Jahan fakhtaaon ki phurpharahat sey naghma-e-raaz-e-hayat main
Jhunjhunati saanson ki jhanjharain jo chanak uthain
To dhanak k rangon main bheeg jain havaas tak
Jahaan chaand maand na ho kabhi, jahan chaandni ki rida buney
Mairi baanjh dharti k baasiyon ka libaas tak
Jahan sirf hukm-e-yakeen chaley! jahan be-nishaan ho qayaas tak
Jahan aadmiyat k nutq-o-lab pai na sheher-e-yaar ka khof ho
Jahan sarsaray na aadmi ki ragon main koi hiraas tak
Jahan vehem ho na dilon main vehem ka sehem ho
Jahan sach ko sach sey ho wasta
Jahan jugnuon ko hava dikhati ho raasta
Jahan khushbuon sey badalti rut ko hassad na ho
Jahan pastiyon sey bulandiyon ko bhi qud na ho
Jahan khuaab aankhon main jagmagain to….
Jism-o-jaan k sabhi dareechon main teergi ka guzar na ho
Koi raat aisi basar na ho keh, bashar ko apni khabar na ho
Jahan daagh daagh seher na ho
Jahan kashtiyan hon rawan dawan_to samandaron main bhanwar na ho
Jahan barg-o-baar sey ajnabi_koi shaakh, koi shajar na ho
Jahan chehchahatey huey parindon ko_barishon k azzab ka koi darr na ho
Merey bass main ho to kabhi kahin_koi sheher aisa basaoon main
Jahan barf barf mohabbaton pai_gham-e-jaan ka asar na ho
Rah-o-rasm-e-dunia ki bandishain_gham-e-zaat k sabhi zaaiqey
Sum-e-kaainat ki talkhiyan_kisi aankh ko bhi na choo sakain
Jahan mairi saans ki tazgi,tairi chahaton k kanwal main ho
Taira husn mairi ghazal main ho,jahan kaainat ki ik sadaf
Shab-o-roz k kisi pall main ho
Jahan noha-e-gham-e-zindagi,mairi hichkiyon sey ayyan na ho
Jahan loh-e-khaak pai ummr bha,kisi be gunnah k khoon ka
Koi daagh, koi nishaan na ho
Koi sheher aisa kabhi,,,,…kahin! jahan dhoop chaon galey milain
Jahan baanjh rut main bhi gull khilain
Jahan chahaton k hujoom main_kabhi geet ammn k gaoon main
Jahan zindagi ka rijz parhoon_jahan be khulul gungunaoon main!
Jahan moj moj ki aut main tu kiran baney, muskuraoon main
Mairey bas main ho to kabhi kahin
Koi sheher aisa bassaoon main
( Mohsin Naqvi)