What's new

Naswar Corner

Status
Not open for further replies.
.
@seiko what i am often amazed to see is that 4 states so close to each other, all having a different language.

Do you know any history about it?? just curious :D

No yaar!! Its better you ask Joe or KS about it.. Do not ask them together.. They are having a cold war now a days :lol:
 
Last edited by a moderator:
.
Kaha se kaha pahuncha yaar tum??

Aaya tha Zaid Hamid ke fan banke..

Lagta he ab Christian banoge :P



What you meant by red letter bible??

no @seiko i never liked Zaid hamid! I never said so?
I barely knw him! I came to know his name on Pdf!
.
I dont knw why @Hyperion , @Aeronaut accuse me of this!
.
.what makes u think i like him?
.
.
And btw
according to Quran
christians are the closest to the muslims
 
Last edited by a moderator:
. . . . . .
thats my favourite quote the other one being.. hate paap .. not paapi.. :)

No where in Bible there is a mention like that.. But in many pages in bible, it gives the idea of hate the sin not the sinner :)

Yaar Joe sir sey yaad aya.......He invented a new word today - Roman Hindi :rofl:

Which thread?? Provide me the link yaar!!
 
. .
no @seiko i never liked Zaid hamid! I never said so?
I barely knw him! I came to know his name on Pdf!
.
I dont knw why @Hyperion , @Aeronaut accuse me of this!
.
.what makes u think i like him?
.
.
And btw
according to Quran
christians are the closest to the muslims

I read your intro and I got a feeling like that :P
 
Last edited by a moderator:
. .
lucknow ke nawab... adaab arz hai... is gareeb pe meherbani kijiye aur ek shayri suna dijiye.. (my urdu is better than @Talon's )

I am not much into that. But let me share my poem when I quit muhajir identity first time for Pakistani nationalism:

Phool watan key

Ik din, jab mai jaaga tha, bari gehree neend sey...

Mainay dekhay, har rang key, char phool watan key...

The Sindhi, the Balochi, the Punjabi, the Pathan...

Chamakdaar, aur behad, Khushrang the yeh phool...

jaisey neeley, aasman pey, chayi ho dhanak...

Pukar, rahay the mujhko, charon phool... charon phool...

Keh rahey, the mujhsey... tum bhi hum mein sey ek...

Mil ke, hum chamkey gey, roshni ki tarah...

In haseen, rangon sey...Kaamil kardo hamein...

Par bharna jab, mainay chaha... unki ore... unki ore...

Mujhko, rokti/bandti thi, zaat ki rassiyan

Zimeydaar par iska, na tha Pathan, na Sindhi...

Mai hi tha, jisney banda tha, apnahi mustaqbil ...

Naam tha, in rassiyon, pey Muttahida Qawmi Mahaz...

Par mainay jab, kaha insey, ke jaag gaya hoon mai...

Chor do, tum mujhko, mai hoon phool watan ka,

Phool, ubhartay hai, doosrey phoolon key hi sang...

Par meri hi, rassiyon ney, mujhey ghulam bana liya...

Laga di mohar, Mohajir ki, meri bareek shaakh pey...

Phir ki, mainay Koshish, faraar honey ki...

Magar, woh rassiyan, lehraney lagi...

ban, gayin yeh rassiyan, dehshat-angez saamp...

Jakar liya, mujhey aisay, jaisay hoon mai shikaar...

Mainay dehshat sey, uski nazron sey, jab milayeee nazar...

Baray ghussey sey, bari magroori sey, usney mujhsey kaha...

Mai Altaf hoon, muhafiz hoon main wahid, iss qawm ka...

Mainay himmat ki, ussey kaha, phir chor do mujhey...

Watan hai yeh, mera hi, gehwara meri zindagi/azaadi ka...

Alag na karo... mujhsey tum... merey in phulon ko...

Par usney, mujhey jakar liya, jaisay mujhmey jaan hi nahi/na ho...

Qaid, kar ke rakh liya, uss zalim Altaf ney/uss zalim saamp ney...

Weerani, chaa gayi jaisay, udhasi ki leher...

Akeley mein, sochta tha, yeh mainay kya kiya...

Mainay nafrat, ko farogh diya, phoolon sey juda huwa...

Mushkil waqt mein, saath na diya, apney phoolon ka...

Phoolon, key beech hai, ek bandhan bara haseen...

Waisay hi, jaisay naslon mein, hai rishta yeh haseen...

Jaisay phoolon ko, hai zarurat, ek dujey ki hamesha...

Bulkul hi, waisay hi, naslon ko hai hay yeh zarurat...

Per mainay, apney hathon sey, apna jahan jala diya...

Di, thi mainay, apney aap ko hi saza...

Azeem uss, rishtey ko, humney ek pal mein mita diya...

Janam, hai diya humne, saamp/zehreeley saampon/Altaf ko yahan...

Par is, mayusi mein, mainay yaad kiyay...

mere khawb, mere sapney, mera guzra huwa kal...

Kaisay, khoon paseeney sey, banaya tha Pakistan...

Croron, ki qurbani, dey key paya Pakistan...

Ab gar, hum bat gayey, to na rahay ga yeh watan...

Mainay, hosla kiya, seena taan liya...

Mita di, mainay woh mohor, Muhajir key naam ki/shaakh say...

Rakh liya, mainay naam apna, Pakistan...

Chaa gaya, ek dam sey, azeem ujala...

aisi, roshni chayi, kar sakti thi, woh sharminda,

suraj ko bhi, chand ko bhi

Aisi, chamakdar, khuda daad thi,

Main uski, roshni mein, shagufta ho gaya...

Ek hawa chayi, mujhey bahoon mey, ley kar woh chal pari...

Puhcha diya, mujhey bagh mein, khiltay hai jahan 200 phool...

insey, mil key, banaun ga mai Pakistan...

Khiley ga, is watan mein, har rang ka phool...

Sindhi, Balochi, Punjabi , Pathan... kahlayen gey yahan, Pakistan...

Har phool, hoga azad, na hongi nafratein...

Apni, ghalti sey, mainay seekha hai yehi...

Apney, phoolon mein, tafreek nahin hoti...

Zameen meri, aati hai, sab sey pehley...

Pakistan, hai toh hum hain, warna hum kuch bhi nahi...
 
Last edited by a moderator:
. . .
Status
Not open for further replies.

Latest posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Country Latest Posts

Back
Top Bottom