What's new

Panama Case - Post Verdict Discussion and Updates

In the mean time Nawaz The 420 is being declared one of the top ten leaders of the world and his statue is being erected in local graveyard.
 
.
According to the Sami Ibrahim today, the CIT that is in NAB is under pressure from PMLN but they are resisting pressure so far.

Loll@ NAB resisting pressure.....3 dafa notice ke bawajood sharif family appear nahi hui..koi aur hota tu ab tak arrest hochukay hotay.. Yahan unka naam tak NAB ne ECL par nahi daala...
 
. . . .
After reading few previous posts.

Kia kulsoom nawaz ki bemari wali posts par..aur NS ke bhaagnay wali posts par aap yeh keh rahay hain? Pehli baat tu yeh hai ke..ye news tu 2-3 din pehle hi aagayi thee...ke NS london jaa raha hai...24th August ki hi date aarahi thee ke NS bemaar hai..woh london jaayega.. Phir denial aagaya ke nahi nahi..woh nahi jaa raha.. Ab exactly un hi dates main Kulsoom Naaaz ki bemari ka aagayi aur yeh ke poori family london jaa rahi hai.. Aap ko nahi lagta ke yeh sab suspicious hai? Aur phir NAB references ki kisi tarah ki monitoring na hona.. AP ko nahi lagta ke Ye sab NS ko safe exit ke liye ground banaaya jaa raha hai? Aur phir COAS ki NS ko call...? Ek disgraced PM...jis ko jail main hona chahye..usay COAS especially call karrahay hain? Matlab ke aap bhaag jayein..hum aap ke saath hain

Aur God Forbid ,.if she is really ill....tu uske nomination papers kiun nahi withdraw kiye jaarahay?
 
Last edited:
.
اسلام آباد:نیب حکام کاشریف خاندان کےوکیل کی پریس کانفرنس کانوٹس
نیب نےسپریم کورٹ کےحکم پرشریف خاندان کیخلاف ریفرنس دائرکرنےہیں،نیب حکام
شریف خاندان کوان کا موقف دینے کےلیے موقع دیا گیا،نیب حکام
شریف خاندان،اسحاق ڈار کےوکیل نےنیب کے بارے میں 2 مختلف موقف اپنائے،حکام
درخواست کی گئی کہ نظر ثانی درخواستوں کےباعث کارروائی نہ کی جائے،نیب حکام
اب پریس کانفرنس میں موقف اپنایاگیا کہ نیب قانون کےمطابق نہیں چل رہا،نیب حکام
نیب سپریم کور ٹ کےاحکامات کی روشنی میں کارروائی کررہا ہے،نیب حکام
شریف خاندان کےوکیل نیب پربےبنیاد الزامات عائد کررہےہیں،نیب حکام
نیب کا شریف خاندان کو دو مزید مواقع دینے کا فیصلہ،نیب حکام
شریف خاندان کو دو مزید نوٹسزبھجوائے جائیں گے،نیب حکام
شریف خاندان کوپہلےمزید نوٹس جاری نہ کرنےکافیصلہ ہواتھا،نیب حکام
مزید نوٹس جاری کرنےکافیصلہ ملزمان کوصفائی کاپورا موقع دینےکیلیےکیاگیا،نیب حکام
 
.
اسلام آباد:نیب حکام کاشریف خاندان کےوکیل کی پریس کانفرنس کانوٹس
نیب کا شریف خاندان کو دو مزید مواقع دینے کا فیصلہ،نیب حکام
شریف خاندان کو دو مزید نوٹسزبھجوائے جائیں گے،نیب حکام
شریف خاندان کوپہلےمزید نوٹس جاری نہ کرنےکافیصلہ ہواتھا،نیب حکام

:lol::lol::lol::lol:
 
. . .
Kia kulsoom nawaz ki bemari wali posts par..aur NS ke bhaagnay wali posts par aap yeh keh rahay hain? Pehli baat tu yeh hai ke..ye news tu 2-3 din pehle hi aagayi thee...ke NS london jaa raha hai...24th August ki hi date aarahi thee ke NS bemaar hai..woh london jaayega.. Phir denial aagaya ke nahi nahi..woh nahi jaa raha.. Ab exactly un hi dates main Kulsoom Naaaz ki bemari ka aagayi aur yeh ke poori family london jaa rahi hai.. Aap ko nahi lagta ke yeh sab suspicious hai? Aur phir NAB references ki kisi tarah ki monitoring na hona.. AP ko nahi lagta ke Ye sab NS ko safe exit ke liye ground banaaya jaa raha hai? Aur phir COAS ki NS ko call...? Ek disgraced PM...jis ko jail main hona chahye..usay COAS especially call karrahay hain? Matlab ke aap bhaag jayein..hum aap ke saath hain

Aur God Forbid ,.if she is really ill....tu uske nomination papers kiun nahi withdraw kiye jaarahay?

bohat saray issues hain, aik aik kar ke discuss karta hun.

1 - Kkulsoom ko election kisi bhi tarah jitwana hai. Yeh PML ki strategy hai, establishment ka iss main koi role nahi hai. kal hi hum ne iss pe kafi baat ki hai. iss ke liey emotional support ki kafi zaroorat hai. iss ke liey aik bollywood style movie ki tarah proceed karna hai. jis main aik evil force hai (establishment), aik evil force ka cheela hai (Imran Khan), aik hero hai (NS) aur aik heroine hai (kulsoom). iss movie ka aik ehem kirdaar hai mostly uneducated/ jahil awam.

2 - Kulsoom ko election harwana hai, yeh establishment aur PTI ki strategy hai

Jo jahil awam hai, woh dramas pe yaqeen karti hai, emotional hojati hai, aur emotional honay ke baad kabhi kabhi apnay ki logon ke qatilon ko sar par bithati hai. Iss jahil awam ko control karnay ke 2 tareeqay hain, #1 - inhain educate kia jaey aur qaum western countries ke level pe educate hojaey. #2 Ya phir jo log emotional kar ke iss qaum ko apni taraf karna chahtay hain, unn ki chaal ko counter kia jaey.

Jis tweet ko aap sab mil kar bura bhala keh rahay hain, woh aik counter karnay ka tareeqa hai. humara mulk Singapore nahi hai jahan awam inn sab baaton ko samajhti hai. yahan jo support nawaz shareef ne lose ki hai panama decision ke baad, woh inn ke dramas se wapis aajaegi.. kyun ke yeh taza taza muamla hai. woh voters, jo panama ke faislay ke baad yeh soch kar baithay thay ke abb hum kisi ko vote nahi deingay, aur unn ka vote na dena kulsoom ke liey pareshani ka baaes banta, woh dobara vote dene ke liey tayyar hojaeingay. kyun ke pichlay kuchh dinon se unhain bata dia gaya hai ke nawaz aik mazloom shakhs hai, aur usay establishment ne bahir kia. aur sitam zareefi yeh huee ke uss ki biwi ko jaan lewa beemari hogaee.

establishment ka tweet karnay ka maqsad iss taasur ko zail karna hai ke nawaz mazloom shakhs hai jisay establishment jootay ki nok par rakhti hai.

yeh tou hogyaa election ka muamla.

abb aatay hain inn ke bhaagnay ki taraf. iss baat par mera bhi ghussa hai ke yeh bhaagna nahi chahiey. lekin 2-3 baatain important hain samajhnay wali. #1 pakistan main mostly uneducated/ jahil log rehtay hain. unn ki nazar main hero woh hota hai jiss ne jail kati ho. Yahan agar koi phansi charh jata hai tou woh shaheed kehlata hai, aur uss ki shahadat ka 3 naslain khati hain. yeh aik aisa mulk hai jahan kisi ilzaam main jail janay wala fakhria andaaz main doosron ko taanay deta hai ke tum ne aaj tak kia kia. main ne tou jail kaati hai. tv pe aakar yehi baat karta hai tou anchors kehtay hain ke inn ki bari qurbanian hain.. jo jail kaat le, woh ziada vote leta hai.

