What's new

The hopelessly romantic dead poets' society :)

daad khaj khujli ka dushman ------ lol

but good sher - wah wah wah wah --- very optimist sher. even though he is talkign about -Marne . on a
----------------
i went to nizamudin - birth place of ghalib - it was over crowded
so just had some good kebab ( galauti and kakori ) there and got back home - his house is in mess , right in front of library. a kebab wala called galib in nizzamudin ( best beef kebab ever ) he look deadly but know all ghalib sher o shayri.
bought a book but it was either in hindi or urdu - neither i can read.
 
@ Raheel1: yeh kya ho raha hai beta?

The intro to this thread says: nothing raunchy!
 
if somebody can understand Punjabi try this .
 
Last edited by a moderator:
Yes, F16 is MIA here

I'm not MIA...I'm doing my job very well.I'm here ,with all o' my being to applaud all the "raunchy stuff" and report as much "decent" stuff that sans romance and hopelessness ,as I can.Now the Chairperson my want to call the moderaters to account for my reporting has not been taken note of as yet.The exquisite piece of poery is still intact owing to their negligence.In that case (as I have not been able to play my role as a HRDPS member) I see myself as an embarassment to the hopeless romantics.
 

Sung by legendary Iqbal Bano (my heart breaks while writing 'late' after her name, she passed-away on April 21, 2009) poetry by Qateel Shafai marhoom.

Kin kin ko marhoom likhna pad raha hey. In asatza ko parhtey suntey barey hooye, eik eik kar key sab hi chaley jaatey hein, yeh dekh kar zindagi bari bey-halawat ho jati hey. Na ab aisey kaamil sho'ra paida hongey, na unkey kalam ko aisey gaaney waaley fankaar. Khair rahey naam Allah ka.

ulfat ki nai manzil ko chala, tu banheN dal key banhoN mein
dil torne wale dekh key chal, ham bhi to pare haiN rahoN mein

kya kya na jafayeN dil pe sahin, par tum se koi shikwa na kiya
is jurm ko bhi shamil kar lo, merey masoom gunahoN meiN

jahaN chandni ratoN mein tum ne khud hamse kiya iqarar-e-wafa
phir aj haiN ham kyoN begane, teri beraham nigahoN meiN

ham bhi haiN wohi, tum bhi ho wohi, ye apni-apni qismat hai
tum khel rahe ho khushiyoN se, ham doob gaye haiN ahoN meiN
 
Last edited by a moderator:
Judgement

The inequity of fate
The pains of love and hate
The heart-sick memories
That brought you to your knees

And the times when we were young
When life seemed so long
Day after day
You burned it all away

All the hate that feeds your needs
All the sickness you conceive
All the horror you create
Will bring you to your knees
 
Rahiye ab aisi jagah chalakar jahaan koi na ho
hamasukhan koi na ho aur humazubaan koi na ho

Bedar-o-deevaar sa ek ghar banaaya chaahiye
Koi hamasaaya na ho aur paasabaan koi na ho
Rahiye ab aisi jagah ...

Padiye gar beemaar to koi na ho teemaar-daar
Aur agar mar jaaiye to, nauha-Khwaan koi na ho
Rahiye ab aisi jagah chalakar .................​
To be honest with you, it is not possible to enjoy Urdu poetry written in Roman. Aadha waqt to samajhney mein hi lag jaata hey key likha kya hey?
 
Alright people, time for a very powerful piece which I truly admire.

Dedicate this to your lost ones. Be it your loved ones, relatives, friends, parents, anyone! The author wrote this for her mother who passed away but I believe that anyone can relate to this for ANY situation. Enjoy!

