What's new

Panama Case - Post Verdict Discussion and Updates

Sir mujhay vote denay pe issue nahi hai masla yeh hai ke jab aap vote hi abid sher ali or khursheed shah jesay logon ko dengay tu phir wohi hoga jo abhi ho raha hai.

to har dafa wo khare honge election me to vote mil jaega.

ECP ko bech kar chanay wagera kion nahi kha laitay.

uss building ka koi behtar istemaal dhoond len.

hame to bachpan se lalkaara jaraha hai k kuttay ko bhi khara karenge to usse bhi vote hum denge. ab sir shareef aadmi ghar baithe dil me dua hi karta hai aap kia chahtay hain kay Musa ki tarha khoon karde kisi?

khoon kar bhi diya to aglay din hamaari AAALA ADLIYAA phansi dedegi forun chunke sir phir to insaf kay taqazay poray hona zarori hain...

wo 12 saal ka bacha hamid ko maar dia waha kuch nahi hua
gharelo mulazim ki laashen ziaadti roz hoti hai saza aj tak nahi hui
rape cases chaaqu maarne wala ye sab apni jagah horaha hai
per GUTKAY ki factory per chaapay parna zarori hai.

sir majmooi khaakiya yahi banta hai kay ghareeb ko insaf or ameer ko chain nahi mil sakta Pakistan me.
 
.
I think ..reason ye hai ke saaray accused ka present hona zuroori hota hai..shayad..for indictment.. Kal shahid Masood bhi ye zikr karrahay thay..aur mera bhi ye khyal hai ke aisa hota hai..

Next hearing par agar baqi log na aaye...afte non bailable warrants..uske baad shayad 3 yr ki saza hosakti hai...according to NAB ordinance... Phir Nawaz sharf ka kiya hoga..pata nahi..
Agreed, i think this is also important to fix responsibility jointly as this is the case of Benami property ... NS is trying hard to treat his children separately as assets are under children name and he will get cleared if tried separately.
 
this is not a case for BENAAMI property.
Please do not misguide people.
It has been proven that Maryam indeed holds these properties as the beneficial owner and on the floor of parliament people have claimed the property.

Benaami property was more of a Surrey Palace thing.

Benaami property hamaray ghar kay koney me bhi thi. government ne 3 mahinay me faisla suna kay zabt karli thi. ye time delay tactics nahi chalengi.

chalaki nahi chalegi kisi ki bhi taraf se.

chahay SC PA P ya any other institution.
 
Bhai then why NS is included ? the case is NS are benamidar of NS ... NS has transferred these corruption property to his children ... As Maryam has no source of income therefore if proven she has the property in her name then she will be consider as Benamidar of NS ...
 
to jab ghar ka sarbarah aaj adalat me tha to fard e jurm kio nahi aaid hui?
source of income to is chachay ganjay ki bhi nahi jo property bana sake according to tax returns.

awaami adalat jabhi bolte hai band kamre me nahi honi chaiye.
sawaal ziada hote jarahay hain...case political hota jaraha hai...

ye baat ziada mushkil nahi aapkay or mere samajh me....
koi waqiya hojae abhi to nazariya e zarorat laga kar sab bach jaenge siwaye IK jo disqualify hojaega.
 
.
to har dafa wo khare honge election me to vote mil jaega.

ECP ko bech kar chanay wagera kion nahi kha laitay.

uss building ka koi behtar istemaal dhoond len.

hame to bachpan se lalkaara jaraha hai k kuttay ko bhi khara karenge to usse bhi vote hum denge. ab sir shareef aadmi ghar baithe dil me dua hi karta hai aap kia chahtay hain kay Musa ki tarha khoon karde kisi?

khoon kar bhi diya to aglay din hamaari AAALA ADLIYAA phansi dedegi forun chunke sir phir to insaf kay taqazay poray hona zarori hain...

wo 12 saal ka bacha hamid ko maar dia waha kuch nahi hua
gharelo mulazim ki laashen ziaadti roz hoti hai saza aj tak nahi hui
rape cases chaaqu maarne wala ye sab apni jagah horaha hai
per GUTKAY ki factory per chaapay parna zarori hai.

sir majmooi khaakiya yahi banta hai kay ghareeb ko insaf or ameer ko chain nahi mil sakta Pakistan me.

