What's new

Naswar Corner

Status
Not open for further replies.
Mujhko Dushman K Irado Pe Bhi Pyar Aata Hai,
Teri Ulfat Ne Muhabbat Meri Addat Ker Di..!!

oye kuch tey sharam kar janani naal kushti ladega tu.tey pahale janani ban ja.
acha g to or kro post anti pakistani threads yaha py.:lol:
Us din to bara josh aya tha apko ap jb main kah rha tha k mjhe shak ha k ap RAW ki agent hain.
Apne jawab dia k samajny ki kya baat ha main to khud kahti hu k main RAW ki agent hu:lol:
Aao na phir ab!:lol: ISI ka mukabla kro g
 
Is Bheegi Sham K Sa’ey Mein
Chupkey Se Agr Tum Aa Jao
Yeh Sham Suhani Ho Jaye
Rangeen Kahani Ho Jaye
Wo Baat Jo Lab Na Keh Sakey
Aankhon Ki Zubani Ho jaye
Koi Pyar Ka Naghma Tum cher
Koi Pyar Ka Geet Sunaen Hum
Han Pyar Karen Yun Hum Dono
Yeh Raat Suhani Ho Jaye
Main Baithoon Tere Pehlon Mein
Kuch Dil Ki Baaten Ho Jayen
Tum Ungliyan Phairo Mere Baalon Mein
Hum Meethi Neend So Jayen
Is Bhegi Sham Suhani Mein
Chupky Se Agr Tum Aa Jao
 
acha g to or kro post anti pakistani threads yaha py.:lol:
Us din to bara josh aya tha apko ap jb main kah rha tha k mjhe shak ha k ap RAW ki agent hain.
Apne jawab dia k samajny ki kya baat ha main to khud kahti hu k main RAW ki agent hu:lol:
Aao na phir ab!:lol: ISI ka mukabla kro g
RAW ki female spies honeytraps hoti hain kushti ki pehalwan nahi.honetraps are more deadlier...:devil:

acha bhaio aur behn (ajtr) main gya ....
Asalam o alaikum

bye bye.
shaba khair.
 
Umair Nawaz khayal kar yeh hal hony wala hai tera aik bar aur kushti ka kaha aur :guns:

1347779664.jpg
 
Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai
Tumhari ‘’han’’pe wohi sardiyon ka mosam hai
Darakhat par jo kabhi choriyon se dala tha
Us ikk nishan pe wohi sardiyon ka mosam hai
Ye aik hum k nai boliyan sada bolain
Teri zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai
Sulag rahi hain dahan me qabaen lafzon ki
Magar zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai
Tumhare ane pe soraj k hath chamken ge
Mere makan pe wohi sardiyon ka mosam hai
Har aik simat pigalane lage hain sanate
Tere biyan pe wohi sardiyon ka mosam hai
Jahan jahan teri khoshboo k rang bikhare hain
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mosam hai
Teri judai k pal se howa hai ishaq hanok
K iss jahan pe wohi sardiyon ka mosam hai
Wo ‘’han’’ kare gi baharon me us ka wada tha
Us aik ‘’han’’ pe wohi sardiyon ka mosam hai
Wo mujh ko sonmp gea farqaten decembe ki
Darakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mosam hai
Hamare lab to duaen jalae rakhate hain
Par asman pe wohi sardiyon ka mosam hai
 
MANZILA TO MAHAIZ DOKHA HAI
KE SAFAR KABI KHATAM NAHI HOTA

JAISA KISI SARAY MAI
KUCH DAIR SUSTANA KE BAD
KUCH DAIR ARAM KA BAD
MUSAFIR KO AGA BARNA HAI

KISI NAI MANZIL KI TALASH ME
KISI NAI MAQSAD KI TALASH ME
JAISA RAT KE BAD DIN NIKALTA HAI
AESA HI HAR MANZIL SE RASTA NIKALTA HAI

AIK NAYE SAFAR KO
AIK NAYE JAHAN KO
NAYE MAQSAD KO
NAYE KOHABOO KO

HAR KOHAB AIK SARAB HOTA HAI
DASHT-E-ZEESIT MAI JINA KO MAGAR ASRA HOTA HAI

KOHABOO KE NAKLISTAN ME
JAHID-E-MUSALSAL KE MEEZAN ME
JAB KOI KARA HOAT HAI
US KAE KOHAB SUCH HOTA HAI
US KA MAQSAD PORA HOTA HAI

MUSAFIR KO MANZIL MILTI HAI
HAR MANZIL SE NAI MANZIL KO RASTA NIKALTA HAI
SAFER KABI KHATAM NAHI HOTA
MUSAIR KO AGA BARNA HAI OR BARTE HI JANA HAI
KE SAFAR KABI KATHAM NAHI HOTA
 
Yaara poetry he post karni hai tu koi SMS size poetry post karo tum tu pora dewan post kar rahay ho

haha....dear i was not the first one to post that big....... just check some previous posts.....

hame to 1-2 verse se zada nahi ate.....hahaha :angel:
 
Wo Mohabbat meiN ye kaisi wafaa de gaya
khus rahun usse bhool kar ye Duaa de gaya
Koi raQeeb hota to maiN bhool jati usse
habib ban kar bhi vo mujhe jafaa de gaya
chala gaya woh guzre hue mausam ki tarah
mujhe tanhai meiN jine ki baQaa de gaya
Chaand ban kar utarna tha meri aangan meiN
wo dard ke barish aur thandii hawaa de gaya
Kitna muskil hai khud ko samjhaNa
jab mout se bhi badh kar koi sazaa de gaya
 
Wo Mohabbat meiN ye kaisi wafaa de gaya
khus rahun usse bhool kar ye Duaa de gaya
Koi raQeeb hota to maiN bhool jati usse
habib ban kar bhi vo mujhe jafaa de gaya
chala gaya woh guzre hue mausam ki tarah
mujhe tanhai meiN jine ki baQaa de gaya
Chaand ban kar utarna tha meri aangan meiN
wo dard ke barish aur thandii hawaa de gaya
Kitna muskil hai khud ko samjhaNa
jab mout se bhi badh kar koi sazaa de gaya


Parveen Shakir....????
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top Bottom