What's new

The hopelessly romantic dead poets' society :)

AHMAD NADIM QASIMI
~~~~~~~~~~~~~~

Jab tera hukm mila tark muhabbat kar di
dil magar is pe wo dharka k qayamat kar di

tujh se kis tarah main izhar-e-tamanna karta
lafz sujha to mani ne bagavat kar di

main to samjha tha ki laut ate hain jane wale
tune jakar to judai meri qismat kar di

mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar ata hai
teri ulfat ne muhabbat meri adat kar di

puch baitha hun main tujh se tere kuche ka pata
teri halat ne kaisi teri surat kar di

~~~~~~
 
SAMINA RAJA
~~~~~~~~

Kya aah bharay koei
Jab aah nahin jati
Dil say bhi zara gehri
Aur arsh say kuchh oonchi

Kya nazm likhay koei
Jabb khwab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkoal gada'ei ka
Sha'er ko diya jaey
Aur roak liya jaey
Jabb shaer utarnay say
Badal say zara oopar
Taron say zara neechay

Kya khaak likhay koei
Jabb khaak kay medan par
Ungli ko hilanay say
Toofan nahin uth'ta
Jabb shakh pay imkan ki
Iss dasht-e-tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Rahwar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Aur noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti
Ik neelay sitaray say

Jabb dil kay bulaway par
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik door ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata

Basti mein koei aurat
Raton ko nahin soati
Jaagi huwi aurat ki
Soei huwi qismat par
Jabb koei bhi deewana
Be chain nahin hota
Dehleez kay pathar say
Takra kay jabin apni
Ik shakhs nahin roata

Jabb neend kay shedaei
Khwabon ko tarastay hain
Aur dekhnay kay aadi
Binaei say dartay hain
Reh reh kay andheray say
Aankhon mein utartay hain

Aankhon kay ujalon say
In phool say bachchon say
Keh do k na abb nangay
Paa'on say chalein ghar mein
Iss farsh pay matti kay
Abb ghaas nahin ugti
Abb saanp nikaltay hain
Deewar say aur darr say

Abb noor ki boondon say
Mehki howi matti mein
Anmoal ujalay kay
Woh phool nahin khiltay
Abb jheel kanaray parr
Bichhray bhi nahin miltay
Basti mein koei aurat
Ratoan ko nahin soati
Aur jagnay walon say
Bbb nazm nahin hoti

Kya nazm likhay koei
Jabb jagnay,soanay mein
Paa lenay mein, khonay mein
Jabb baat kay honay mein
Aur baat na honay mein
Kuchh farq na reh jaey
Kya baat karay koei !

~~~~~~


 
MUNIR NIAZI
~~~~~~~~


Chaman main rang-e-bahar utra to main ne dekha
nazar se dil ka gubar utra to main ne dekha

main nim shab azma k hasrat ko dekhta tha
chaman main wo husn zar utra to main ne dekha

khumar mai thi wo chehra kuch aur lag raha tha
dam-e-sahar jab khumar utra to main ne dekha

gali k bahar tamam manzil badal gaye the
jo saya ek ku-e-yar utra to main ne dekha

ik aur dariya ka samna tha 'Munir' mujh ko
main ek dariya k par utra to main ne dekha

~~~~~~
 
Alright people, time for a very powerful piece which I truly admire. ......
Hello Bezerk, Man I believe whatever you are posting is great stuff, but beyond the understanding of me, an Urdu medium guy.
 
PARVEEN SHAKIR
~~~~~~~~~~~


Apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun

nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun
ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun

sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri
bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun

sab ziden us ki main puri karun har bat sunun
ek bache ki tarah se use hansta dekhun

mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah
ang ang apna usi rut main mahakta dekhun

tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun

main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun

tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat
jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun


~~~~~~
 
NASIR KAZMI
~~~~~~~~

Dil dharakne ka sabab yad aya
wo teri yad thi ab yad aya

aj mushkil tha sambhalna ai dost
tu musibat main ajab yad aya

din guzra tha bari mushkil se
phir tera wada-e-shab yad aya

tera bhula hua paiman-e-wafa
mar rahenge agar ab yad aya

phir kai log nazar se guzre
phir koi shahar-e-tarab yad aya

hal-e-dil ham bhi sunate lekin
jab wo rukhsat hue tab yad aya

baith kar saya-e-gul main 'Nasir'
ham bahut roye wo jab yad aya

~~~~~~
 
I'm not MIA...I'm doing my job very well.I'm here ,with all o' my being to applaud all the "raunchy stuff" and report as much "decent" stuff that sans romance and hopelessness ,as I can.Now the Chairperson my want to call the moderaters to account for my reporting has not been taken note of as yet.The exquisite piece of poery is still intact owing to their negligence.In that case (as I have not been able to play my role as a HRDPS member) I see myself as an embarassment to the hopeless romantics.

Jilting of love16

hopelessly i wonder in the Pakistan defense forum,
contribution i make and make.

to no avil to nadja,
I give thanks and applaud to even ranchy stuff.

Give time to report romance and hopelessness,
do mods give a care,

But my poetry is intact mind you,
but it slids into negligence.

Jilted, Jilted I scream out loud in the forum,
in the thread of romantic dead poets.

By jeypore

:D
 
Last edited:


Sung by Iqbal Bano and Mehdi Hasan, written by Hafeez Hoshyarpuri marhoom. Both Iqbal Bano and Mehdi Hasan have done a superb job in singing, and it is almost impossible to say who did better.

mohabbat karney waaley kam na hoNgey
tiri mahfil mein lekin hum na hoNgey

zamaaney bhar ke gham ya ik tira gham
ye gham hoga to kitney gham na hoNgey

diloN ki uljhaneiN badhti raheiN gi
agar kuchh mashwarey baaham na hoNgey

agar tu ittefaaqan mil bhi jaaye
tiri furqat ke sadmey kam na hoNgey

'Hafeez' un se maiN jitna badguman huN
wo mujh se is qadar barham na hoNge


Please re-read the Maqta'

Hafeez' un se maiN jitna badguman huN
wo mujh se is qadar barham na hoNge
 
Last edited by a moderator:
Rahiye ab aisi jagah chalakar jahaan koi na ho
hamasukhan koi na ho aur humazubaan koi na ho

Bedar-o-deevaar sa ek ghar banaaya chaahiye
Koi hamasaaya na ho aur paasabaan koi na ho
Rahiye ab aisi jagah ...

Padiye gar beemaar to koi na ho teemaar-daar
Aur agar mar jaaiye to, nauha-Khwaan koi na ho
Rahiye ab aisi jagah ...​

To be honest with you, it is not possible to enjoy Urdu poetry written in Roman. Aadha waqt to samajhney mein hi lag jaata hey key likha kya hey?

In that case here's a treat for you. Suraya performed it beautifuly in the movie Mirza Ghalib in late fifties. :enjoy:

 
Last edited by a moderator:

This Ghazal was sung by Noor Jahan.

NASIR KAZMI
~~~~~~~~

Dil dharakne ka sabab yad aya
wo teri yad thi ab yad aya

aj mushkil tha sambhalna ai dost
tu musibat main ajab yad aya

din guzra tha bari mushkil se
phir tera wada-e-shab yad aya

tera bhula hua paiman-e-wafa
mar rahenge agar ab yad aya

phir kai log nazar se guzre
phir koi shahar-e-tarab yad aya

hal-e-dil ham bhi sunate lekin
jab wo rukhsat hue tab yad aya

baith kar saya-e-gul main 'Nasir'
ham bahut roye wo jab yad aya

~~~~~~

All the pieces you have posted are great. You surely seem to have a very good taste.
 
Last edited by a moderator:
Did you know that Surayya never used playback singers? She's sung all the songs in her movies by herself.

Here are two of my favorites from Shamma Parwana:

Beqaraar hai koi (must listen!!!!)

Oh Parwane, Shamma ko apni ruswa na karna
 
Last edited by a moderator:


Was written by Fayyaz Hashmi marhoom and sung by several artists. However, I liked the one sung by Habib Wali Mohammed and Farida Khanum.

Aaj jaane ki zid na karo
Yunhi pehloo mein baithe raho
Aaj jaane ki zid na karo
Hai mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo

Tum hi socho zara, kyun na roke tumhe
Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum
Tumko apni qasam jaan-e-jaan
Baat itni meri maan lo
Aaj jaane ki zid na karo
Yunhi pehloo mein baithe raho
Aaj jaane ki zid na karo

Waqt ki qaid mein zindagi hai magar
Chand ghadiyan yehi hain jo aazad hain
Inko khokar mere jaan-e-jaan
Umr bhar na taraste raho
Aaj jaane ki zid na karo

Kitna maasoom rangeen hai yeh sama
Husn aur ishq ki aaj mein raaj hai
Kal ki kisko khabar jaan-e-jaan
Rok lo aaj ki raat ko
Aaj jaane ki zid na karo
Yunhi pehloo mein baithe raho
Aaj jaane ki zid na karo
 
Last edited by a moderator:
Hello Bezerk, Man I believe whatever you are posting is great stuff, but beyond the understanding of me, an Urdu medium guy.

Common Qsaark, I know you can easily understand them. It's just that you folks are doing such a great job in the Urdu department that I'm stuck with the English sector. Great stuff nonetheless, be it in English or Urdu. :tup:
 
Last edited:

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom