What's new

Sher-o-Shairy

Ajab pagal si larki...!
Meri khamosh aankhon main,
Mehakti, muskurati, gungunati,
khwab si gehri mohabbat k sabhi rangon se waqif hai...
Magar anjaan banti hai,
Wo meri beqarari k sabhe maana samajhti hai,
Magar khamosh rehti hai,
Usay maloom hai ye betahasha bolne wala...!
Zamane bhar k qissey, daastanen us se kehta hai,
Her ek mozoo pe us se baat kerta hai...
Woh us se keh nahi sakta,
"Meri sochon k mehwar ho,
Tumhare bin mujhe ye zindagi bekaar lagti hai,
Mera her din tumhari soch k suraj se ugta hai,
Meri her shaam k pehloo main tum he muskurati ho,
Meri her raat karb-e-naarsai se sulagti hai,
Ager khud se tumhen minha karoon tou kuch nahi bachta..."
Usay maloom hai ye shab gaye tak jaagne wala...!
Jise khwabon ki dunia se mohabbat si mohabbat hai,
Woh kyon sone se darta hai?
Usay kia khof lahaq hai?
Woh khul ker kyon nahi hansta?
Woh kyon chhup chhup k rota hai...?
Usay maloom hai sub kuch,
Mager anjaan banti hai...
Usay ye kon samjhaaye?
K dil youn naarsai ki tapish ziada dino tak seh nahi sakta,
Jise khwabon ki dunia se mohabbat si mohabbat ho,
Woh khwabon k bina aise adhoora reh nahi sakta,
Usay ye kon samjhaye?
K us se betahasha bolne waala...!
Jo her mozoo per uss se baat kerta hai,
Kabhi ye keh nahi sakta,
"Meri veraan aankhon main,
Kayi sapne samo jao,
Tumhare bin adhoora hon,
Meri takmeel ho jao..."
Usay maloom hai sub kuch magar ye kon samjhaye...

Ajab pagal si larki hy...!!
 
. .
Muhabbat me buri niyat se kuch socha nahi jata......
Kaha Jata hai usako Bewafa samjha nahi jata.....
Wasim barelawi


---------- Post added at 07:26 PM ---------- Previous post was at 07:26 PM ----------

Muhabbat me buri niyat se kuch socha nahi jata......
Kaha Jata hai usako Bewafa samjha nahi jata.....
Wasim barelawi
 
.
Ek Sher aaj ke politicians ke nam......


Quam ke gham me dinner khate hain hukkam ke sath........
Ranz leader ko bahut hain magar aaram ke sath...


Akhtar Allahabadi
 
. . . .
wah wah, keep it coming

---------- Post added at 01:43 AM ---------- Previous post was at 01:42 AM ----------

khizaan se Seena bhara ho lekin tum apna chehra gulab rakhna
tamam tabeer usko dena aur apnay hissay me khoab rakhana
 
. .

Dil Ney Eik Cheeze Bari Bahesh Baha Mangi Hey,

Husan-e-Maghroor Ki Fitrat Sey Wafa Mangi Hey.
 
. .
Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.

kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.

kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.

meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.

rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.

ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.
 
. . .
Aziyaton Ke Tamaam Nashtar...
Meri Ragon Me Utaar Kar Wo...
Bari Mohabbat Se Poochtay Hein...
Tumhari Aankhon Ko Kiya Huwa Hai...
Kisi Ne To, Kuch Nahi Kaha Hai...
Agar Kaha Hai, Mujhay Bata Do...
Qasam Tumhari Me Pooch Loon Ga...
Kiyun Uss Ne Tum Ko Dukhi Kiya Hai...
Tamaam Batein, Wo Iss Tarah Se...
Mujhay Suna Kar Chal Diya ke..
Tamaam Baton Ka Jaisay Uss Ko...
Zara Barabar Bhi Il`m Nahi Hay...
Mujhay Kahan Se Yeh Dukh Mila Hai...
Ussay To Jaisay, Khabar Nahi Hai...
Wo Saari Baton Ko Jaan Kar Bhi...
Na Janay Kiyun Jaanta Hi Nahi Hay...
Jo Sach Kahoon To Suno Zara Tum...
Mujhay Ussi Se, Yeh Dukh Mila Hai...
"Agar Kaha Hai, Mujhay Batado..."
Ussi Ki Baton Ne Aaj Mujh Ko...
Jo Sach Kahoon To Rula Diya Hai...
Mujhay, Wafaon Ka Uss Ne Meri...
Bohat Hi Acha Sila Diya Hai...
Kisi Ke Dukh Ka Hisaab Rakha...
Par Apna Nashtar Bhula Diya Hai..
 
.
Back
Top Bottom