What's new

Panama leak Case Proceedings - JIT Report, News, Updates And Discussion

Status
Not open for further replies.
Kab kaha ..Aftab Iqbal ne yeh? Waisy inki bhi mostly news theek nahi hotein... Mostly ppl are saying next week... Kuch log tu 28th ki date bhi de rahay hain... Mujhe lagta hai ke next fri tak aa hi jayega hopefully... Even Imran Khan said its coming next week... Waisy delay tu mujhe bhi bilkol samajh nahi aaraha ke kiun horaha hai?
Khabardar mein i think friday ki epi mein Allah kare next week mein bs ajaye ab aur wait ni horha wese mjhe umeed hai ke InshAllah ganja utar jayega
 
most of ordinarypeople inpakistan/majority will not be able tounderstand the verdict...no matter what ir willbe
the will be so much of plainedrome .....( word /sentence same backward/ forward) and complicated law terms in it . thatevery one will take out a differentmeaning of it
remember dalal chaudry speech............ he said we want verdict, black/ n white, plain, with no ifs,n but

The most familiar palindromes in English are
redivider, noon, civic, level, rotor, reviver, AND MADAM
every day that is passining the SC IS LOOSING ITS CREDIABLITY
if thats what they want . then thats what thy r gettining
SUPREME DOOBI SERVICE View attachment 386706

DAY N NIGHT/ 7/7 24 HOURS
BRING YOUR DIRTY MONEY.. GETS 100% CLEAN . BEST RATES.
SPECIAL DISCOUNT. FOR RIYALS. DIHRAMS.DOLLARS. POUNDS N EUROS

the best plaindrome sentence i like

A man, a plan, a canal -- Panama ......... same read backward also
 
law-order sc.jpg
law-order sc.jpg
 
@Farah Sohail

Sis, just don't be disheartened by the judgement. It'll take a good few months past the judgement for the real impact to unravel.

Check-mate is a few moves away, still.
 
اسلام آباد: پاناما لیکس کیس کی سماعت کرنے والے تمام پانچوں جج آئندہ ہفتے میں وفاقی دارالحکومت پہنچ جائیں گے جس کے
بعدیہ خبریں گردش میں ہیں کہ گزشتہ ہفتے محفوظ کیا گیا فیصلہ کسی بھی وقت سنایا جاسکتا ہے۔

سپریم کورٹ نے23فروری کو پاناما گیٹ پرفیصلہ محفوظ کیا تھا۔ بینچ کے مرکزی جج جسٹس آصف سعید کھوسہ نے کہاتھا کہ معاملے کی حساسیت کی وجہ سے مختصرفیصلہ نہیں سنایاجاسکتا۔ گزشتہ چندہفتوں سے بے چینی مسلسل بڑھ رہی ہے کہ اس اہم نوعیت کے کیس کافیصلہ کب سنایاجائے گا، حتیٰ کہ بڑی سیاسی جماعتیں شدت سے فیصلے کا انتظارکررہی ہیں تاکہ وہ سیاست کے حوالے سے اپنامستقل کالائحہ عمل وضع کرسکیں۔

سپریم کورٹ میں ذرائع نے ایکسپریس ٹریبیون کو بتایاکیس سننے والے تمام ججز سپریم کورٹ کی مختلف رجسٹریز میں ہیں، تاخیرکی اصل وجہ یہ ہے کہ ان جج صاحبان کی گزشتہ ہفتے میٹنگ نہیں ہوسکی۔ تاخیرکی ایک وجہ یہ بھی ہے کہ بینچ کا ہرجج کیس کی اہمیت کے پیش نظرلکھے جانے والے فیصلے میں ذاتی دلچسپی لے رہاہے۔

ذرائع نے بتایا عموماً ایک جج فیصلہ لکھتاہے اوردوسرے اس کی توثیق کرتے ہیں، لیکن اس کیس میں لارجربینچ کاہرممبراپناذاتی نوٹ لکھ رہاہے۔ 5 رکنی لارجر بینچ میں سے 3 جج جسٹس آصف کھوسہ، جسٹس عظمت سعید شیخ اور جسٹس اعجازالاحسن نے گزشتہ ہفتے لاہور رجسٹری میں کیس سنے۔ جسٹس گلزاراحمد کراچی رجسٹری جبکہ جسٹس اعجازافضل خان اسلام آبادرجسٹری میں بیٹھے ہوئے تھے تاہم لارجربینچ کے تمام ممبران آئندہ ہفتے اجلاس کریں گے۔
 
@Farah Sohail

Sis, just don't be disheartened by the judgement. It'll take a good few months past the judgement for the real impact to unravel.

Check-mate is a few moves away, still.

یعنی آپ کہہ رہے ہیں کہ اس بار جس ٹرک کی بتی کے پیچھے لگایا جائے گا، وہ ٹرک کہیں نہ کہیں پہنچ کے دم لیگا

اچھا لگا سن کے
:enjoy:
 
یعنی آپ کہہ رہے ہیں کہ اس بار جس ٹرک کی بتی کے پیچھے لگایا جائے گا، وہ ٹرک کہیں نہ کہیں پہنچ کے دم لیگا

اچھا لگا سن کے
:enjoy:

:( bachpan se yehi suntay aarahay hain..ke ab kuch na kuch hoga...ya kuch arse main acha hoga.....

@Verve bhai ki baat se tu aisa hi lag raha hai ke filhaal anti climax jaisa verdict hoga.... Suspension of PM bhi nahi pata hogi...ke nahi :( sirf commission ki truck ki batti ke peechay lagaa dein ge... Us ka hi impact kuch months baad aayega.... Atleast suspension of PM tu honi chahye, esp after Chairman NAB's statement....warna :guns::guns::guns::guns::guns::guns:

@Farah Sohail

Sis, just don't be disheartened by the judgement. It'll take a good few months past the judgement for the real impact to unravel.

Check-mate is a few moves away, still.

Fee months tak tu next elections bhi announce ho chukay honge..aur impact aanay se pehle shayad new assemblies bhi aachuki hon..... Bas ek aur truck ki batti....

Atleast i am expecting ke Sharif family ki honesty/dishonesty par kuch na kuch remarks zuroor honay chahyein....to pave way for disqualification of PM through election commission... And after Chairman NAB's statement, atleast there must be immediate suspension of PM..... Agar PM ke under hi commission ne kaam kiya..tu us se tu kuch bhi nahi hoga..

@PakSword ye jo yahan express tribune ka article share kiya gaya ai..is main hai ke har judge ka additional note hoga... Tu iska matlab kia hai? Ek main verdict hoga..aur uske baad har judge ke additional note honge? Matlab ke agar article 62/63 par kuch remarks honay huay...tu woh main verdict main honge ya har judge ke alag alag note main honge?

I think ek main /joint verdict hoga....uske ilaawa har judge ke additional notes honge..aur kisi ka dissenting note agar hua tu.. Lekin ek main verdict hoga na? Yousuf Raza Gilani case main kiya hua tha? Jis main Justice Khosa ne Pity the nation poem likhi ther? Us main bhi ek joint verdict tha?
 
:( bachpan se yehi suntay aarahay hain..ke ab kuch na kuch hoga...ya kuch arse main acha hoga.....

@Verve bhai ki baat se tu aisa hi lag raha hai ke filhaal anti climax jaisa verdict hoga.... Suspension of PM bhi nahi pata hogi...ke nahi :( sirf commission ki truck ki batti ke peechay lagaa dein ge... Us ka hi impact kuch months baad aayega.... Atleast suspension of PM tu honi chahye, esp after Chairman NAB's statement....warna :guns::guns::guns::guns::guns::guns:

Fee months tak tu next elections bhi announce ho chukay honge..aur impact aanay se pehle shayad new assemblies bhi aachuki hon..... Bas ek aur truck ki batti....

Atleast i am expecting ke Sharif family ki honesty/dishonesty par kuch na kuch remarks zuroor honay chahyein....to pave way for disqualification of PM through election commission... And after Chairman NAB's statement, atleast there must be immediate suspension of PM..... Agar PM ke under hi commission ne kaam kiya..tu us se tu kuch bhi nahi hoga..

@PakSword ye jo yahan express tribune ka article share kiya gaya ai..is main hai ke har judge ka additional note hoga... Tu iska matlab kia hai? Ek main verdict hoga..aur uske baad har judge ke additional note honge? Matlab ke agar article 62/63 par kuch remarks honay huay...tu woh main verdict main honge ya har judge ke alag alag note main honge?

I think ek main /joint verdict hoga....uske ilaawa har judge ke additional notes honge..aur kisi ka dissenting note agar hua tu.. Lekin ek main verdict hoga na? Yousuf Raza Gilani case main kiya hua tha? Jis main Justice Khosa ne Pity the nation poem likhi ther? Us main bhi ek joint verdict tha?

I think isi tarha hoga..

Aik main verdict and then additional notes by each judge if required. Iss tarha kafi faislon main hota hai, lekin yeh uss waqt hota hai jab sirf aik judge verdict ki kisi statement ko dena chahta ho, baqi nahi dena chahtay hon woh statement, tou woh judge phir apnay naam se statement deta hai... Normally, it happens when a particular judge wants to be too soft or too hard, and wants the statement to impact future decisions.

Iss ka aik matlab yeh bhi hai ke 3-2 ya 4-1 ka judgement hai, aur har judge apnay dissenting note ko justify kar raha hai..

Lekin I know for a fact ke abhi tak kisi ko kuchh nahi maloom ke judgement kia aarahi hai, phir iss article main judgement ke notes ka zikar kuch sach baat nahi lagti..

By the way, next week ka suna hai ke bench ke saaray judges ikhattay horahay hain Islamabad Registry main.. I think between Tuesday to Friday anytime, verdict aaraha hai..

Aik achi aur pakki khabar aap ke liey yeh hai ke Dawn Leaks se jaan nahi chootnay wali.. Chahay Panama ka faisla kuchh bhi aaye..

Yeh delay hukumat khud verdict ke wait main kar rahi hai.. iss se fauji qayadat ka koi taaluq nahi hai..

Last month inhon ne PA ko tasalli di thi ke max 4-6 weeks main aajaega.. Shayad inhon ne expect kia tha ke Panama ka decision bhi aajaega uss ke baad de deingay..

Dawn Leaks pe kafi larai maar kutaai honay wali hai... Agar Panama ka decision iss ke haq main aagaya aur phir chahay dissenting notes bhi huay, tou yeh apnay aap ko kafi behtar position main mehsoos karaingay..

Lekin hoga iss ke khilaaf.. kyun ke aik lafz bhi idhar se udhar karnay ki ijazat nahi di hai abhi tak tou..

Mujhay sirf aik baat par kafi hairat hai.. Dawn Leaks pe jo PA ka stand hai abb takk, iss pe baray baron ki halat tight hojani thi.. yeh log itna sukoon se kyun hain?
 
Panamagate in focus as judges return to capital
By Hasnaat Malik
Published: March 26, 2017
270SHARES
SHARE TWEET EMAIL
1365631-nawaz-1490504593-418-640x480.jpg

Prime Minister Nawaz Sharif. PHOTO COURTES: MAX BECHERER/TELEGRAPH

ISLAMABAD: All five judges of the Supreme Court who adjudicated the Panamagate case will be back in Islamabad this coming week, raising expectations about the announcement of the much-awaited judgment reserved last month.

The top court reserved the verdict on February 23 with lead judge Asif Saeed Khosa observing that a short order was not possible due to the sensitivity of the case.

The past few weeks have made everyone, particularly politicians, very anxious as they are on tenterhooks waiting for the judgment to be announced. Politicians’ future course of action depends on the outcome of the judgment.

Lifting the lid on secret deals

All judges who heard the case were in different registries of the apex court. “[The] main reason for the delay is that these judges could not hold a huddle last week,” sources in the Supreme Court told The Express Tribune.

Another reason for the delay is that every judge on the bench is giving his individual input in writing, keeping in view the importance of the case. “Normally, one judge writes [a] judgment and his fellow judges endorse it. Here, every member of the larger bench is writing his own note,” the sources said. They told The Express Tribune that all members of the larger bench would hold a meeting in the coming week.

