What's new

Urdu & Hindi Poetry

hai tumhari qismat mai kanwara rahna
har haftay laila ke bhaion se chot khana
agar chahte ho tum apny halaat badalna
chor do tharakpan ko mohabat samjhna
har waqt-e-tanhai vo yaad ban jati hai..
aankhein jo band karu to khwab ban jati hai..
doggi ko kahan chod diya sarkar ne..
bol bi do kyki chuppi bi raaj ban jati hai..:-)

chor do tharakpan ko mohabat samjhna
ek saleeka sa jabaan main rakhiye..
phool nai rakh sakte to guldan hi rakhiye..:-)
 
.
hai tumhari qismat mai kanwara rahna
har haftay laila ke bhaion se chot khana
agar chahte ho tum apny halaat badalna
chor do tharakpan ko mohabat samjhna

tamama gam hamare aap se khil gaye..
aap ne kya kiya ki ,sare ranj nikal gaye..
doggy ko sath lana na chodna un rahon main..
chalne par jinpe sabke dil badal gaye..

Shab Bakhair.. bhai jaan.. :-)
 
.
har waqt-e-tanhai vo yaad ban jati hai..
aankhein jo band karu to khwab ban jati hai..
doggi ko kahan chod diya sarkar ne..
bol bi do kyki chuppi bi raaj ban jati hai..:-)

Kyo na aya tumhare dil mai dogy ka khyal
jab thi dewar salamat aur ache thay tumhere haal
ab logo ne bana lia hai rasta, aur howe tumher halaat khasta
tu phirte ho gali gali, aur pochte ho doggy ka pata

:pop::pop::pop:

ek saleeka sa jabaan main rakhiye..
phool nai rakh sakte to guldan hi rakhiye..:-)

kaho tu abhi apnay zauq main saleeka lay aain
sharat yeh keh ap "z" ko "j" kahna chhor dain

:pop::pop::pop:

tamama gam hamare aap se khil gaye..
aap ne kya kiya ki ,sare ranj nikal gaye..
doggy ko sath lana na chodna un rahon main..
chalne par jinpe sabke dil badal gaye..

Shab Bakhair.. bhai jaan.. :-)

Karte hain elaaj dimagh ka, profession hai doctor dil
mit gay jo ranj tumhare tu kia bhaij doon apna bil?

Good night.
 
Last edited:
.
Kyo na aya tumhare dil mai dogy ka khyal
jab thi dewar salamat aur ache thay tumhere haal
ab logo ne bana lia hai rasta, aur howe tumher halaat khasta
tu phirte ho gali gali, aur pochte ho doggy ka pata

har dost ka khyaal jaruri hai..
janwar hai to kya..pyar jaruri hai..
doggy jiski baat hum hain kar rahein..
mera nai uska tha samajna jaruri hai...:-)

kaho tu abhi apnay zauq main saleeka lay aain
sharat yeh keh ap "z" ko "j" kahna chhor dain

gunah main kar baitha isjq jo kiya..
kabi 'z' kabi 'j' ke har lafz ko main jiya...:-)

Karte hain elaaj dimagh ka, profession hai doctor dil
mit gay jo ranj tumhare tu kia bhaij doon apna bil?

ishq ka elaaj sirf Elahi ke paas hai...
dekha hai logo ko khuda bante hue.........:-)
 
.
phir mujhe diidaa-e-tar yaad aayaa
dil jigar tishnaa-e-fariyaad aayaa

dam liyaa thaa na qayaamat ne hanoz
phir teraa vaqt-e-safar yaad aayaa

zindagii yuu.N bhii guzar hii jaatii
kyon teraa raah_guzar yaad aayaa

koii viiraanii-sii viiraanii hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa....
 
.
1545655_720539071314047_335537642_n.jpg


KABI ANSOO, KABI SAJDE, KABI HATOO KA UTH JANA
MUBAHATE NAKAAM HO JAYE 'TU RAAB BOHAT YAAD ATA HAI'
 
.
"Talab asi na koi cheez zaroorat jaisi,
Koi tu baat thi hum tum main mohabbat jaisi..

Gar khuda mera meray dil ki dua sunn leta,
Surtain sari banata teri surat jaisi.."





naheen aati to yaad inki maheenon tak nahi aati
mgr jab wo yaad aatay hain to aksar yaad aatay hain
 
.
koi chaudhwi raat ka chaand bankar
tumhaare tasavvur me aaya to hoga
kisi se to ki hogi tumne mohabbat
kisi ko gale se lagaya to hoga

tumhaare khayalon ke angaiyo me
meri yaad ke phul mehke to honge
kabhi apne aankhon ke kaajal se tumne
mera naam likhkar mitaaya to hoga

labo se mohabbat ka jaadu jagake
bhari bazm me sabse nazare bachake
nigaahon ki raahon se dil me samake
kisi ne tumhe bhi churaaya to hoga

kabhi aaine se nigahe milakar
jo li hogi bharpur angaiyo tune
to ghabraake khud teri angaiyo ne
tere husn ko gud-gudaya to hoga
 
. .
Woh aksar mujh se kehti thi,
Wafa hai zaat aurat ki,


Magar jo mard hote hain,
Bohat be’dard hote hain,


Kisi bhanwre ki surat,
Gul ki khushbu loot jate hain,


Suno, tum ko kasam meri,
Riwayat torr dena tum,


Na tanha chorr ke jana,
Na yeh dil torr ke jana,


Magar phir yu’n hua ik din,
Mujhe anjaan raste per,


Akela chorr kar usne,
Mera dil torr kar usne,


Mohabbat chorr di usne,
Wafaa hai zaat aurat ki,


Riwayat torr di us ne..

Tamanna le k ulfat ki mere aangan main wo aaya
MOHABBAT Rog hai Dil ka Usay yeh meine samjhaya


Kaha us ne Mohabbat kar shareek-e-Gham bana MUJH ko
Karonga Main Zamanay ki khushi se Aashna TUM ko


Hua Majboor main yaro kiya Iqraar ulfat ka
Laga di JAAN ki bazi samajh kar khel Qismat ka


Hui Maloom phir Uski haqeeqat yeh Zamanay se
Usay taskeen milti hai Kisi ka DIL dukhane se...!
 
.
eniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jaana
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujh Se Juda Ho Jaana

Main Bhi Palakon Pe Saja Loonga Lahoo Ki Boondain
Tum Bhi Paabastaa-E-Zanjir-E-Hina Ho Jaana

Khalq Ki Sangzani Meri Khataaon Ka Sila
Tum To Maasoom Ho Tum Door Zara Ho Jaana

Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad Ka Zahar
Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho Jaana

------------------------------------------------------------------------------------------------------


Maine has has ke guzaara hai tujhe
Zindagi tujh pe mera ehsan hai
 
Last edited:
.
.......هوں

اچها تو آپ شاعر هیں؟

شعر لکهتے هیں, نظم کهتے هیں
شاعری بهی عجیب شے هے ناں ؟

ڈهونڈنا کچھ اداس لفظوں کا
باندھ دینا ردیف دهاگے سے

جیسے گجرے میں پهول گیندے کے
موتیے کی سفید کلیوں میں
خوب جچتے هیں خوب لگتے هیں

لیکن ایسا بهی دکھ سے کیا لکهنا
لفظ لگتے هوں دل په پتهر سے
حرف چبهتے هوں بن کے نشتر سے

میں نے دیکهی هیں آپ کی نظمیں
روز پڑهتی هوں آپ کی غزلیں
" زخم" آتا هے قافیے میں کهیں
"هاۓ " مصرعوں میں عام هے شائد
" درد " تکیه کلام هے شائد

" رنج و حسرت " غضب کا لکهتے هیں
آپ ناصر کے ڈهب کا لکهتے هیں

شعر مجھ پر بهی کوئی لکھ دیجییے
نظم لکهیے ناں کوئی اچهی سی
شوخ زلفوں په, گال پر لکهییے
میری چشم غزال پر لکهییے

اپنے زخموں کو چاک لکهتے هیں
میری آنکهوں په گر نهیں لکها
لوگ سمجهیں گے خاک لکهتے هیں.
 
. .
raveling' Man
© Cynthia Dassie Chester
Take my hand and lead me down the road
Bundle me up, keep me from the cold
Step by step, my feet constantly ache
Rock by rock, my poor legs start to shake

Deep waters I need to quench my thirst
Soon the flaming hot sun will surely burst!
The wind from the trees is something I truly need
To make travelin’ on a short path, indeed!

OH! How I wonder what lies on ahead...
Pushing on down this road is something I dread
Do I stop and collapse in the sand?
NO! NO! NO! I am what I am and that's a "TRAVELIN' MAN"!!!
 
. .

Country Latest Posts

Back
Top Bottom