What's new

meri piyari zuban.......!

eva syed

FULL MEMBER

New Recruit

Joined
Nov 7, 2008
Messages
76
Reaction score
0
dear members.....lets share some verses of different poets.............in our mother language..............may be...........urdu....hindi........punjabi........sariki...............pashtu(but plz with translation)................english...............etc......:cheers:
 
sorry im posting an urdu verse in english.............im really sorry.....

Faraz ab koi soda koi janu bhi nahi
aur karar se din kat rahe hon yon bhi nahi
lab-o-dahn bhi mila, guftago ka fun bhi mila
per jo dil pe guzarti hai keh sakon bhi nahi
 
aur sab bhuul gaye harf-e-sadaaqat likhanaa
rah gayaa kaam hamaaraa hii baGaavat likhanaa


laakh kahate rahein zulmat ko na zulmat likhanaa
ham ne siikhaa hii nahiin pyaare baa_ijaazat likhanaa

na sile kii na sitaa_ish kii tamannaa ham ko
haq me.n logoun ke hamaarii to hai aadat likhanaa

ham ne jo bhuul ke bhii shaah kaa qasiidaa na likhaa
shaayad aayaa isii Khuubii kii badaulat likhanaa

us se barDhh kar merii tahasiin bhalaa kyaa hogii
parDhh key naaKhush hain meraa saahab-e-sarvat likhanaa

dahar ke Gam se huaa rabt to ham bhuul gaye
sarv qaamat kii javaanii ko qayaamat likhanaa

kuchh bhii kahate hain kahein shaah ke masaahib 'Jalib'
rang rakhanaa yahii apanaa isii suurat likhanaa:enjoy:

:cheers:
 
aadamii aadamii se milataa hai
dil magar kam kisii se milataa hai


bhuul jaataa huu.N mai.n sitam us ke
vo kuchh is saadagii se milataa hai

aaj kyaa baat hai ke phuulo.n kaa
rang terii ha.Nsii se milataa hai

mil ke bhii jo kabhii nahii.n milataa
TuuT kar dil usii se milataa hai

kaar-o-baar-e-jahaa.N saNvarate hai.n
hosh jab beKhudii se milataa hai


Poet:Jigar Moradabadi :smokin:
 
نفرت کا سیدھا سادا شیطانی روپ ھے ۔ محبت سفید لباس میں ملبوس عمرو عیار ھے ، ہمیشہ دو راہوں پر لا کھڑا کر دیتی ھے ۔ اس کی راہ پر ہر جگہ راستہ دکھانے کو صلیب کا نشان گڑا ہوتا ھے ، محبتی جھمیلوں میں کبھی فیصلہ کن سزا نہیں ہوتی ہمیشہ عمر قید ہوتی ھے ، جس معاشرے نے محبت کو علم بنا کر آگے قدم رکھا وہ اندر ہی اندر اس کے انتظار سے بری طرح متاثر بھی ہوتی چلی گئی۔ جائز و ناجائز محبت کے کچھ ٹریفک رولز بنائے لیکن ہائی سپیڈ معاشرے میں ایسے سپیڈ بریکر کسی کام کے نہیں ہوتے کیونکہ محبت کا خمیر ہی ایسا ھے ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ زیادہ خمیر لگ جائے تو بھی سوسائٹی پھول جاتی ھے ، کم رہ جائے تو بھی پپڑی کی طرح تڑخ جاتی ھے ۔
شکست و ریخت، بد بختی و سوختہ سامانی ۔


raja gidh se mera favrite iqtabas mughy bhut pasand hai
 
Last edited:
i want to share one of my favorite verses .............

hoye mar k hum jo ruswa hoye kion na garq-e-darya
na kabhi janaza uthta na kahien mazar hota

usye kon dekh sakta, k yagana hai wo yakta
jo doi ki bo bhi hoti to jigar k par hota

ye masailey tasawof ye tera bayan GHALIB!
thujhey hum wali samajhtey ko na bada khuwar hota


infact ....I think he was wali..........
 
be-aitadaaliyo.n se subuk sab me.n ham hue
jitane ziyaadaa ho gaye utane hii kam hue


pinhaa.N thaa daam saKht qariib aashiyaa.N ke
u.Dane na paaye the ki giraftaar ham hue

hastii hamaarii apanii fanaa par daliil hai
yaa.N tak miTe ke aap ham apanii qasam hue

saKhtii_kashaan-e-ishq kii puuchhe hai kyaa Khabar
vo log raftaa-raftaa saraa_paa alam hue

cho.Dii 'Asad' na ham ne gadaa_ii me.n dil_lagii
saa_il hue to aashiq-e-ahal-e-karam hue


Mirza Ghalib
 
let me share a punjabi verse.......my mother language

it's by Munir niazi

kuj unj vi ravan okhiyan sun
kuj dil vich ghum da touq vi si
kuj sher de lok vi zalim sun
kuj meno maran da shouq vi si
 
another verse by munir niazi

shehr mein wo moutabar meri gwahi se hoa
phir mujhey is shehr mein na moutabar us ne kia
 
qismat badal na paey, ye sehra naseeb log
choor aiey garam reat pe jalta naseeb log

mehroom-e-eltifaat rahey ap hum tu kia?
laey hein is jahan mein kia kia naseeb log

harman naseebon pe meri tana zan tu hein!
mangein gey aik din yehi mujh sa naseeb log


Ahmed Raza Raja.
 
Last edited:
ye kahan ki doosti hai k banay hein doost naseh
koi chara saaz hota, koi gham gusaar hota.

kahon kis se mein k kia hai shab-e-gham buri bala hai
mujhe kia bura tha marna agar aik baar hota..

is waqt yehi kehne ko dil cha raha hai.........
 
Zindagi mein kaisey aatey hein nashaib O faraaz
yeh jana jab bun gaye dushman ju they humraaz,

Ghum diyey ghum gusaroon ney,
aur chara sazoon ney hee bana liya saaz
Situm kutch itney beetey
hum hu gaye beyganaye hosh O Hawaas
Jahan koyee banda raha na koyee banda nawaaz

Tujehe mubarak tera ehsas e sood O ziya.n
Humein naseeb huyee beygangi e zaman O maka.n:coffee:

Yeh atkal Abhi abhi warid huyee hey .. plz pardon the "literarily" mistakes if any.
 
hastii apanii hubaab kii sii hai
ye numaaish saraab kii sii hai

naazukii us ke lab kii kyaa kahiye
pa.nkha.Dii ik gulaab kii sii hai

baar baar us ke dar pe jaataa huu.N
haalaat ab iztiraab kii sii hai

mai.n jo bolaa kahaa ke ye aawaaz
usii Khaaana-Kharaab kii sii hai

'Meer' un niim-baaz aa.Nkho.n me.n
saarii mastii sharaab kii sii hai


Meer Taqi Meer
 

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom