What's new

Panama Case - Post Verdict Discussion and Updates

. .
Agar ye achi baat hai ke fakhar ho...ke hum corrupt criminal ko phone kar ke mubaarakbaad detay hain aur uski khabar bahar nikalwaatay hain......ye achi baat hai..bilkol us tarah jaisy har NRO achi baat hoti hai....

Pakistan main jahan log corrupt logon ko elect kartay hain, wahan yeh aik achi baat hai.. logon ki perception change karna (jo ke aik nihayat hi mushkil, balkay namumkin kaam hai) is more important than anything else.. or else Martial Law..

Abb aap bataein, hum bhi tou ghair akhlaqi qadam ko support kartay hain? hum nahi kehtay ke forward block banwadia jaey? yeh bhi aik qisam ki corruption nahi hai? bhalay ghalat aadmi ko hatanay ke liey ho, lekin two wrongs don't make a right.. right?

Baqi rahi baat fakhar karnay ki.. tou hosakta hai ke fakhar nahi kia ho..

aur haroon rasheed sach main thoray fazul aadmi bhi hain.. unki baaton pe ziada dhiyan nahi dia karain.. woh banda kiyani ki tareef karta hai.. jo ke iss saaray game ka mastermind hai..

aap poochti hain ke aik acha kaam current leadership ka ho tou bataein.. tou NS ko na ehl karwanay main kirdaar tou hai.. warna na yeh bench banta, na whatsapp call hoti, na JIT ke members select hotay, na sari leads hotin..

Khair again saying, there is something going on behind the scenes which me and you don't know and shouldn't know. Nawaz knows about it though.. and his noise is not without a reason...

We still don't know who is involved, but there is someone, actually many people involved.. specific names ka tou NS ko bhi nahi pata.. lekin we can say that current leadership is not happy.. and they are not sitting idle either..

My only worry is that, courage is lacking.. the things are moving so slow.. Pakistan is on the verge of economic crisis, and very soon, you will be hearing about loan default.. why past leadership didn't check it and current leadership couldn't take any swift action to stop it when it all started? Then comes the strategy which is all about sending shareef family abroad.. in which judiciary is also taking part.. these are some of the actions with which I disagree.. Although sometimes I think, kicking NS out of country is better, but most of the time I am inclined towards putting him in jail.. One side of mine says that putting NS in jail will give him another life, another side says that he will comeback even if kicked out.. as he came back in the past.

I don't know.. what is right and what is wrong..

Main phir kehta hun, yeh assessment ki baat hai, hosakta hai ke main aur aap aik page par nahi aasakain.. lekin kuchh tou hai jo horaha hai behind the scenes..

Yeh phone karna, tabeeyat poochna, khairiat daryaaft karna, mubarakbaad dena, yeh sab sanwi baatain hain.. end result dekhna hoga.. abhi tak ka result yeh hai ke Nawaz na ehl hochuka hai, aur baqi khandaan thoray dinon main convict hojaega.. ya tou jail main jaega.. ya phir jila watan hoga.. iss ke ilawa koi aur result nikalta dikhai naih deraha.. as per information, jilawatni pe ziada zor hai.. aur iss par sab muttafiq hain..

Waisy Ch NAB ke liye jo 6 naam discuss horahay hain.govt se..acc to Khursheed Shah..

Waah kiya naam hain..

Names suggested by opposition
Justice (R) Faqir Muhammad khokhar .. I googled him and this is what i found https://en.m.wikipedia.org/wiki/Faqir_Muhammad_Khokhar Waah

Justice (R) Javed Iqbal

Ishtiaq Ahmed former secy election commission in 2013 ... Bhtt hi achay elections huay thay na..2013 ke..jo inka naam suggest kiya gaya hai...

Govt's names
Aftab Sultan
Justice (R) Rehmat Jaffery
Justice (R) Ejaz Ahmed Chaudhry

Jo names PPP aur PMLN ki taraf se aarahay hon, unn ko bhi google karnay ki zaroorat hai?

Kia baat karti hain aap bhi.. :lol::lol::lol:
 
.
Pakistan main jahan log corrupt logon ko elect kartay hain, wahan yeh aik achi baat hai.. logon ki perception change karna (jo ke aik nihayat hi mushkil, balkay namumkin kaam hai) is more important than anything else.. or else Martial Law..

Abb aap bataein, hum bhi tou ghair akhlaqi qadam ko support kartay hain? hum nahi kehtay ke forward block banwadia jaey? yeh bhi aik qisam ki corruption nahi hai? bhalay ghalat aadmi ko hatanay ke liey ho, lekin two wrongs don't make a right.. right?

Baqi rahi baat fakhar karnay ki.. tou hosakta hai ke fakhar nahi kia ho..

aur haroon rasheed sach main thoray fazul aadmi bhi hain.. unki baaton pe ziada dhiyan nahi dia karain.. woh banda kiyani ki tareef karta hai.. jo ke iss saaray game ka mastermind hai..

aap poochti hain ke aik acha kaam current leadership ka ho tou bataein.. tou NS ko na ehl karwanay main kirdaar tou hai.. warna na yeh bench banta, na whatsapp call hoti, na JIT ke members select hotay, na sari leads hotin..

Khair again saying, there is something going on behind the scenes which me and you don't know and shouldn't know. Nawaz knows about it though.. and his noise is not without a reason...

We still don't know who is involved, but there is someone, actually many people involved.. specific names ka tou NS ko bhi nahi pata.. lekin we can say that current leadership is not happy.. and they are not sitting idle either..

My only worry is that, courage is lacking.. the things are moving so slow.. Pakistan is on the verge of economic crisis, and very soon, you will be hearing about loan default.. why past leadership didn't check it and current leadership couldn't take any swift action to stop it when it all started? Then comes the strategy which is all about sending shareef family abroad.. in which judiciary is also taking part.. these are some of the actions with which I disagree.. Although sometimes I think, kicking NS out of country is better, but most of the time I am inclined towards putting him in jail.. One side of mine says that putting NS in jail will give him another life, another side says that he will comeback even if kicked out.. as he came back in the past.

I don't know.. what is right and what is wrong..

Main phir kehta hun, yeh assessment ki baat hai, hosakta hai ke main aur aap aik page par nahi aasakain.. lekin kuchh tou hai jo horaha hai behind the scenes..

Yeh phone karna, tabeeyat poochna, khairiat daryaaft karna, mubarakbaad dena, yeh sab sanwi baatain hain.. end result dekhna hoga.. abhi tak ka result yeh hai ke Nawaz na ehl hochuka hai, aur baqi khandaan thoray dinon main convict hojaega.. ya tou jail main jaega.. ya phir jila watan hoga.. iss ke ilawa koi aur result nikalta dikhai naih deraha.. as per information, jilawatni pe ziada zor hai.. aur iss par sab muttafiq hain..



Jo names PPP aur PMLN ki taraf se aarahay hon, unn ko bhi google karnay ki zaroorat hai?

Kia baat karti hain aap bhi.. :lol::lol::lol:


Aap sabir shakir type ke log masla ka hal me maslihat nikal lete hain. Agar aap jese martial Law lagaen to behtar ha chor do inko.


Jilawatni to faislay wale din offer hui hogi. Ab agar fauj unhe bhagaye to ye ghair ayeeni amal hoga.


Jis mulk me insaf na mile waha khana jangi ek haadsa door hoti hai. Ye power game hai aglay atay IMF world Bank loans ka. Agar baniya amreeka le ata hai to phir yaha sectarian war hogi.

I always say to Pakistanis. You don't need a narrative. The world needs one.

Ikhlaaqiat zero value rakhti hai jahan nau maulood bache sarrkon pe kachre per milen.

Ghar me jab bache qaum k faisla veto karden waha amal barsaat baad hi hoga ab
 
.
aap poochti hain ke aik acha kaam current leadership ka ho tou bataein.. tou NS ko na ehl karwanay main kirdaar tou hai.. warna na yeh bench banta, na whatsapp call hoti, na JIT ke members select hotay, na sari leads hotin..

@bold... Chalein ji.. Atleast jis ka jo credit hai..usay lenay dein.. Ye nahi ke har cheez main inhein ghusaa diya jaye ke NS ki na ehli main establishment ka kisi hadd tak kirdaar hai..

Aap keh rahay hain ke inki wajah se ye bench banaa..phir na ehli hui? Pehle tu Anwar Zaheer Jamali case sunn rahay thay..woh bhaag gaye....phir current CJ..kiun ke NS ke lawyer reh chukay thay...tu Saqib Nisar khud bench se alag hogaye.......tu J Khosa bench ke head ban gaye as he was senior most after CJ...aur woh pehle bhi bench main thay........3 judges pehle walay thay..aur J Ejaz Afzal aur Justice Gulzar bench main add hogaye..as they were senior most too..after J Khosa.. So iss main. Koi rocket science nahi..ye simple si baat hai ke 3 judges wohi rahay pehlay walay aur 2 senior most ko add kar liya..is bench main..tu establishment ka credit kahan se aagaya..iss bench ke bannay main?

Sab se pehle tu J Khosa aur Gulzar ne na ehal kiya.............aap ke kehnay ka matlab ke Justice Khosa ne establishment ke kehnay aur push karnay par na ehal kiya? Kuch bhi keh dein..ye na kahein... Justice Khosa ki jo integrity aur reputation hai...aap ka kia khyal hai ke woh kisi ke kehnay par na ehal karein ge? Mera khyal hai ke ye unki bhtt bari insult hogi..mera nahi khyal ke J Khosa ki is se bari koi insult hosakti hai..

Whats app call.. SC ne open hearing main admit kiya ke hum ne whats app call karaayi... Amir Aziz ko tu jaantay hi thay J Sheikh Aamat..hosakta hai ke Bilal Rasool ko bhi inn main se koi jaanta ho..

Lekin main ye nahi maan sakti..ke judges ne establishment ki support ki wajah se na ehal kiya.. Sab se pehle tu J Khosa aur Gulzar ne na ehal kiya..un ke liye man kabhi nahi maan sakti... Aur phir 3 judges ne bhi poora time le kar na ehal kiya..koi jaldi nahi ki... Humein tu pehle unka faisla na pasand hi tha... Mujhe iss main establishment ka role kahin nazar nahi aata.. Aur Justice Khosa jaisy judge....ke baaray main koi kisi aur ko credit dey...ke establishment ka koi khufia haath hai..un ke na ehal karnay main..... Kabhi bhi nahi..maan sakti..

Is liye humein establishment esp current establishment ko koi fuzool main credit nahi dena chahye.. Unka ab tak ka attitude sab ke saamnay hain..

Agar judges ne koi acha kaamkiya hai..tu unko hi credit jaata hai.. Kisi aur ko nahi
 
Last edited:
.
Jilawatni to faislay wale din offer hui hogi. Ab agar fauj unhe bhagaye to ye ghair ayeeni amal hoga.

Jilawantni offer nahi huee.. dara kar jilawatni par majboor kia gaya.. lekin aglay ne saaray plan pe 2 minute main wapis aanay ka faisla kar ke pani pher dia..
 
.
Jilawantni offer nahi huee.. dara kar jilawatni par majboor kia gaya.. lekin aglay ne saaray plan pe 2 minute main wapis aanay ka faisla kar ke pani pher dia..

Sir itna seedha mujhe samajhtay hain ya khud bhi hain?

Sir ye makafaat e amal me phanse hain. SC ne faisla jo diya usse acha nahi de sakti thi as it's not trial court.

Qazi ki baat nahi manna koi Karnama nahi. Economic terrorism ka shoor pehle se mach raha hai.

Ye itni dheel jo di jarahi ye Karnama hosakta hai.

SC 184-3 190 lagaegi. Ye sab ko maloom hai chunke 6 months me nahi hosakta. Usse pehle azaad hain. NRO hochuka hai agar mian mansha malik riaz meetings hogai hain.
 
.
@bold... Chalein ji.. Atleast jis ka jo credit hai..usay lenay dein.. Ye nahi ke har cheez main inhein ghusaa diya jaye ke NS ki na ehli main inka kisi hadd tak kirdaar hai..

Aap keh rahay hain ke inki wajah se ye bench banaa..phir na ehli hui? Pehle tu Anwar Zaheer Jamali case sunn rahay thay..woh bhaag gaye....phir current CJ..kiun ke NS ke lawyer reh chukay thay...tu Saqib Nisar khud bench se alag hogaye.......tu J Khosa bench ke head ban gaye as he was senior most after CJ........3 judges pehle walay thay..aur J Ejaz Afzal aur Justice Gulzar bench main add hogaye..as they were senior most too..after J Khosa.. So iss main. Koi rocket science nahi..ye simple si baat hai ke 3 judges wohi rahay pehlay walay aur 2 senior most ko add kar liya..is bench main..
Sab se pehle tu J Khosa aur Gulzar ne na ehal kiya.............Matlab ke Justice Khosa ne establishment ke kehnay aur push karnay par na ehal kiya? Kuch bhi keh dein..ye na kahein... Justice Khosa ki jo integrity aur reputation hai...aap ka kia khyal hai ke woh kisi ke kehnay par na ehal karein ge? Mera khyal hai ke ye unki bhtt bari insult hogi.. Whats app call.. Amir Aziz ko tu jaantay hi thay J Sheikh Aamat..hosakta hai ke Bilal Rasool ko bhi inn main se koi jaanta ho..

Lekin main ye nahi maan sakti..ke judges ne inn ki suppor ki wajah se na ehal kiya.. Sab se pehle tu J Khosa aur Gulzar ne na ehal kiya..un ke liye man kabhi nahi maan sakti... Aur phir 3 judges ne bhi poora time le kar na ehal kiya.. Mujhe iss main establishment ka role kahin nazar nahi aata.. Aur Justice Khosa jaisy judge....ke baaray main koi kisi aur ko credit dey...ke establishment ka koi khufia haath hai.. Kabhi bhi nahi..

Aap ghalat samajh rahi hain.. main yeh nahi keh raha ke judges ko push kiya gaya..

Mera kehnay ka matlab tha ke aisay judges ka bench bana jo azadana faislay karsakay.. woh bench jo merit pe faisla karay.. aisa bench yehi hosakta tha..

chalain bench ko chorain.. aap nahi manteen ke bench main kisi ka kirdaar tha.. JIT ki selection main main aap ko 110% yaqeen se batata hun ke ke establishment ka kirdaar tha.. aap ko maloom hoga main yeh baat apni taraf se nahi keh raha.. phir leads sari mojud theen.. yeh bhi aap se ziada koi nahi janta ke main apni taraf se nahi keh raha..

Aap ko aik baat bataun.. agar establishment NS ki taraf hoti tou na ehli nahi hoti.. kuchh bhi hota, na ehli nahi hoti.. jaisay establishment ne 2014-15 main nahi chaha ke 60% dhandli ke bawajud hukumat khatam ho.. koi kuchh nahi karsaka.. nazariya zaroorat uss waqt yeh tha (confirmed) ke CPEC ke liey stability zaroori hai.. isi tarah Panama ka faisla bhi hosakta tha.. koi evidence hi nahi aata.. kyun ke imaandaar officers hi nahi hotay..

SC ne faisla jo diya usse acha nahi de sakti thi as it's not trial court.

Adlia ke faislay ke baad ki baat kar raha hun..
 
.
Aap ghalat samajh rahi hain.. main yeh nahi keh raha ke judges ko push kiya gaya..

Mera kehnay ka matlab tha ke aisay judges ka bench bana jo azadana faislay karsakay.. woh bench jo merit pe faisla karay.. aisa bench yehi hosakta tha..

chalain bench ko chorain.. aap nahi manteen ke bench main kisi ka kirdaar tha..

.

Pehle bench ki baat kar lein.. Pehla bench tu Anwar Zaheer Jamali wala tha na? Uska kia hua? Jamali sb tu bhaag gaye thay... Jab new bench bana...tu us main tu koi rocket science hai hi nahi..bilkol logical tha..jo bench bana....iske ilaawa hota tu kuch suspicious ya khufia cheez hosakti thee...iss bench main nahi thee..

Pehle bench ke hi 3 members thay..jis ke head bhaag gaye thay... Saqib Nisar aagaye tu woh bench se alag hogaye.. Unke CJ bannay se pehle ek pic bhi circulate hui thee...spcial media parke ye NS ke sath hain...jo ke fake hi thee... Lekin CJ..is bench se alag hogaye.. Phir J Khosa ne hi head banna tha logically... Is main koi khufia haath kaisy aagaya? Aur jo 2 doosray judges add huay..woh bhi senior most... Agar tu members select hotay..jo randomly select hotay seniority main..tab tu soch saktay thay ke koi khufia cheez hogi..ya kisi ne jaan boojh kar..particular judges ko bench main shamil karaaya hai..........lekin Ye jo bench select hua..is main 3 pehle walay judges ( J Khosa, J Sheikh Azmat, J Ijaz ul Ahsan) ke ilaawa 2 senior most judges (J Ejaz Afzal, J Gulzar) add hogaye.. Ye tu bilkol straight forward aur least controversial approach thee..is bench ke liye..

Iss main aap ko establishment ka koi kirdaar kaisy nazar aata hai? Ye samjhaa dein?

Aur agar aap ye maan rahay hain ke ye aisy judges thay..jo azaadana faislay de saktay thay..phir tu inhon ne JIT bhi achay hi officers ki select karni thee....agar yeh khyd honest hain...tu honest officers hi select kartay.JIT main... Amir Aziz ke baaray main t sab jaantay hain ke J Sheikh Azmat Saeed jaantay thay unhein pehle se.. Sirf Bilal Rasool ka pata nahi.. Shayad 5 judges main se koi jaanta ho unhein bhi..pehle se..tu iss liye agar judges ne honest officers select kiye thay tu agar establishment NS ki taraf hoti..tab bhi na ehli ho jaati....