One Last Goodbye


How I needed you
How I grieve now you're gone
In my dreams I see you
I awake so alone

I know you didn't want to leave
Your heart yearned to stay
But the strength I always loved in you
Finally gave way

Somehow I knew you would leave me this way
Somehow I knew you could never.. never stay
And in the early morning light
After a silent peaceful night
You took my heart away
And I grieve

In my dreams I can see you
I can tell you how I feel
In my dreams I can hold you
And it feels so real

I still feel the pain
I still feel your love
I still feel the pain
I still feel your love

And somehow I knew you could never, never stay
And somehow I knew you would leave me
And in the early morning light
After a Silent peaceful night
You took my heart away
I wished, I wished you could have stayed


 
Last edited by a moderator:
Sir! can i launch

''The hopefully romantic live poet's society''
:smitten:
 
MEER TAQI MEER
~~~~~~~~~~~~


A jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan
mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan

yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin
yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan

ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke
waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan

hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein
uth asman tale se ke shabnam bahut hai yan

is butkade mein mani ka kis se karen sawal
adam nahin surat-e-adam bahur hai yan

ajaz-e-isawi se nahin bahs ishq mein
teri hi bat jan-e-mujassim bahut hai yan

mere hilak karne ka gam hai abas tumhen
tum shad zindagani karo gam bahut hai yan

shayad ke kam subh tak apana khinchena 'Mir'
ahawal aj sham se darham bahut hai yan

~~~~~
 
GHALIB
~~~~~


Aina kyun na dun k tamasha kahen jise
aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise

hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guldasta-e-nigah suweda kahen jise

phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda
afsun-e-intazar tamanna kahen jise

sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise

hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise

darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise

"ghalib" bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise

~~~~~
 

ALLAMA IQBAL
~~~~~~~~~~


Kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar a libas-e-majaz mein
k hazaron sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein

tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho
wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein

tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina
k shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein

dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein

na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-nawaz mein

na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein

jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se ane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein

~~~~~
 

FAIZ AHMAD FAIZ
~~~~~~~~~~~

aiye hath uthayen ham bhi
ham jinhen rasm-e-dua yad nahin
ham jinhen soz-e-mohabbat k siwa
koi but, koi khuda yad nahin

aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti
zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de
wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin
unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de

jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin
unki raton main koi shama munawwar kar de
jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin
unki nazron pe koi rah ujagar kar de

jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile
jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko
dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile

ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se
aj iqrar karen aur tapish mit jaye
harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah
aj izhar karen or khalish mit jaye


~~~~~
 
AHMAD FARAZ
~~~~~~~~~


Ab kis ka jashn manate ho us des ka jo taqsim hua
ab kis k git sunate ho us tan-man ka jo do-nim hua

us khwab ka jo reza reza un ankhon ki taqdir hua
us nam ka jo tukra tukra galiyon main be-tauqir hua

us parcham ka jis ki hurmat bazaron main nilam hui
us mitti ka jis ki hurmat mansub udu k nam hui

us jang ko jo tum har chuk us rasm ka jo jari bhi nahin
us zakhm ka jo sine pe na tha us jan ka jo vari bhi nahin

us khun ka jo badqismat tha rahon main bahaya tan main raha
us phul ka jo beqimat tha angan main khila ya ban main raha

us mashriq ka jis ko tum ne neze ki ani marham samajha
us magrib ka jis ko tum ne jitna bhi luta kam samajha

un masumon ka jin k lahu se tum ne farozan raten kin
ya un mazlumon ka jis se khanjar ki zuban main baten kin

us mariyam ka jis ki iffat lutti hai bhare bazaron main
us isa ka jo qatil hai aur shamil hai gamkhvaron main

in nauhagaron ka jin ne hamain khud qatl kiya khud rote hain
aise bhi kahin damsaz hue aise jallad bhi hote hain

un bhuk nange dhanchon ka jo raqs sar-e-bazar karain
ya un zalim qazzaqon ka jo bhes badal kar var karain

ya un Jhute iqraron ka jo aj talak aifa na hue
ya un bebas lacharon ka jo aur bhi dukh ka nishana hue

is shahi ka jo dast-ba-dast ai hai tumhare hisse main
kyon nang-e-vatan ki bat karo kya rakha hai is qisse main

ankhon main chupaye ashkon ko honthon main vafa k bol liye
is jashn main bhi shamil hun nauhon se bhara kashkol liye

~~~~~~


 

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom