What's new

What Are You Listening to Right Now - Round 2

. . . . . . . . . .
@HRK

One of the most melodious song by great Mehdi Hasan for film Khaak-o-Khoon (1971).

Mein teri yaad ko is dil sey mitata kaisey

Tu koi rait pey likhi hoi tahreer nahin
Waqt key saath jo mit jye woh tasweer nahin

Mein teri yaad ko is dil sey mitata kaisey

Faasley kitney hi paida merey halaat karein
Door tujh sey dil e nashad nahin ho sakta
Hadisey laakh mujhey tujh sey chooraney aain
Mein teri yaad sey azad nahin ho sakta

Yaad phir yaad hey tooti hoi zanjeer nahin
Tu koi rait pey likhi hoi tahreer nahin

Mein teri yaad ko is dil sey mitata kaisey

Dil hey seeney mein dharakta howa, pathar to nahin
Yeh khayalon key tapish sey bhi pighal jaata hey
Jab tasawwur mein kabhi saamney too aa jaye
Terey milney ko tarapta hey, machal jaata hey

Bhool jaaney ki tujhey koi bhi tadbeer nahin
Tu koi rait pey likhi hoi tahreer nahin

Mein teri yaad ko is dil sey mitata kaisey

Aye merey khoye howey chain merey dil key qarar
Umr yeh kaisey katey gi jo na paaon ga tujhey
Zindagi hey tou mohabbat key shabistanon mein
Apney har khwab ki taabeer banaon ga tujhey

Koun sa khwab hey jis khwab ki taabeer nahin
Tu koi rait pey likhi hoi tahreer nahin

Mein teri yaad ko is dil sey mitata kaisey



From the original film but audio quality is not good.

 
Last edited:
. .
Both have awesome lyrics.


 
Last edited:
. . .

Latest posts

Back
Top Bottom