Last week, three of the five judges – Justice Khosa, Justice Azmat Saeed Sheikh and Justice Ijazul Ahsan – heard cases in the Lahore registry. Justice Gulzar Ahmad was sitting in the Karachi registry while Justice Ejaz Afzal Khan was in the Islamabad registry.

PTI to push for electoral reforms

Meanwhile, the Pakistan Tehreek-e- Insaaf has started showing concern over the delay in the announcement of the judgment. PTI spokesperson Fawad Chaudhry said that although they are aware that it’s not an easy task for the judges to give a verdict in a short period, the party believes that the verdict should be announced without further delay.

However, a senior PTI leader disagreed with the party’s reaction regarding the delay in the verdict.

Moreover, former Pakistan Bar Council vice-chairman Barrister Dr Mohammad Farogh Naseem rejected the PTI’s concern in this regard and said: “There is no delay in the verdict. Legally, the Supreme Court is not bound by any time duration regarding announcement of a judgment. However, the SC itself asked high courts to give ruling within three months after reserving it.”

“I have full confidence in every judge of the larger bench, as all are competent, and there is no doubt about their integrity,” he added.

Naseem said the judges write additional or dissenting notes in high-profile cases.The petitioners were unable to submit any document to establish that the London properties were directly owned by the prime minister.

For PM, offence is the best defence

However, the judges may raise a question about ‘conflict of interest’ in their judgment. “[The] chances of dissenting opinions on some points in the judgment cannot be ruled out.”

A senior official told The Express Tribune that the government has already devised different strategies to deal with any situation arising out after the judgment. Several senior members of the PML-N are admitting shortcomings in the legal strategy in the Panamagate case.

“I think the Sharif family did a big mistake by delaying the matter and not deciding on the Panama leaks controversy last year. Since April 2016, they had enough time to sort out the issue through various means but they unnecessarily delayed it,” says a member of the PML-N legal team.

@Farah Sohail @PakSword @Doordie
 
I think isi tarha hoga..

Aik main verdict and then additional notes by each judge if required. Iss tarha kafi faislon main hota hai, lekin yeh uss waqt hota hai jab sirf aik judge verdict ki kisi statement ko dena chahta ho, baqi nahi dena chahtay hon woh statement, tou woh judge phir apnay naam se statement deta hai... Normally, it happens when a particular judge wants to be too soft or too hard, and wants the statement to impact future decisions.

Iss ka aik matlab yeh bhi hai ke 3-2 ya 4-1 ka judgement hai, aur har judge apnay dissenting note ko justify kar raha hai..

Lekin I know for a fact ke abhi tak kisi ko kuchh nahi maloom ke judgement kia aarahi hai, phir iss article main judgement ke notes ka zikar kuch sach baat nahi lagti..

By the way, next week ka suna hai ke bench ke saaray judges ikhattay horahay hain Islamabad Registry main.. I think between Tuesday to Friday anytime, verdict aaraha hai..

Aik achi aur pakki khabar aap ke liey yeh hai ke Dawn Leaks se jaan nahi chootnay wali.. Chahay Panama ka faisla kuchh bhi aaye..

Yeh delay hukumat khud verdict ke wait main kar rahi hai.. iss se fauji qayadat ka koi taaluq nahi hai..

Last month inhon ne PA ko tasalli di thi ke max 4-6 weeks main aajaega.. Shayad inhon ne expect kia tha ke Panama ka decision bhi aajaega uss ke baad de deingay..

Dawn Leaks pe kafi larai maar kutaai honay wali hai... Agar Panama ka decision iss ke haq main aagaya aur phir chahay dissenting notes bhi huay, tou yeh apnay aap ko kafi behtar position main mehsoos karaingay..

Lekin hoga iss ke khilaaf.. kyun ke aik lafz bhi idhar se udhar karnay ki ijazat nahi di hai abhi tak tou..

Mujhay sirf aik baat par kafi hairat hai.. Dawn Leaks pe jo PA ka stand hai abb takk, iss pe baray baron ki halat tight hojani thi.. yeh log itna sukoon se kyun hain?

Yousuf Raza Gilani walay case main Justice Khosa ne additional note main Pity the Nation poem likhi thee.... Hosakta hai ke is tarah ke additional note hon..jis main koi dissent na ho..lekin verdict ko ek personal touch denay ke liye ...additional notes koi agar likhna chahy tu...

Bas ab next week aa hi jana chahye faisla... Ab tak tu commission shayad apni report bhi final kar chuka hota....agar inhon ne commission ka short order de diya hota...last hearing walay din... Mujhe bas is wajah se thora shak hai commission par... Ke agar disputed documents ki wajah se..inhon ne..mazeed inquiry karani thee...aur commission banaana tha...tu is main tu judges ke ikhtelaf ki koi baat nahi thee..aur ye short order...last hearing walay din bhi aasakta tha..aur kiun ke NAB chairman bhi apni statement de chukay thay..is liye....suspension bhi fauran hosakti thee..last hearing walay din... Ya atleast within 2 weeks tu aa hi sakta tha....Is judgement ke liye.,itna ziada sochnay ki zuroorat hi nahi thee..... Itna time inhein kis cheez main lag raha hai? 90% logon ka khyal bhi is tarah ki judgement ka hi tha..tu us main itna time nahi lagna chahye tha....

Dawn leaks ka jahan tak talluq hai... Waqayi ye tu bhtt achi news sunayi hai, aap ne..... Hum bhi dissenting notes ka intezar karrahay hain us main... Aur ab tu govt ka us report ko cover up karna thora ziada mushkil is liye bhi hai ke ek tu Ch Nisar khud admit kar chukay hain ke report members main ikhtelaaf hai.. Tu ab agar unanimous decision karnay ki koshish kartay hain..tu log poochein ge ke woh ikhtelaaf kiya tha..aur kis ne kiya tha?

Doosri baat ye hai ke ab Hussain Haqqani ke article ki wajah se aur visas ke issue ki wajah se memo gate sab ko phir se yaad aagaya hai..tu zahir hai ke army officers /rank and file ko bhi dobara woh sab kuch yaad aagaya hoga..tu un main ghussa bhi barha hoga shayad ke memo gate par kuch nahi hua tha...tu shayad ab woh dawn leaks ko araam se na jaanay dein aur is ka koi firm conclusion chahtay hon... Tu unki taraf se pressure mazeed barha hoga army chief par.....is dawn leaks issue par compromise na karnay ke liye...ye mera khyal hai...

Jahan tak Sharif family ki satisfaction ka talluq hai.. Mera khyal hai ke shayad woh ye tu samajh rahay honge ... Ke iss military leadership se unka compromise..is issue par ho jayega.. Kiun ke unhon ne dekha ke zardari jo Raheel Sharif ke tenure main nahi aa sakay...eenton se eent bajanay wali speech ke baad..woh bhi wapis aagaye..aur woh bhi full form main.. Ayan ali chali gay..sharjeel memon wapis aagaye..aur shayad Asim Hussain ko bhi bail mil jaye....... So maybe PML N is also still hoping for their NRO with military leadership on dawn leaks too

Waisy jaisy dawn leaks ke issue par..media main bhtt pehle aagaya tha..dissenting notes ka..kaash...kuch panama case ke verdict ke baaray main bhi aajata...through some leaks... :( lekin ye judges lagta hai ke bhtt pakkay hain... Kisi ko hawaa nahi lagnay di shayad inhn ne panama case ke verdict ki :(

Waisy Raheel Sharif ke saath ye govt bhtt bura game khel rahi hai..
Ek taraf tu Gen Raheel ko confirm kar diya....Saudi govt ki request par..aur NOC bhi de di...IMAFT ko lead karnay ke liye...jaisy Kh Asif ne kaha ke Saudi govt ko..in writing..reply kar diya gaya hai aur allow kar diya hai...... Lekin doosri taraf......apnay doosray minister Gen Abdul Qadir Baloch..un ke through dawn news ke prog main ye statement dil waa rahay thay ke..Raheel Sharif controversial hojayein ge.....agar woh wahan gayr.. Kal Grn Abdul Qadir Baloch ye statement dawn news ke prog main farmaa rahay thay...

Matlab govt khud unhein bhej rahi rahi Saudia.. Lekin saath saath unhein defame bhi karrahay hain..ke woh controversial hjayein ge..blah blah... Agar itna hi khyal tha, unka tu NOC na dete,,, lekin woh jaan boojh kar Raheel Sharif ke saath ye dirty game/tricks khel rahay hain..jaisy land allottment walay issue par kiya tha

Lagta hai ke Raheel Sharif se unn ke talluqaat shayad kaafi se ziada kharaab thay..end main...tab hi unke saath poora poora badla le rahay hain..

Ab iska reply Gen Raheel Sharif ki taraf se yehi hona chahye ke Saudia jaanay se pehlay ek dafa woh media main...dawn leaks ke asal culprits ka khud naam le dein.. Although ke sab ko Maryam Nawaz ka pata hi hai..lekin agar Raheel Sharif khud naam le dein tu uska impact hi bilkol doosra hoga..kiun ke woh us waqt army chief thay.. Yehi hona chahye sharif family ke saath..... Lekin Gen Raheel Sharif aisa karein ge nahi...
 
Last edited:

I disagree. Raheel Shareef ko apni izzat bachanay ke liey bilkul khamosh rehna chahiey.. Raheel Shareef ke saath siasat khel jaeingay yeh sab..

Keechar main paaun marnay se keechar ko kuchh nahi hota, aap hi ke apnay kapray ganday hotay hain.. Raheel Shareef ko Saudi aur baqi sab bhi kafi pasand kartay hain... Suna aisa tha ke government ne thori try ki thi kisi aur ko bhejnay ki, lekin government ki subki hogaee jab GCC countries ne kaha ke either RS or no one as a leader..

Aik baar main ne aap ko buhat shuru main bataya tha ke RS ne kuchh demands rakhi theen, about the TORs of this force, maloom nahi woh kahan tak pohncheen. Kyun ke as far as I know, he was very determined not to accept the post until there were benefits available for each and every member, plus the objectives should be common rather than of a handful of nations/ countries. I think unhon ne pehlay pakka karwalia hoga aur agar aisa hai tou buhat hi achi khabar hai hum sab ke liey..
 
We are living in closed systems, where many know much and all remain silent, history will continued to be distorted until the day when blood will flow on the streets and dead bodies would long for honourable burial.
 
Kuch nahi hona Dawn Leaks per. Udher Maryam Nawaz 2 2 constituencies say Election larnay key lye tyari ker rahi aur idher loog umeed day rahy hain key Dawn Leaks per koi phadda honay wala hai :sarcastic:
 
Raheel Shareef ko Saudi aur baqi sab bhi kafi pasand kartay hain... Suna aisa tha ke government ne thori try ki thi kisi aur ko bhejnay ki, lekin government ki subki hogaee jab GCC countries ne kaha ke either RS or no one as a leader..

Aik baar main ne aap ko buhat shuru main bataya tha ke RS ne kuchh demands rakhi theen, about the TORs of this force, maloom nahi woh kahan tak pohncheen. Kyun ke as far as I know, he was very determined not to accept the post until there were benefits available for each and every member, plus the objectives should be common rather than of a handful of nations/ countries. I think unhon ne pehlay pakka karwalia hoga aur agar aisa hai tou buhat hi achi khabar hai hum sab ke liey..

@bold i am surprised why is he liked in GCC countries? I thought tht GCC would be pissed at him, for refusing to send troops in Yemen..because tht was the first time tht we refused Saudis... Although it was a parliamentary decision..but i think GCC would have known ke agar army chahti tu yeh issue parliament main jaata hi na...is liye i thought ke GCC main shayad Gen Raheel sharif ko pasand nahi kiya jaata hoga.. Esp...after there was coldness in relations between Pak and Saudis, after yemen fiasco..and UAE se tu bhtt ziada asar para relations par... So initially i was surprised when Saudis offered him the role..

But once this offer came, i was almost very sure ke kuch na kuch hoga..and eventually ye offer accept zuroor hogi....esp..after India was trying to forger closer alliance with GCC countries..
I also hope ke TORs accept hogayi hongi..Gen Raheel Sharif ki..and also i hope ye kuch aisi bhi deal /arrangement hui ho..Saudis se ...for financial help for Pak...for expensive military equipment
 
Status
Not open for further replies.

Pakistan Defence Latest Posts

Back
Top Bottom