Follow along with the video below to see how to install our site as a web app on your home screen.
Note: This feature may not be available in some browsers.
Isn't it funny .. View attachment 545862
wah wah ko chorren aunty.....reply with good poetryWah wah
wah wah ko chorren aunty.....reply with good poetry
Mushaira at Islamia College in 1950’s
Participants ; Faiz Ahmad Faiz, Chiragh Hasan Hasrat, Hafeez Hoshiarpuri, Sufi Ghulam Mustafa Tabassum, Saifuddin Saif, Tabish Siddiqui , Zaheer Kashmiri, Zia Jallandhari, Ijaz Batalvi and many more.
مجھے اپنے ضبط پی ناز تھا سر-ا-بزم رات یہ کیا ہوا
میری آنکھ کیسے چالاک گی مجھے رنج ہے یہ برا ہوا
میری زندگی کے چراغ کا یہ مزاج کوئی نیا نہیں
ابھی روشنی ابھی تیرگی نہ جلا ہوا نہ بجھا ہوا
مجھے جو بھی دشمن-ا-جان ملا وہی پختہ-کر-ا-جفا ملا
نہ کسی کی ضرب غلط پدی نہ کسی کا تیر کھاتا ہوا
مجھے آپ کیوں نہ سمجھ سکے یہ خود اپنے دل ہی سے پوچھئے
میری داستان-ا-حیات کا تو ورق ورق ہے خلا ہوا
Iqbal Azeem sahib
Will do the rest......................................................
Hazrat time machine start karoo idhar jana hai @ghazi52 Iqbal Azeem sahib ka agar yeh urdu main ho saky tu
Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha Sar-e-Bazm Raat Ye Kya Hua
Meri Aankh Kaise Chalak Gayi Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua
Meri Zindagi Ke Chiragh Ka Ye Mizaaj Koi Naya Nahi
Abhi Raushni Abhi Tirgi Na Jala Hua Na Bujha Hua
Mujhe Jo Bhi Dushman-e-Jaan Mila Wahi Pukhta-Kar-e-Jafa Mila
Na Kisi Ki Zarb Ghalat Padi Na Kisi Ka Teer Khata Hua
Mujhe Aap Kiyun Na Samjh Sake Ye Khud Apne Dil Hi Se Puchiye
Meri Daastan-e-Hayat Ka To Waraq Waraq Hai Khula Hua
Jo Nazar Bacha Ke Guzar Haye Mere Samne Se Abhi Abhi
Ye Mere Hi Shaher Ke Log The Mere Ghar Se Ghar Hai Mila Hua
Hamein Iska Koi Bhi Haq Nahi Ki Sharik-e-Bazm-Khulus Hon
Na Hamare Paas Naqab Hai Na Kuchh Aastin Mein Chupa Hua
Mujhe Ek Gali Mein Pada Hua Kisi Badnasib Ka Khat Mila
Kahin Khoon-e-Dil Se Likha Hua Kahin Aansuon Se Mita Hua
Mujhe Hamsafar Bhi Mila Koi To Shikasta Haal Meri Tarah
Kai Manzilon Ka Thaka Hua Kahin Raaston Mein Luta Hua
Hamein Apne Ghar Se Chale Hue Sar-e-Raah Umr Guzar Gayi
Koi Justuju Ka Sila Mila Na Safar Ka Haq Hi Ada Hua