Sir mazrat ke sath main apse agree nahi karta, apkay samnay election main aik chor khara hai or aik zara dhang ka insaan, ap se kis bawlay ne kaha hai ke aap chor ko vote dain ? kyun detay hain uski bhi wajah batata hon, wajah yeh hai ke kia ameer kia ghareeb min hes ul qoom hum sab ke sab corrupt hain, har kisi ke apnay mafadaat hain jo mulki mafaad ke samnay ajatay hain, farq ameer ghareeb ka nahi farq chotay or buray chor ka hai, aqal or shaoor ameeri ya ghareebi ki mohtaaj nahi hai, zaati mafadaat se balatar hoker jab tak mulki mafaad ko tarjeeh nahi dengay vote detay huway aap logon ke sath yehi kuch hota rahega.
 
jab tak choor uchakka lotera vote mangayga usse vote milte rahenge. ye kaam awaam ka nahi hai k wo decide kare kon chor hai or kon nahi.

ye kaam idaron ka hai.

sharam nahi aati majboor ko uski majboori ka tana dete huay? ye ajeeb danishmanda baat ki aapnay janaab.

bhai ye ECP NAB or baqiya idaray banaye kion hain phir? waha se tasdeeq hokar hi ata hai na banda kay ye 62 63 pe utarta hai. koi na koi idara zimedari to leta hai na kay ye jo item khara hai ye honest hai...

agar awaam ko judge banana hai to phir adliya ko parliament kay nechay kardo...
 
Meray bhai phir election ki kia zarorat hai jab public ne achay or buray main tameez hi nahi karni ? phir tu seedha seedha ECP, NAB or SC ko keh detay hain ke poray mulk se 200 plus aisay imaan daar log pick karke de dain jinka ka maazi or haal daagh daar na ho unko lay jakar parliament main bitha dain direct, jab har kaam idaron ne hi karna hai bhai tu phir election karwanay ki kia zarorat hai idaray hi pick karkay dhang ke log laga dengay direct, or reh gaye baat sharam ki tu bhai mujhay nahi ati sharam main bay sharam admi hon or intehai bay sharmi se dankay ki chot pe sahi ko sahi or ghalat ko ghalat kehta hon.
 
.
Abhi tak samajh nahi aaya ke..why bailable arrest warrants were issued for only maryam nawaz? While others were issued non bailable arrest warrants? Agar ye wajah thee ke summon receive nahi huay thay..tu captain safdar bhi tu uske saath hi tha? Uske bhi receive nahin huay thay..phir Maryam ke bailable arrest warrant kiun..aur captain safdar ke non bailable arrest warrants kiun?

Ye tu haal hai judge sb ka.. Ye kia faisla karein ge..sharifs ke against?

:wave::wave: Justice in Pakistan

Ooper se...court proceedings..not open to media..tu public ko pata hi nahi ke andar ho kia raha hai?
 
.
Meray bhai phir election ki kia zarorat hai jab public ne achay or buray main tameez hi nahi karni ? phir tu seedha seedha ECP, NAB or SC ko keh detay hain ke poray mulk se 200 plus aisay imaan daar log pick karke de dain jinka ka maazi or haal daagh daar na ho unko lay jakar parliament main bitha dain direct, jab har kaam idaron ne hi karna hai bhai tu phir election karwanay ki kia zarorat hai idaray hi pick karkay dhang ke log laga dengay direct, or reh gaye baat sharam ki tu bhai mujhay nahi ati sharam main bay sharam admi hon or intehai bay sharmi se dankay ki chot pe sahi ko sahi or ghalat ko ghalat kehta hon.