Aur jo aap keh rahay hain..leads wali baat.. Us main bhi zuroori nahi ke top leadership shamil ho.. Aisy kaafi leads tu pehle hi purani NAB aur FIA investigations main theen hein.. Koi new jo aayi hongi..zuroori nahi ke top leadership shamil ho..
 
. . .
Pakistan is being turned into a Banana republic by Nawaz to avenge his disgrace.

Now its not just a free for all but everything goes.

Nawaz League has made some strange bed fellows to garner international support for the disqualified Kingpin. Remember the remark by Kh Asif in USA that PMLN is more liberal than PTI as PTI has more religious inclination.

Now Qadyanis are being accommodated at the cost of our very faith.

In its quest to show its secular streak, PMLN has made an astonishing change in mandatory oath:

IMAG1623.jpg


Inna LiAllahe wa Inna Elaihe Rajioon.
 
. .
Jilawantni offer nahi huee.. dara kar jilawatni par majboor kia gaya.. lekin aglay ne saaray plan pe 2 minute main wapis aanay ka faisla kar ke pani pher dia..

Mian Sahab ki poori koshish hai kay amreeka cheen ki proxy jang laren wo yaha.

Ab ye itna mushkil faisla bhi nahi jay isse pehle log apka decide kren aap apna khud decide krlen.

Pakistani awaam har qism kay masle se larr sakti hai bharosa to karen. Qanoon ki paasdari to karen
 
.
Pehle bench ke hi 3 members thay..jis ke head bhaag gaye thay...

Tou bench toot gaya tha? Phir dobara wohi 3 judges select hogaey? Bench tootnay ke baad kia pichlay bench se kisi ko lene ki zaroorat hoti hai?

Khair I know you will not agree, and there are very weak signals of involvement.

What I can say with confidence is that there was something in (1) rejection and (2) selection of honest JIT people, aur yeh main apni taraf se nahi keh raha..


Amir Aziz ke baaray main t sab jaantay hain ke J Sheikh Azmat Saeed jaantay thay unhein pehle se..

Tou iss ka matlab Shaikh Azmat Saeed (urf Pakora) shuru se achay judge thay? Hamain aik baat karni chahiey.. ya tou Sh. Azmat zabardast judge thay.. aur hamari ghalti thi ke ham ne unhain pakora ka laqab dia.. ya phir hamain yeh man'na chahiey ke sirf unhon ne amir aziz ko select nahi kia..

Us main bhi zuroori nahi ke top leadership shamil ho..

Aap jo baat kar rahi hain woh assumptions hain.. ke zaroori nahi aisa hua ho.. zaroori nahi ke kisi ka kirdaar ho... main aap ko jo baat bata raha hun, woh majority of ---- se ayee hai..

Jahan tak baat hai ke koi specific person involved hai, iss par tou main aap ko pehlay bata chuka hun ke sachi baat hai kisi ko nahi pata kaun involved tha.. yeh tou shayad hum pehlay bhi discuss karchukay hain.. lekin yeh top tier ki karastani hai... aur kisi aik ki nahi hai..

Sirf Bilal Rasool ka pata nahi.. Shayad 5 judges main se koi jaanta ho unhein bhi..

Shayad nahi.. unhain koi nahi janta tha.. :)

Aisy kaafi leads tu pehle hi purani NAB aur FIA investigations main theen hein..

Nahi theen.. kafi leads nahi theen.. jo theen woh bekar theen.. aik hudaibiya tha.. it started with flats.. lekin volume 10 (jo ke in shaa Allah hamari zindagi main khul jaega), buhat different hai.. aisa kuchh nahi tha pehlay se..

jabhi tou Sh. Azmat se page 84 khol kar khuwaja haris ko kaha ke aap dekhain aur advise karain ke public kardain.. khuwaja haris peechay hat gaya.. aisa kia dikhaya judge sahib ne jo pehlay se duniya ko pata tha?

baji masla ye hai ke pmln ke saare members ganjey ke chelay hen or kabhi bhi foj ka sath nahi den ge.

You are right.. forward block ki koshish huee.. khabrain bhi ayeen.. lekin NS ka wapis aanay ka faisla, aur phir amendment aur phir party sadar banna.. sab kuchh pani pher gaya..
 
.

Pakistan Defence Latest Posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom