What's new

Panama leak Case Proceedings - JIT Report, News, Updates And Discussion

Status
Not open for further replies.
.
Yeh wala comment parh main itni zor se hansa ke mere floor pe sab logon ne mujhay dekha..

Imran Khan has also asked for 10 minutes I think..

By the way, case is 100% going towards commission or commissioner.

Waqayi Sheikh rashid ka woh wala comment...comment of the day hai :lol::lol::lol:

Beshak commission banaa dein..lekin pehle jhoot bolnay aur asasay chupanay par disqualification ki jo Sheikh Rashid ki plea hai..us par tu faisla dein..yousuf Raza Gilani ke case ko bhi refer kiya gaya hai adaalat main aur Sheikh fashid ne bhi refences diye hain cases ke..jahan asasay chupanay par disqualify kiya gaya hai... phir money laundering ki investigation ke liye commission bana dein.. Bcause atleast few things have already been established... Their contradictory statements/lies, no money trail provided..non declaration of assets...so disqualification ka case banta hai
 
Last edited:
.
:lol: :lol: :lol:

@QatariPrince hearing kitnay bajay khatam hoti hai? Aaj JI ke wakeel bhi arguments dein ge..aur complete hojayein ge kia? Kia lagta hai?

Updates 9:30 per ana start hoti hain aur 1:00 bajay khatam. Aj sab k arguments complete ho jaye gay

Latif Khosa was saying yesterday that there is possibility we can hear judgement today. SC nay raat 8 9 bajay tak beth ker decision dye hain

Per I dont think aj koi decision aye ga
 
Last edited:
.

Ye achay bhalay Justice Khosa ko kiya hogaya hai..kuch din se? :what:

Updates 9:30 per ana stary hoti hain aur 1:00 bajay khatam. Aj sab k remakrs compelte ho jaye gay

Latif Khosa was saying yesterday that there is possibility we can hear judgement today. SC nay raat 8 9 bajay tak beth ker decision dye hain

Per I tdont think aj koi decision aye ga

Abhi tu Jamaat e Islami ke wakeel ne bhi aana hai.. Woh ziyada time na le le :( waisy bhi bekar wakeel hai...case kharab hi karay ga aur time itna ley le ga...ke mujhe darr hai ke kahin aisa na ho ke aaj arguments sab ki khatam na hon :(
 
. . . .
JI ke lawyer ke arguments khatam hogaye? Bhai..bas jaldi jaldi karo....time waste na karein.. Sab baatein PTI aur Sheikh Rashid bhi already kar chukay hain.. Bas apnay arguments khatam karein ab...
 
. .
. .

Court bata day gi khud hi key is din decision dain gay

2 week tu lain gay Judges

Hmmm...lagta tu yehi hai ke thora time lagayein ge...

Lekin inhon ne jo ye kaha hai ke short order nahi sunaayein ge..tafseeli faisal hi dein ge..is se atleast ye tu lag raha hai ke commission ki taraf nahi jaa rahay .. Kiun ke agar sirf commission hi banaana hota tu woh tu short order de saktay thay ke commission banay ga..aur uski aaj hint bhi de dete.. Ye jo judges keh rahay hain ke tafseeli faisla jaari karein ge aur case ka har zaawye se jayza lein ge..is se lag raha hai ke hosakta hai ke sirf commission ki taraf maamla na jaye @PakSword
 
.
Ye nahi bataya..ke kab sunaaya jayega? Hint hi de dete...next week ya kab? Ab bas intezar hi kartay rahein :( next week, ya next month ya kab? Idea tu de dena chahye tha :(

@biloo700 ke mutabiq, when NS and Maryam comes back.. only then faisla sunaya jaega.. takay NS aur Maryam ko thambu kia jasakay.. aakhir ko unhon ne PSL ka final jail se jo dekhna hai... lolz..

Agar abhi batadia ke kia faisla hai aur kab dia jaega tou NS apni flight change karwalega.. giraftari se bachnay ke liey..
 
@bold :lol: :lol::lol: :lol: Waqayi..biloo bhai tu inke jail janay ke khwab bana rahay hain.

Waisy mujhe bhi ye tu lagta hai ke kisi aisy waqt hi sunayein ge jab PM mulk main mojood honge... Waisy bhi abhi judges ko thora time lagaya ga..faisla sunaa ay main
 
.
Hmmm...lagta tu yehi hai ke thora time lagayein ge...

Lekin inhon ne jo ye kaha hai ke short order nahi sunaayein ge..tafseeli faisal hi dein ge..is se atleast ye tu lag raha hai ke commission ki taraf nahi jaa rahay .. Kiun ke agar sirf commission hi banaana hota tu woh tu short order de saktay thay ke commission banay ga..aur uski aaj hint bhi de dete.. Ye jo judges keh rahay hain ke tafseeli faisla jaari karein ge aur case ka har zaawye se jayza lein ge..is se lag raha hai ke hosakta hai ke sirf commission ki taraf maamla na jaye @PakSword

Short order uss waqt dia jata hai jab aik bhi dissenting note na ho.. kal mein ne kisi wakeel ko kehtay suna tha.. agar aik bhi ikhtilaafi note ho tou tafseeli faislay hi kia jata hai sirf...

Commission bananey ya commissioner appoint ka faisla bhi aasakta hai..
 
.
Status
Not open for further replies.

Country Latest Posts

Back
Top Bottom