sir ye behas murghi pehle ayi ya anda wali hai.

jab ye log ECP se agay nahi niklenge to vote kese milenge inko?
district level pe awaam ko pata hai kay kon kidhar uthta bhetta khata peeta hai.

apki baat maan li kay 5 saal me ek dafa raaye dena ya lena bilkul ghalat baat hai...
laken bebas hain log janaab.... bhook aflaas kufr ko asaan bana deti hai yaha to log phir corrupt ko vote dete hain.

corruption kay khilaaf koi fatwa kion nahi de pata me bare bare so called allama or maulana se poch chuka hon or alhumdulilah unko bhi mene utna hi bebas paya jitna mene kisi MLA ya MPA ko.

status quo nahi badal sakta jab tak ek khooni inquilaab na aye. log apni ankhon se na dekh len k saza bhi mil sakti hai... tab tak doodh me paani milaya jaega or gosht me pressure se nassen phulayi jaengi.
 
Khooni inqalab nai ata sir, in tiloon main tail nahi hai, han aik adad Bhiyanak Martial law zaror asakta hai jis main achay achon ki cheekhain nikal jayengi.
 
Martial Law nahi aega.

Most probably koi haadsa hoga jiske effects me koi baghawat type shizz hojaegi.

Martial Law nahi lag sakta Pakistan me ab.

Sir aap apni mulk ka make up nahi samajh rahe. ye 1857 se ek tabqa apko rule kar raha hai poray sub continent me. inki 170(70 for Pakistan) saal ki hukumat ese nahi paltegi.

aap in sab ka record nikaal ke dekh len. in sab ko Her Majesty ne nawaza tha 1857 se or wahi log aaj bhi hukumraan hai.... total 1150 log or 40 khandaan. ye apki country ka chappa chappa own karte hai. i am a defence analyst and i was the first one to raise the issue kay har jagah zameenen nahi becho galay ka phanda ban jaega mamla per us waqt log nazariya e zarorat or koi weird logic of allah ne diya hai ab kia karen use karte they.

ye mulk ese hi chalta rahega jab tak arabi barbaad nahi hote yaha tak k majbooran waha democracy ajayegi or phir majbooran log bolenge bhaar me gaya sab ye banda mehdi hai or phir jange shuru hojaengi.

ye sab mujhe maloom hai wo to kisi nay kaha k insaf mil raha hai saste me to me ese hi umeed lagaye yaha agaya warna mera asli kaam jo mujhe diya gaya hai wo raddul fassad hai k ye log apas me na laren baaki khair hai....

har saal hajj me decide hota hai kay financial mamlaat theek rahe...kisko kitna milega kon kitna kaha lagaega...

warna all it takes is one Khutba in Hajj or phir dama dam mast qalandar as far as Muslim world is concerned.
 
Sir aap apni theory pe qayam rahen or main apni, i dont see any inqalaab in the near future and that too a khooni one, hopefully there wont be any Martial Law either lekin if zalalat continues then we might hear some thing like meray aziz hum watno.
 
.
image.jpg

Aur aaj ye judge keh raha hai ke main ne Rangers ko nahi bulaaya...

https://www.siasat.pk/forum/showthr...f-Rangers-outside-court-Judge-Mohammad-Bashir

Ye kia drama lagaa rakha hai..iss judge ne? Ye judge bhi aik topi drama hai... Lagta hai ke iss judge par bhi 62/63 lagni chahye.. Last hearing par rangers ko bulaaya aur abb keh raha hai ke main ne nahi bulaaya...
 
.
Sir aap apni theory pe qayam rahen or main apni, i dont see any inqalaab in the near future and that too a khooni one, hopefully there wont be any Martial Law either lekin if zalalat continues then we might here some thing like meray aziz hum watno.

mere aziz hum watanon to hoga laken martial law nahi lagega....

Allah ne apke liye behtari likhi hai sirf sabr ki talqeen hai....
 
.
Back
Top Bottom