PakSword
MODERATOR
- Joined
- Dec 6, 2015
- Messages
- 19,505
- Reaction score
- 103
- Country
- Location
Mujhe is liye lag raha hai kiun ke kisi judge ne hearing ke dauran bi zikr kiya tha ke hum khud hi is ko define kardein he....is case ke mutaabiq..something to tht effect..
Aur laws main jahan vaccum hota hai..mera khyal hai ke tab SC apni discretion use karsakta hai... Tab hi tu international laws aur cases ke referneces bhi diye jaatay hain verdicts main.. Agar sirf apnay hi available laws par faisla dena ho..ltu international cases ke reference kiun diye jaatay hain? Ke us mulk ke court ne similar case par ye verdict diya...doosray mulk ke court ne ye faisla diya? Kiun ke har mulk ke apnay laws hotay hain..ek doosray se mukhtalif....phir doosray mulkon ke cases kiun quote hotay hain verdicts main? Aisa wahan hi hota jahan kuch define karna ho...
Agar tu main verdict waisa hua..jaisy aap ne urti urti suni hai...tab i am sure ke dissenting note zuroor hoga.....is verdict main
@PakSword not.. Exactly related.......but judge ki disscretion bhi hot hai.. Jaisy ek case main, application of law k baaray main bataati hun....dependency ko tu yahan define nahi kiya gaya..lekin ek law ki interpretation/application ke case k baaray main bataati hun......Jaisy Justce Khosa ki book main ek case hai..jahan terrorism ko define kiya gaya hai... Bhtt detailed hai... He wrote tht as judge of lahore high court...Us case ke verdict ke background main unhon ne ye likha hai..ke ye jo verdict main ne likha hai..bhtt detailed hai..aur iss case par mujhe Supreme court se bhtt harsh remarks sunnay ko milay..and i knew tht at time of verdict ke aisa hoga.. Because i crtitcised few cases of Supreme court..ke terrorism ko define karnay main supreme court ne bhtt contradictory faislay diye hain..aur ek new ammendment humaray law main ki gayi hai...jis ko Supreme court ne new cases main khyal nahi rakha.. Kuch cases main woh abhi bhi puranay law ke basis par faislay de rahay hain aur kuch main new law ko apply kia hai.. Aur phir bhtt se international laws se bhi references de kar kaha tha unhon ne ..ke kiun humaray SC ki application of law..un kuch cases main theek nahi thee....
He said..phir SC ne apnay ek case main mere baaray main bhtt harsh remarks likhay thay.. But later, he said ...I got vindicated and it was very satsfying for me ke baad main SC ne meri judgement ko theek samjhaa...aur na sirf ye balke baad main meri is judgement ko as reference quote kiya..apni doosri judgements main... He even said tht i say to my friends in the Supreme court ..tht they owe me an apology for those remarks against me...Lolll...
So mera matlab ye kehnay ka hai..ke judges ki discretion hoti hai...aur bhtt matter karti hai, esp if its a larger bench of supreme court.... Is liye kabhi woh laws ko bhi dismiss karsaktay hain.... Yhan bhi woh chahein tu define karsaktay hain, dependency ko...
Maybe you are right.. Lekin upar jo aap ne bataya hai, uss main bhi aap ne likha hai "ek new ammendment humaray law main ki gayi hai jis ko Supreme court ne new cases main khyal nahi rakha.. Kuch cases main woh abhi bhi puranay law ke basis par faislay de rahay hain aur kuch main new law ko apply kia hai"..
Yehi main keh raha hun ke at least amendment tou thi.. aur judges puranay law ke mutabiq faislay de rahay thay.. Yahan tou dependency ke baaray main kuchh bhi nahi hai..
Khair Allah karay aap theek hon aur main ghalat.. Maza hi aajana hai phir tou waqai..
i have a very bad news,
It is not a bad new, it is in fact very good news.. We don't need elections on the basis of constituencies that were defined on some parties' likings or dislikings.
Some very interesting days ahead.
I hope ke agli baari EC ki ho.. Warna ye khabees phir se ulti seedhi halqa bandiaan kar dainge..