay upar kaheen aur se zabardasti musallat kardiey jatay hain.. I don't buy this argument..

Awaam jisay chahti hai, jis se muhabbat karti hai, usi ko lati hai.. 10-20% dhandli se results tabdeel nahi hotay.

Kufar ka nizaam chal sakta hai par zulm ka nahi, dont blame the poor uneducated public, jis society main insaaf khatam hojaye or punishment ka koi tassavur na ho jahan jaza or saza ka concept hi khatam hojaye wahan zardari or nawaz jesay hi log bar bar elect hotay rahengay, courts are there to punish the culprits ruthlessly, qanoon or saza ka khauf jab kisi society main khatam hojaye tu wahan wohi hota hai jo is waqt syria, yemen, or iraq main ho raha hai and that day is not far for Pakistan (God forbid).
 
That day is almost here!! See we are nothing but slaves, slaves of zardaris miyans and generals! People on this forum praise PA all the time and anyone who dare criticises the might army is banned!

Its my "assumption" that PAs or military job is to protect Pakistan against not just external but internal threats as well and i am of the opinion that corruption is bigger internal threat to Pakistan than terrorism! So shouldnt this might army do something about it?

Boot lickers present their argument that its not PAs job and its civilian institutions job to do something about it agreed! Its not their job! But our institutions are weak full of corruption appointments are made based on politicial affiliation.so when they were in power which is what almost 60% of the time did any of the mighty army general bother fixing instituions? Please name one general who did anything against corruption!! All PA has ever done is work with qabza mafias and grabbed land!! All tey have freaking done is sign NRO and allowed zardari and nawaz to comeback and rape our motherland!! Or arm MQM who killed 100s of Pakistanis a day in biggest city of Pakistan and no one freakijf cared!

And see this is how things will continue in future as well! Zardari or ppp will lead us for 5 more years! Phalay sindh ka gas pani khaa gaya ya harami zardari ab pooray mulk ki khaye ga! Aur is mulk may 2 rs ka tattu awaam ko zaleel karay ga aur end may jab awaam weapon uthaye gee against injustice toh app ki army operation chutspa karay gee not to protect Pakistan but to to Portect Zardari!! And evebtually people will rebel against thid whole system and in their frustration will butcher each other like goats! That future is near when we will become another iraq or syria!! General mulk chor keh bhag jaye ga zardari dubai may ayyan keh mazzay lay ga! Aur boot lickers phir bhi army ki ghulami karain gay! Lols
 
.
Kufar ka nizaam chal sakta hai par zulm ka nahi, dont blame the poor uneducated public, jis society main insaaf khatam hojaye or punishment ka koi tassavur na ho jahan jaza or saza ka concept hi khatam hojaye wahan zardari or nawaz jesay hi log bar bar elect hotay rahengay, courts are there to punish the culprits ruthlessly, qanoon or saza ka khauf jab kisi society main khatam hojaye tu wahan wohi hota hai jo is waqt syria, yemen, or iraq main ho raha hai and that day is not far for Pakistan (God forbid).

South Korea main dekha tha kia hua tha?

Wahan ki awaam sarkon pe aayee thi.. Yahan awaam ka kia role hai siwaey iss ke ke 5000 rupay ke badlay vote bech dain, aur phir 5 saal rotay rahain?

Awaam apnay upar khud zulm karti hai..

Aur aik aur baat, yeh bhi hamaray hi deen main hai ke Allah hum par hamaray hi jaisay hukumraan musallat karta hai.. Aur ye bhi ke Allah uss qaum ki haalat nahi badalta jo khud apni haalat nahi badalti..

Awaam zalim ho tou hukumraan bhi zaalim aaeingay.
Awaam chor ho tou hukumraan bhi chor
Awaam uneducated tou hukumraan bhi jahil
Awaam bay deen tou hukumraan bhi bay deen..

Yehi Allah ka asool hai, Although I believe woh waqt kafi qareeb hai jab in shaa Allah hum bhi Pakistan pe fakhar karaingay, lekin aaj tak ki tareekh main woh waqt nahi aaya..
 
South Korea main log pani or CNG ke liay lines main nahi lagay hotay pora pora din, South Korea main 16 16 hours ki loadshedding nahi hoti, Pakistan main public ko basic issues main itna uljhaa dia gaya hai logon ki aadhi zindagi inhi chakkaron main guzar jati hai, the only way forward is "Strict Punishment" and a "timely justice" not the justice based on ameer and ghareeb, equal justice system for entire society uskay bagair apka mulk nahi chal sakta im afraid.
 
.
Anyone know when the verdict will be announced? Last time I heard it was delayed.
 
. .
South Korea main log pani or CNG ke liay lines main nahi lagay hotay pora pora din, South Korea main 16 16 hours ki loadshedding nahi hoti, Pakistan main public ko basic issues main itna uljhaa dia gaya hai logon ki aadhi zindagi inhi chakkaron main guzar jati hai, the only way forward is "Strict Punishment" and a "timely justice" not the justice based on ameer and ghareeb, equal justice system for entire society uskay bagair apka mulk nahi chal sakta im afraid.

Tou yeh kaam kaun karega?

Jab main kahunga ke support Martial Law, tou kuchh log mujhay boot licker ka khitaab de daingay.. Lekin Martial law se bhi kuchh nahi hoga, kyun ke jaisay hi Martial Law khatam hoga, sab cheezain undo hojaeingi aur Maryam/ Hamza ya Bilawal/ Asifa main se phir koi elect hojaega..

Aur yeh bhi kia guarantee hai ke Martial Law se cheezain theek hojaeingi Pakistan main? Aaj tak kitnay Martial Law lagay kia hua?

Bhai jaisa chal raha hai, sabar aur shukar se apna fate samajh ke accept karlo..

Jab tak hamari awaam rozi roti se nikal kar apnay future ka nahi sochay gi, aur inn ghatia siasatdaanon ko golian nahi maregi, isi tarha chalta rahega..

Aap ne apni DP dekhi hai, yeh exact situation hai qaum ki.. Kyun PA ko bura bhala kehtay hain hum sab?
 
.
Kyun ke uss ke facilitators aap ke aik pooray soobay kay chaheetay hain.. respected politicians. bilkul nahi hona chahiey unhain kuchh..
.

Really??? Just because woh facilitators power main hian ek soobay main..tu beshak woh terrorism ko facilitate bhi karein....unke khilaf kuch nahi hona chahye???
 
.
Really??? Just because woh facilitators power main hian ek soobay main..tu beshak woh terrorism ko facilitate bhi karein....unke khilaf kuch nahi hona chahye???

It was a sarcastic comment.. Of course unn ko nishaan e ibrat bana dena chahiey.. What I wanted to say ke awaam inn logon ko power main latay rahaingay.. courts in ko pardon karti rahaingi.. chahay PA inn ke upar haath dalay ya na dalay.. Jitna inn ko aap marain gey, chahay fauj maray ya police ya koi aur idara, yeh aur ziada votes ke saath aaeingay, aur unhi voters ko lootaingay.. yehi qismat hai in voters ki unfortunately..
 
.
Status
Not open for further replies.

Pakistan Defence Latest Posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom