What's new

Urdu & Hindi Poetry

.
--------------------------------------------------------------------------
(Faiz Ahmed Faiz ).

teri ummid tera intazar jab se hai
na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai
ksi ka dard ho karte hain tere nam raqam
gila hai jo bhi kisi se teri sabab se hai
hua hai jab se dil-e-nasabur beqabu
kalam tujhse nazar ko bari adab se hai
agar sharar hai to bharak, jo phul hai to khile
tarah tarah k talab tere rang-e-lab se hai
kahan gaye shab-e-furqat k jagnewale
sitara-e-sahar ham-kalam kab se hai
 
.
Rahiman dhaga prem ka, mat todo chatkaye,
tute se fir na jude, jude gaanth padi jaaye.

(don't break the thread of love, it once broken can't be rejoined again, if rejoined there is a knot)

-Rahim
 
.
Waqt Ke Haathon Mein Sabki Takdeerein Hain
Aaina Jhootha Hai Sachee Tasveerein Hain
Jahan Dard Hai Vahin Geet Hai
Jahan Pyaas Hai Vahin Meet Hai
Koi Na Jaane Magar Jeene Ki Yahi Reet Hai
Saaz Ki Zaroorat Hai Jaise Mausiki Ke Liye
Bas Ek Sanam Chaahiye Aashiqui Ke Liye


Bhai this is a bollywood song, film Aashiqui written by Sameer.I love this song but Its not right to post it in shayari thread.
 
.
Tabah ho ga India, Ghazwah-e-Hind mein
Likin hum jai ge, Janat aur wo duzakh mein
Jo doosaron ke liye gaddha khodenge who khud hi uss main girenge.
Tabahi to kya woh baal bhi banka na kar sakenge.
Jannat ki to baat rahi door.Dozakh bhi naseeb nahi kar paayenge.



Copyright ...tamanna.


Ps: keep nonsense away from my thread....take it as warning.
 
.
Tabah ho ga India, Ghazwah-e-Hind mein
Likin hum jai ge, Janat aur wo duzakh mein

Laal topi se aisi hi bakwaas ki umeed thi... Anyways thanks for valuable sharing.

This for Zaid Hamid fans :


sare jahan se acha hindustan hamara
ham bul-bulen hain is ki ye gulistan hamara

gurbat mein hon agar ham rahta hai dil watan mein
samjho wahin hamein bhi dil ho jahan hamara

parwat wo sab se uncha hamsaya asman ka
wo santri hamara wo pasban hamara

godi mein kheli hain is ki hazaron nadiyan
gulshan hai jin k dam se rashk-e-janan hamara

ai ab-e-rud-e-ganga wo din hai yad tujh ko
utra tere kinare jab karwan hamara

mazhab nahin sikhata apas mein bair rakhna
hindi hain ham watan hai hindustan hamara

yunan -o-mishr-o-roma sab mit gaye jahan se
ab tak magar hai baqi nam-o-nishan hamara

kuch bat hai k hasti mitati nahin hamari
sadyon raha hai dushman daur-e-zaman hamara


'Iqbal' koi mahram apna nahin jahan mein
malum kya kisi ko dard-e-nihan hamara

- Dr. Allama Iqbal
 
.
Mujhe kis Taraf Jana Hai kuch khabar Nahi.......
.
.


Mere Raaste Bhi kho Gaye Meri Mohabat ki
Tarah..!! :/
 
. .
-----

Wo ishq jo hum se rooth gaya, ab uss ka haal bataaein kya
,
Koi mehr nahin koi qehr nahin, phir sachha shayr
sunaaein kya,

Ik hijr jo hum ko laahaq he, ta dayr usay
dohraaein kya
,
Wo zehr to dil mein utaar liya, phir uss ke naaz
uthaaein kya,

Ik aag ghame-e-tanhaai ki, jo saare badan mein
phel gai
,
Jub jism hi saara jalta ho, phir daaman-e-dil ko
bachaaein kya
,

Hum naghma-saraa kuch ghazlon ke, hum soorat-
gar kuch khaabon ke,
Be-jazba-e-shauq sunaaein kya, koi khaab na ho
to bataaein kya,

Koi mehr nahin koi qehr nahin, phir sachha shayr
sunaaein kya
,
Wo ishq jo hum se rooth gaya, ab uss ka haal
bataaein kya.
 
.
I always like Iqbal's "lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri.This i always play while sleeping or doing daily chores.

 
Last edited by a moderator:
.
--**--
Usse kehna uski yad main be-had azziyat hai...


Ya to apna naqsh dho jaye, ya phir mera he ho
jaye...
 
.
Tujhe cheen loon ya chodh doon
Tujhe maang loon ya modh doon
Iss lamhe..kya kar jaaoon
Iss lamhe..kya kar doon mein
Jo mujhe chain mile
Aaraam mile
 
. .
ye kaisii muhabbat kahaa.N ke fasaane
Surender Malik Gumnam

ye kaisii muhabbat kahaa.N ke fasaane
ye piine pilaane ke sab hai.n bahaane

vo daaman ho un kaa ke sun_saan seharaa
bas ham ko to aaKhir hai.n aa.Nsuu bahaane

ye kis ne mujhe mast nazaro.n se dekhaa
lage Khud-ba-Khud hii qadam la.Dakha.Daane

chalo tum bhii 'Gumnaam' ab maikade me.n
tumhe.n dafn karane hai.n ka_ii Gam puraane
 
. .

Pakistan Defence Latest Posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom