Ranjha = Araam se Izat kay sath heer ka hath mangta. or wo day b daty. Par nahe. Usne to apnay behudapan dekhaana tha na. Heer kay baap or bhaio kay saamne Heer kay kuttay ko choomne laga. Heer kay gar-waly kehne lagy bhai ye to Bhaawla hay. Isko q day beti ka rishta.
Farhad = Usko bola gya tha Shereen kay lye apni muhabbat sabit karne kay lye Pahar me se tunnel kodh kay do. Wo us tunnel kay aakhri maqam pe he tha kay aik orat ne aaky "azraah-e-mazak" keh dia kay bhai shereen ki to shaadi ho rahe hay. Us Gaan*u ne na aao daikha na taao , wohe gentri jis se Pahar thor raha tha, apny seeny me ghusa di. Phir farishto ne usko bataya kay Gand* it was April fool, Pehle confirm to kar lety.
Mahiwal = Bhai agar mahiwal itna he pasand tha to kuch b ho jata, isky ilawa kisi se shadi karti he nahe. zehr kha lete. Par nahe, Usny to apny abu ki izat rakhne the so unky bataye jaga pe shadi kar le. Par Aap yaqeen kary Aadhi raat ko apny shohr ki bistar se uth kar ghair mard se milny jaana wo b har raat, Bhai is se Izat nahe kharab hoti iski or isky baap ki ????? Matlb Assume karo, yahe harkat aaj kay dor me aik shadi-shuda orat kary what would be your reaction ????
Saleem = Agar aap Mahlo me harm kay concept se waqif hay to apko phir ye b pata hoga kay harm ki kaneezy tarha tarha kay tareeqo se apni ahmiat barhaya karti the harm me. taaky unka rutba bary. Isi taqazy pay Anarkali ne Shehzada Saleem ko apny Husn kay jaal me Phansaya. and no one decline the fact that Dono ki Sharab-o-Shabab ki mehfily chalti the Qunky saleem Intehaa Qism ka sharabi tha. But anarkali ne aisa q kia, Taaky aik he jhatky me Kaneez se Raani ban jaaye. Badshaah-e-waqt ne is jurm kay tehat saza di. to Usko ham logo ne Bhutto ki tarha shaheed Qarar dy dia.
So Moral of the story is.... Saary Intehaa Qism kay begerat, Zaleel or Ruswa log thay. they don't deserve to be in our folk stories.