What's new

Urdu Revolutionary Shairy

Baby Leone

SENIOR MEMBER
Joined
Aug 25, 2011
Messages
5,437
Reaction score
-2
Country
Pakistan
Location
Pakistan
I guess we should have a sticky in members section ragrding the subject,

Lets start & share the best one my Fav are from Allama Iqbal...

Parwaz Hai Dono Ki Oce Ek Fiza Mei
kargas ka Jaha Aur Hai, Shaeen Ka Jaha Aur Hai
Ilfaz-O-Mahni Mei Tfawat Nahe Lekin
Mula Ki Aza Aur, Mujahid Ki Aza Hur

Owesome & deep thinking...:)

My Fav ....

Har lehza hai momin
nai shaan nai aan
Guftar mein kirdaar mein
Allah ki burhan!
Har lehza hai momin nai shaan nai aan
Guftar mein kirdaar mein Allah ki burhan!
Qahhar-O-Ghaffaar-O-Qudoos-O-Jabroot
Qahhar-O-Ghaffaar-O-Qudoos-O-Jabroot
Ye chaar anaasir hoon tou banta hai musalman
Ye chaar anaasir hoon tou banta hai musalman
humsaya-e-jibreel-e-amee banda-e-khaaki
humsaya-e-jibreel-e-amee banda-e-khaaki
hai is nasheeman na bukhara na badkhushan
hai is nasheeman na bukhara na badkhushanye raaz kisi ko nahi maloom ke momin
ye raaz kisi ko nahi maloom ke momin
Qari nazar aata hai haqeeqat mein hai Quran!
Qari nazar aata hai haqeeqat mein hai Quran!
jis se jigre-e-laala mein thandak ho wo shabnam
jis se jigre-e-laala mein thandak ho wo shabnam
daryaoon ke dil jis se dahl jaaye wo toofan
daryaoon ke dil jis se dahl jaaye wo toofan
har lehza hai momin nai shaan nai aan
guftar mein kirdaar mein Allah ki burhan

& with Voice of Medan Noorjahan more owesome...
 
.
SIR JI PLEASE TRANSLET THIS SHAYARI IN HINDI OR ENGLISH.ARE YAAR IS TARAH KI KATHIN URDU SAMGH ME NAHI AATI.:undecided:.
 
.
SIR JI PLEASE TRANSLET THIS SHAYARI IN HINDI OR ENGLISH.ARE YAAR IS TARAH KI KATHIN URDU SAMGH ME NAHI AATI.:undecided:.

buddy yeh khalis urdu me jitni shandar lagti he dusri zabanon me nai lage gi, app samjhne ki koshish karen dill ko sukoon muyassar aye ga...:)

I especially admire Sir Iqbal we really need to understand his shairy...

Bartar az andesha-e-sood o zayan hai Zindagi
Hai kabi Jaan aur kabi tasleem-e-Jaan hai Zindagi

Tu isse pemana-e-Amrooz o Farda se na naap
Jawadan, Pehem Rawan, Har Dam Jawan hai Zindagi

Apni duniya aap paida kar agar zindon mein he
sar-e-Adam hai Zameer-e-Kun Fiqan hai Zindagi

Zindagani ki haqeeqat Koh kan k dil se poch
Joe Sheer o Teesha o Sang e Giran hai Zindagi

Bandagi mein Ghat k rah jati hai misl-e-joey-e-kam aab
aur Azadi mein baher-e-bekaran hai Zindagi
 
.
sitaron se age jahan aur bhi hain,
abhi ishq k imtihan aur bhi hain,
tahi zindagi se nahin ye fazayen,
yahan saikaron karawan aur bhi hain,
kanat na kar alam-e-rang-o-bu par,
chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain,
agar kho gaya ek nasheman to kya gam,
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain,
tu shahin hai parwaz hai kam tera,
tere samne asman aur bhi hain,
isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja,
k tere zamin-o-makan aur bhi hain,
gae din k tanha tha main anjuman mein,
yahan ab mere razadan aur bhi hain
 
. .
sitaron se age jahan aur bhi hain,
abhi ishq k imtihan aur bhi hain,
tahi zindagi se nahin ye fazayen,
yahan saikaron karawan aur bhi hain,
kanat na kar alam-e-rang-o-bu par,
chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain,
agar kho gaya ek nasheman to kya gam,
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain,
tu shahin hai parwaz hai kam tera,
tere samne asman aur bhi hain,
isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja,
k tere zamin-o-makan aur bhi hain,
gae din k tanha tha main anjuman mein,
yahan ab mere razadan aur bhi hain
YE WALI AASAN URDU HAI .MAIN ISKO PEHLE BHI SUN CHUKA HU .I LOVE THIS SHAYARI:smitten::smitten:
 
.
SIR JI PLEASE TRANSLET THIS SHAYARI IN HINDI OR ENGLISH.ARE YAAR IS TARAH KI KATHIN URDU SAMGH ME NAHI AATI.:undecided:.
you should learn urdu to appreciate it. :)
BTW if you know hindi, it should be more or less understandable.
 
.
sitaron se age jahan aur bhi hain,
abhi ishq k imtihan aur bhi hain,
tahi zindagi se nahin ye fazayen,
yahan saikaron karawan aur bhi hain,
kanat na kar alam-e-rang-o-bu par,
chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain,
agar kho gaya ek nasheman to kya gam,
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain,
tu shahin hai parwaz hai kam tera,
tere samne asman aur bhi hain,
isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja,
k tere zamin-o-makan aur bhi hain,
gae din k tanha tha main anjuman mein,
yahan ab mere razadan aur bhi hain
YE WALI AASAN URDU HAI .MAIN ISKO PEHLE BHI SUN CHUKA HU .I LOVE THIS SHAYARI:smitten::smitten:
 
.
BTW is there any shairy in hindi like we have tons in urdu with different moods...?

Zindgi Insan ki Aik Dam ke Siwa Kuch Bi Nahi
Dam hawa Ki moj Hai gham ke Siwa kuch Nahi
Gul Tabassam keh Raha Tha Zindgani ko Magar
Shama Boli girya gham Ke Siwa kuch Nahi
Raz e hasti raz Hai Jab Tak Koi Mehram na Ho
Khul Giya jis Dam to mehram ke Siwa kuch bi Nahi
Zairan e Kaba Se Iqbal Ye pouche koi
Kiya Haram Ka Tofa Zam Zam k Siwa kuch b nahi.
 
. .
Ahmed Faraz’s Sad Urdu Poem.

Dukh Fsana Nahe Keh Tuj Se Kahein
Dil Be Mana Nahe Keh Tuj Se Kahein
Aj Tak Apni Be-Kali Ka Sabab
Khud Bhi Jana Nahe Keh Tuj Se Kahein
Eak To Haraf Ashana Tha Magar
Ab Zamana Nahe Keh Tuj Se Kahein
Ae Khuda Dard-e-Dil Hai Bakhshash-e-Dost
Aab-o-Dana Nahe Keh Tuj Se Kahein

Great Ahmad Faraz

Mein tujhe kho ke bhi zinda hoon, Yeh dekha tu ne,
Kiss qadar hauslaa haarey huye insaan mein hai..

The best one....

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)

Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)

Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)
 
.
Idhar Barq-e-Tapa'n Rakh Di
Udhar Barq-e-Tapa'n Rakh Di,
Mohbat Ney Meri Hasti, Ghazab Kay Darmiyan Rakh Di,
Dua Jab Bey Asar Tharee, Tu Phir Hukm-e-Dua Kioun Tha,
Meri Batoon Sey Nafrat Thi, Tu Moun Mein Kioun Zaban Rakh Di,
Jo Dil Mein Ney Kiya Talab, Tu Youn Lagey Kahney,
Zara Si Cheeze Thi, Hum Ney Khuda Janey Kaha'n Rakh Di.
 
.
Idhar Barq-e-Tapa'n Rakh Di
Udhar Barq-e-Tapa'n Rakh Di,
Mohbat Ney Meri Hasti, Ghazab Kay Darmiyan Rakh Di,
Dua Jab Bey Asar Tharee, Tu Phir Hukm-e-Dua Kioun Tha,
Meri Batoon Sey Nafrat Thi, Tu Moun Mein Kioun Zaban Rakh Di,
Jo Dil Mein Ney Kiya Talab, Tu Youn Lagey Kahney,
Zara Si Cheeze Thi, Hum Ney Khuda Janey Kaha'n Rakh Di.

good one please write shayar name as well...
 
. .
Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain

Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai
Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain

Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula
Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain

In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?
Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain

Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,
Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain

Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai
Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain

Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere
Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain
 
.

Country Latest Posts

Back
Top Bottom