#2 pakistan main sirf dunyawi hi nahi, deeni taleem ki bhi kami hai. iss liey jo hamara constitution hai, hum usay islam based constitution tou keh saktay hain, lekin mukamal islami nizam nahi keh saktay. khair, democracy tou waisay bhi islamic nahi hai. tou jahan yeh halaat hon, wahan yeh bhi sochna parta hai ke jis ki party ki assembly main over 70% seats hon, usay islami qanoon ke tehet saza di asakti hai? mera khayal tou nahi hai aisa. iss liey sabar karna chahiey, aur apni qaum ki halat pe afsos karna chahiey bass. agar hamari qaum main zara si bhi ghairat hoti, tou woh ghair muslimon ki tarah (for example, iceland, korea waghaira) laakhon, balkay abadi ke tanasub se croron ki tadaad main bahir aatay aur airport ka gherao kartay aur janay nahi detay. lekin mujhay yaqeen hai ke nooray ko chornay tou lakhon log aasaktay hain, usay roknay wala koi ghairatmand nahi hoga.

aap sab se, jitnay log yeh parh rahay hain, mera sawal hai.. kia hum nawaz shareef ka gherao karsaktay hain? south korea main tou awam baghair kisi leader ke kehne par nikli thi. hum tou baray muslamaan honay ke daaway kartay hain.. kia hum laakhon ki taadad main even kisi leader ki call par bhi airport ka gherao karsaktay hain? aap niklain gi farah sohail?

hum sab unn logon main se hain jo sirf internet par beth kar comment kar saktay hain.. i mean i am not specifically pointing at you Farah, I am talking about myself.

expectations hamari kia hoti hai? ke imran khan jalsa announce karay, dharna de, aur civil nafarmani ki tehreek chalaey. hum sab unn logon main se hain, jo qadam barhao imran khan hum tumharay saath hain kehtay hain, lekin sirf internet pe.

jab hamari qaum ka character ki dheela hai tou main sab se sawal poochta hun, hum sirf establishment ko iss ka zimmedar kyun tehratay hain? kia hum main munafiq nahi chupay huay?

ya tou hum vote nahi deingay, ya vote de kar nooray ko ppp ko aur altaf ko jitaeingay, expectations hum establishment se rakhaingay ke bahir janay ki deal karwanay main establishment ka haath hai.. hum sab ka haath hai iss sab main sorry to say.

main yaqeen se kehta hun, agar kisi non-Muslim western country main koi convicted criminal bhaagnay ki tayyari kar raha hota tou awam baghair kisi leader ke iss waqt sarkon pe hoti. hum tou baray musalman banay phirtay hain, himmat do kori ki nahi hai.

jab aisi awam ho, tou phir Allah ke hukum ka intezaar karna chahiey, na ke kisi aik shakhs ya idaray, ya judge ko utha kar beizzat karna shuru kar diya jaey.. iss se pehlay apnay aap ko, apnay aas paas walon ko, aur apni poori qaum ko dekhna chahiey ke kia hamara character hai?

establishment ne aik politician ko phansi lagai, ghalat thi sahi thi, main iss behes main nahi parunga.. aaj uss ka nawasa bhi uss ki 'shahadat' ke vote leta phir raha hai.

Ghussa karna buhat aasan hai doosron pe.. main bhi pichlay kafi din se ghussay main hun jab se nooray ke bhagnay ki bhanak pari hai. lekin apne aap ki assessment karna buhat mushkil kaam hai. apnay aap pe ghussa nikalna buhat mushkil hai.
 
Chalein theek hai.. Inhein bhaagnay hi dena chahye..iss ke ilaawa koi aur hall nahi hai.. Bs ek kaam karna chahye.. Ke jails main jitnay log hain..unhien bhi bahar nikaalein..kia pata ..woh bhi kal election ..hero ban kar contest kar lein?

Bas..ek aakhri baat kehna chahti hoon.. Aaj ye bahar bhaag gaye..kia khyal hai ke ye 2-3 saal ..baad mazloom ban kar wapis nahi aayein ge? Ye khyal kaisy hai ke ye bhaag gaye...tu kuch arsa baad wapis aa kar ...election ..mazloom ban kar contest nahi karein ge? Us waqt ye mazloom nahi banein ge ..ke dekho establishment ne humein nikaal diya tha.. Tab hero nahi banein ge kia? Disqualify t sirf NS hua hai abhi.. Kia 2-3 saal baad nawaz sharif ki family..so called jilaa watni ke baad...mazloom ban kar nahi aayegi dobara?

Musharraf ne kia inhein jail bheja tha? Tab bhi woh so called exile main aish karrahay thay..phir bhi mazloom ban kar dobara aagaye,, ye khyal kiun hai ke jail chalay gaye..sirf tab hi mazloom ban kar wapis aayein ge?

Jail main chalay tu 15 years ke liye poori family automatically disqualify hojayegi... Abhi tu sirf nawaz sharif hua hai.. Safe exit de diya tu sirf 2-3 saal baad..aaj se kahin ziada mazloom ban kar aayein ge,..maryam nawaz election laray gi..aur phir PM

Agar jail chalay gaye t 7 saal qaid..aur 15 yrs ke liye poori family na ehal..aur inn 7 ya 15 saal main party waisy hi disintegrate ho chuki hogi..

Safe exit diya..t sirf nawaz sharif ..disqualify..2-3 saal baad..mazloom ban kar wapis aa kar,.maryam nawaz PM..majority ke saath..

Rahi baat..awaam ke baahr aanay ki baat... Awaam bahar aa bhi jaye.ldharna main awaam kafi dino tak aayi bhi thee..kia hua? Establishment hamesha koi na koi deal kar hi leti hai..

2nd nov ka dharna call hua..us waqt...awaam ko bahar aanay kis ne diya? Kisi doosray mulkon main awaam ke ehtijaj par model town jaisy waqiyaat bhi nahi kiye jaatay...

Theek hai.. Maan liya..hum sab hi buray hain..bas..establishment ya Bajwa sb ka koi qusoor nahi,,

Anyways..end of topic from my side
 
Last edited:
.
bohat saray issues hain, aik aik kar ke discuss karta hun.

1 - Kkulsoom ko election kisi bhi tarah jitwana hai. Yeh PML ki strategy hai, establishment ka iss main koi role nahi hai. kal hi hum ne iss pe kafi baat ki hai. iss ke liey emotional support ki kafi zaroorat hai. iss ke liey aik bollywood style movie ki tarah proceed karna hai. jis main aik evil force hai (establishment), aik evil force ka cheela hai (Imran Khan), aik hero hai (NS) aur aik heroine hai (kulsoom). iss movie ka aik ehem kirdaar hai mostly uneducated/ jahil awam.

2 - Kulsoom ko election harwana hai, yeh establishment aur PTI ki strategy hai

Jo jahil awam hai, woh dramas pe yaqeen karti hai, emotional hojati hai, aur emotional honay ke baad kabhi kabhi apnay ki logon ke qatilon ko sar par bithati hai. Iss jahil awam ko control karnay ke 2 tareeqay hain, #1 - inhain educate kia jaey aur qaum western countries ke level pe educate hojaey. #2 Ya phir jo log emotional kar ke iss qaum ko apni taraf karna chahtay hain, unn ki chaal ko counter kia jaey.

Jis tweet ko aap sab mil kar bura bhala keh rahay hain, woh aik counter karnay ka tareeqa hai. humara mulk Singapore nahi hai jahan awam inn sab baaton ko samajhti hai. yahan jo support nawaz shareef ne lose ki hai panama decision ke baad, woh inn ke dramas se wapis aajaegi.. kyun ke yeh taza taza muamla hai. woh voters, jo panama ke faislay ke baad yeh soch kar baithay thay ke abb hum kisi ko vote nahi deingay, aur unn ka vote na dena kulsoom ke liey pareshani ka baaes banta, woh dobara vote dene ke liey tayyar hojaeingay. kyun ke pichlay kuchh dinon se unhain bata dia gaya hai ke nawaz aik mazloom shakhs hai, aur usay establishment ne bahir kia. aur sitam zareefi yeh huee ke uss ki biwi ko jaan lewa beemari hogaee.

establishment ka tweet karnay ka maqsad iss taasur ko zail karna hai ke nawaz mazloom shakhs hai jisay establishment jootay ki nok par rakhti hai.

yeh tou hogyaa election ka muamla.

abb aatay hain inn ke bhaagnay ki taraf. iss baat par mera bhi ghussa hai ke yeh bhaagna nahi chahiey. lekin 2-3 baatain important hain samajhnay wali. #1 pakistan main mostly uneducated/ jahil log rehtay hain. unn ki nazar main hero woh hota hai jiss ne jail kati ho. Yahan agar koi phansi charh jata hai tou woh shaheed kehlata hai, aur uss ki shahadat ka 3 naslain khati hain. yeh aik aisa mulk hai jahan kisi ilzaam main jail janay wala fakhria andaaz main doosron ko taanay deta hai ke tum ne aaj tak kia kia. main ne tou jail kaati hai. tv pe aakar yehi baat karta hai tou anchors kehtay hain ke inn ki bari qurbanian hain.. jo jail kaat le, woh ziada vote leta hai.

#2 pakistan main sirf dunyawi hi nahi, deeni taleem ki bhi kami hai. iss liey jo hamara constitution hai, hum usay islam based constitution tou keh saktay hain, lekin mukamal islami nizam nahi keh saktay. khair, democracy tou waisay bhi islamic nahi hai. tou jahan yeh halaat hon, wahan yeh bhi sochna parta hai ke jis ki party ki assembly main over 70% seats hon, usay islami qanoon ke tehet saza di asakti hai? mera khayal tou nahi hai aisa. iss liey sabar karna chahiey, aur apni qaum ki halat pe afsos karna chahiey bass. agar hamari qaum main zara si bhi ghairat hoti, tou woh ghair muslimon ki tarah (for example, iceland, korea waghaira) laakhon, balkay abadi ke tanasub se croron ki tadaad main bahir aatay aur airport ka gherao kartay aur janay nahi detay. lekin mujhay yaqeen hai ke nooray ko chornay tou lakhon log aasaktay hain, usay roknay wala koi ghairatmand nahi hoga.

aap sab se, jitnay log yeh parh rahay hain, mera sawal hai.. kia hum nawaz shareef ka gherao karsaktay hain? south korea main tou awam baghair kisi leader ke kehne par nikli thi. hum tou baray muslamaan honay ke daaway kartay hain.. kia hum laakhon ki taadad main even kisi leader ki call par bhi airport ka gherao karsaktay hain? aap niklain gi farah sohail?

hum sab unn logon main se hain jo sirf internet par beth kar comment kar saktay hain.. i mean i am not specifically pointing at you Farah, I am talking about myself.

expectations hamari kia hoti hai? ke imran khan jalsa announce karay, dharna de, aur civil nafarmani ki tehreek chalaey. hum sab unn logon main se hain, jo qadam barhao imran khan hum tumharay saath hain kehtay hain, lekin sirf internet pe.

jab hamari qaum ka character ki dheela hai tou main sab se sawal poochta hun, hum sirf establishment ko iss ka zimmedar kyun tehratay hain? kia hum main munafiq nahi chupay huay?

ya tou hum vote nahi deingay, ya vote de kar nooray ko ppp ko aur altaf ko jitaeingay, expectations hum establishment se rakhaingay ke bahir janay ki deal karwanay main establishment ka haath hai.. hum sab ka haath hai iss sab main sorry to say.

