Fizaaon Mein Khushki Chayi Huyi Thi,
Mohabbat Josh Mein Aayi Huyi Thi..
Nazar Paigham-e-Ishrat De Rahi Thi,
Tamanna Karwaten Le Rahi Thi......
Sukoot-e-shab Tasleem Rango Buu Tha,
Tarannum Hi Tarannum Char Suu Tha.
Badi Dilkash Sadaayen Aa Rahi Thi,
Musalsal Rooh Ko Tarpaa Rahii Thi....
Wo Ek Shaoq Faraawa Dono Janeeb,
Wo Ek Ahsaas Pinhaa Dono Janeeb.
Idhar Ek Khud Faramoshi Ka Aalam,
Udhar Honton Pe Khamoshi Ka Aalam
Idhar Ek Raob Sa Chhaya Huaa Tha,
Udhar Chahere Pe Rang Aaya Huaa Tha
Rukh-e-pur- Noor Ki Jagmagahat
Labon Pe Halki-Halki Muskurahat.......
Tabassum, Aur Qayamat Ka Tabassum,
Wo Ek Masoomana Andaaz-e-Takallum.
Wo Samaan-e-Sukoon Zindagani,
Wo Izhaar-e-Kaamil Meherbani.........
Musallat Mujhpe Madhoshi Thi Lekin.
Labon Pe Muhar Khamoshi Thi Lekin,
Khuda Jaane Main Kya Kya Kah Raha Tha,
Koi Lafzon Ka Dariya Bah Rahaa Tha..
Falak Pe Chand Taare Sun Rahe Thay,
Sukoot-e-Shab Ke Maare Suun Rahe Thay,
Niyaaz-o-Naaz Ka Dil Suun Raha Tha,
Chiragh-e-Subah-e-Mahefil Suun Raha Tha.
Azaano Ki Sadaayen Aa Rahi Thi,
Duaayen Dil Se Maangi Ja Rahi Thi...
Ibaadat Mein Khalal Na Aaye Ya Rab,
Qayamat Tak Baaki Rahe Yahi Shab...
Magar Ye Iltejaaye Kaon Suntaa,
Gareebon Ki Duaayen Kaon Suntaa.
Namood Meher Aalam Taab Taoba,
Hua Manzar Ka Manzar Ek Khwab Taoba
Wohi Daastan-e-Shab Yaad Aa Rahi Hai
Jo Baaki Thi Wo Ab Yaad Aa Rahi Hai.....