aur sab bhuul gaye harf-e-sadaaqat likhanaa
rah gayaa kaam hamaaraa hii baGaavat likhanaa
laakh kahate rahein zulmat ko na zulmat likhanaa
ham ne siikhaa hii nahiin pyaare baa_ijaazat likhanaa
na sile kii na sitaa_ish kii tamannaa ham ko
haq me.n logoun ke hamaarii to hai aadat likhanaa
ham ne jo bhuul ke bhii shaah kaa qasiidaa na likhaa
shaayad aayaa isii Khuubii kii badaulat likhanaa
us se barDhh kar merii tahasiin bhalaa kyaa hogii
parDhh key naaKhush hain meraa saahab-e-sarvat likhanaa
dahar ke Gam se huaa rabt to ham bhuul gaye
sarv qaamat kii javaanii ko qayaamat likhanaa
kuchh bhii kahate hain kahein shaah ke masaahib
'Jalib'
rang rakhanaa yahii apanaa isii suurat likhanaa