main yaqeen se kehta hun, agar kisi non-Muslim western country main koi convicted criminal bhaagnay ki tayyari kar raha hota tou awam baghair kisi leader ke iss waqt sarkon pe hoti. hum tou baray musalman banay phirtay hain, himmat do kori ki nahi hai.

jab aisi awam ho, tou phir Allah ke hukum ka intezaar karna chahiey, na ke kisi aik shakhs ya idaray, ya judge ko utha kar beizzat karna shuru kar diya jaey.. iss se pehlay apnay aap ko, apnay aas paas walon ko, aur apni poori qaum ko dekhna chahiey ke kia hamara character hai?

establishment ne aik politician ko phansi lagai, ghalat thi sahi thi, main iss behes main nahi parunga.. aaj uss ka nawasa bhi uss ki 'shahadat' ke vote leta phir raha hai.

Ghussa karna buhat aasan hai doosron pe.. main bhi pichlay kafi din se ghussay main hun jab se nooray ke bhagnay ki bhanak pari hai. lekin apne aap ki assessment karna buhat mushkil kaam hai. apnay aap pe ghussa nikalna buhat mushkil hai.

There is just one tiny bit of detail astonishingly missing in this narrative of finding excuses to go easy on Sharif family that can turn any sympathy into anger and even hate:

India.

The omission of this factor and lack of any serious effort to uncover it or even use it as a cohesive propaganda and its total absence from any current strategy by establishment or PTI or JI or any number of forces working to get justice served as deserved by Sharif family is insulting to any student of politics.

Case in point; MQM.

Sorry to say that all the narrative you have described above has zero value and amounts to lame excuses by establishment to go easy on Nawaz.

I am deliberately writing to the extent that I am and should be considered enough. Draw your own conclusions, I'm getting sick of everyone involved.

There is prejudice at work here.
 
.
Bhai latka do

Chemotherapy se asaan hai.

Baggage nahi chaiye warna sirf 14 august walay Pakistani ban jao.

Qadri fatwa dedega k cake katlo halal ha 14august ka.

Ye baat ap nahi samajh sakte. Insaaf dikhta hai or ye log chahte hai. Awaam ko 3 dozen families 1857 se rule kar rahi hai. Baari baari loot rahe hain

Islam me jamhooriyat nahi? Ye kis khabees ne apko bataya?

Islami nizaam ki targheeb de rahe ho. Ishaq Dar k peche namaz parh lia kro.

Mazaak banaya hua ha k cancer hogaya pathri nikal ayi.

70 saal k hain. Normal baat hai. Ghar betho is omar me. Badshahat khatam hone wali hai.

Ya to namrood ki tarha asmaan per teer maro ya zameen pe base khudaon per.

Haq or Batil ka mamla hai
 
.
hum aisi qaum hain jo apni susti, kahili aur ghalti ko kabhi tasleem hi nahi karaingay.

i am sure yahan jitnay log comment kartay hain, 10% bhi dharnay aur jalsay main nahi gaey hongay.

anyway, my point was, as always has been, that why we only target few individuals? jahan poora away ka aawa hi bigra hua ho, aur hum khud bhi sust aur kahili hi aala misaal hon, doosron pe point karnay se faida?

rokna hai ns ko bahir janay se tou rok lo bhai.. kis ne roka hai aap logon ko bahir aanay se? French tarz ka revolution le kar aao, phir dekhtay hain kaisay establishment ya kisi aur main himmat hoti hai deal karnay ki. lekin nahi.. yehi tou mera apna bhi character hai.. office main koi kaam chhoot jaey, sab se pehla kaam yeh karta hun ke kisi doosray pe kaisay responsibility transfer karun.

i am sure main abhi bhi ghalat keh raha hun.. lekin main aisa hi hun.. establishment ki aisi ki taisi.. judges ki bhi aisi ki taisi.. lekin hum khud sab se achay hain.. maan lia aaj/.
 
.

Latest posts

Back
Top Bottom