What's new

....:::Shair O Shaery:::....

.
Dasht toh Dasht hain, dariya bhi na chohray humne
Behr-e-Zulmaat main daura diay ghoray humne
 
.
kis da dosh si, kis da naee si
aye gallaan hun karan diyaan naee
vailay lang gaey tauba vaalay
raataan haukkay bharan diyaan naee

jo hoya, aye hona ee si
tay honi, rokkyaan rukdi naee
ikk vari jaddoon shuru ho jaavay
gall fayr aiveen mukdi naee

kujh unj vi raahvaan aukhiyaan san
kujh gall vich gham da tauq vi si
kujh shehar day lok vi zaalim san
kujh mennu maran da shoq vi si

(munir niazi)
 
.
Ummaten aur bhi hain un men gunahgaar bhi hain
Ijz waley bhi hain mast-i ma-e pindar bhi hain
Inmey kahil bhi hain ghafil bhi hain hushyar bhi hain
Saikron hain ke tirey naam se bezaar bhi hain
Rahmaten hain teri aghyar ke kashanon par
Barq girti hai to becharey musalmanon par

(There are other nations, among them are sinners also
There are modest people and arrogant ones also
Among them are slothful, indolent as well as clever people
There are also hundreds who are disgused with Thy name
Thy graces descend on the other people’s abodes
Lightning strikes only the poor Muslims’ abodes.)

Buth sanam khanon men kahte hain musalmaan gai
Hai khushi unko ke Kaabey key nigehbaan gai
Manzil-i dhar se unton ke hudi khuwan gai
Apni baghlon men dabba-e huey Qur-an ghai
Khanda zan kufr hai ehsaas tujhe hai ke naheen
ApniTauhid ka kuch paas tujhe hai ke naheen

(The idols in temples say ‘The Muslims are gone’
They are glad that the Ka’bah’s sentinels are gone
From the world’s stage the hudi[2] singers are gone
They, with the Qur’an in their arm pits, are gone.
Infidelity is mocking , hast Thou some feeling or not?
Dost Thou have any regard for Thy own Tawhid or not?)

Bani aghyar ki ab chahne wali dunya
Rahgai apne liye ek khayali dunya
Ham to rukhsat hue auron ney sanbhali dunya
Phir na kahna hui Tauheed se khali dunya
Ham to jeetey hain ke dunya men tera naam rahe
Kaheen mumkin hai ke saaqi na rahey jaam rahe?

(Now the world is the lover of others
For us it is only an imaginary world
We have departed, others have taken over the world
Do not complain now that the world has become devoid of Tawhid
We live with the objective of spreading Thy fame in the world
Can the wine cup exist if the cup bearer does not live?)

Ye shikayat naheen hain unke khazane maamoor
Naheen mahfil men jinhen baat bhi karne ka shaoor
Qahr to ye hai ke kafir ko milen hoor-o qasoor
Aur becharey musalman ko faqat waida-i hoor
Ab wo altaaf naheen ham pe inaayaat naheen
Baat ye kiya hai ke pheli si madaraat naheen

(We do not complain that their treasures are full
Who are not in possession of even basic social graces
Outrageous that infidel are rewarded with Houries and palaces
And the poor Muslims are placated with only promise of Houries

We have been deprived of the former graces and favours
What is the matter, we are deprived of the former honours.)

Ishq ki khair wo pehli si ada bhi na sahi
Jada paimaiye tasleemo raza bhi na sahi
Muztarib dil sifat-i qiblanuma bhi na sahi
Aur paabandiye aaeen-i wafa bhi na sahi
Kabhi hamse kabhi ghairon se shanasai hai
Baat kahney ki naheen too bhi to harjai hai

(Granted that Love has not the former elegance also
We may have lost treading the path of Love also
We have lost the restless heart like the compass also
And we may have lost the observance of fidelity’s rules also
Thou art switching friendships between us and others
It is difficult to say but Thou art also unfaithful.)

Sarey faraan pey kiya deen ko kamil too ne
Ek isharey pe haszroon kay liye dil toone
Aathish andoz kiya ishq ka hasil toone
Phoonk di garmiye rukhsaar sey mahfil toone
Aaj kiyun seene hmare sharar aabaad naheen
Ham wohee sokhta saamaan hain tujhey yaad naheen?

(Thou perfected the Din on the peak of Faran[3]
Thou captivated the hearts of thousands in a moment
Thou consumed the produce of Love with the fire
Thou burned the congregation with Thy face’s fire
Why are not our breasts filled with love’s sparks now?
We are the same lovers, dost Thou not remember now?)

Wadiye najd men wo shor-i salasil na raha,
Qais deewana-i nazzarai mehmil na raha
Hausley wo na rahey ham na rahey dil na raha
Ghar ye ujra hai ke too raunaq-i mahfil na raha
Aye khush aan rooz ke aayee wa basad naaz aayee
Bay hijabana su-i mahfil-i maa baaz aayee

(The noise of lover’s chains in the Najd’s valley has disappeared
Qais has no more remained longing for the litter’s sight
Those old ambitions, we, as well as the heart have disappeared
The house is destroyed as Thou art not present in the house
O that happy day when Thou with elegance will come back
When Thou unveiled to our congregation will come back.)

Mushkilen ummat-i marhoom ki aasaan ka de
Moor-i bey maya ko hamdosh-i Sulaiman ka de
Jins-i nayab-i mohabbat ko phir arzaan karde
Hind key der nasheeno ko musalmaan karde
Joo-i khoon mi chakad az hasrat-i derina-i ma
Mee tapad nala ba nashtarkada-i seena-i ma

(Make easy the difficulties of the blessed Ummah
Place the poor ant shoulder to shoulder to Sulaiman[4]
Make the invaluable produce of Love accessible again
Change the idolatrous Muslims of India into Muslims again
A stream of blood drips from the frustrations mine
Wailing palpitates in the wounded breast of mine!
 
.
Asim bhai bhi Allama Iqbal ki Shikwa ko thora thora kar ke share kar rahay hain :lol:

@ topic

Khuda se husn ne ek roz yeh sawaal kiya
Jahan mein kyon na mujhe tune lazawaal kiya

Mila jawaab ke tasweer khana hai dunya
Shabe draze udum ka fasana hai dunya

Hoi hai roz e taghayyur se jab namood uski
Wahi haseen hai haqiqat e zawaal hai jiski

Kahin Qareeb se yeh guftagu Qamar ne suni
Falak pe aam hoi akhter e sehar ne suni

Sehar ne sitare se sunkar sunai shabnam ko
Falak ki baat batadi zameen ke mehram ko

Phir aye phool ke aaNsoo payam shabnam se
Kali ka nannha sa dil khun ho gaya gham se

Chaman se rota hoa mausam e bahar gaya
Shabab sair ko ayaa tha sogwar gaya.
 
.
rehbar o rast mein wo shama wo ujala hai kahin umung durust
ust durust ust durust shakh saana na ho jai Paseena.........................:cheesy::rofl: :rofl:


:taz::taz::taz: tamam shair psycho hotay hai, men nay socha thori shairi mein bhi karlun:partay:
 
. .
Tumhary qurb ka ik pal ager naseeb mai hu
Tamam umer gozar jaye to pata nah chalay.
 
.
Suna hai yaad krtay ho
Key jab bhi shaam dhalti hai
Hijr main Jaan jalti hai
Tum apni raat ka aksar sukoon barbaad krtay ho.
Suna hai yad krtay ho

Jab panchi loat ate hain
Ghamo ke geet gate hain
"Suno! tum lout aao na" yehi faryad krte ho
Suna hai yaad krtay ho.

Sitaare jab falak pe jagmagate hain
Woh beetay hoe pal khob rulate hain.
Tum us dam apni aankhon main
Mjhe Aabad krtay ho,
Suna hai yaad krtay ho
Mjhe tum yaad krtay ho.
 
.
Husn E Haqiqi Lyrics
Tanuu Badal Barkha Dajj Kahoon
Tanuu Bijli Ta Baran Kahoon
Tanuu Aab Kahoon
Tanuu Khak Kahoon
Tanuu Baad Kahoon
Weeran Kahoon
Tanuu Dsurat Lej Manram Kahoon
Tanuu Seeta Ji Janan Kahoon
Baldev Ka Souta Naun Kahoon
Tanuu Kishn Kahenaya Kan ... Kahoon
Tanuu Bhrama Kishna Ghannsih Kahoon Mahadev Kahoon Bahgwan Kahoon
Tanuu Geet Ka Rang Tay Byaihd Kahoon
Tanuu Bhyann Kahoon Agyan Kahoon
Tanuu Ibrahim Hawahishees Kahoon
Tanuu Nooh Kahoon Toofan Kahoon
Tanuu Ibrahim Khilil Kahoon
Tanuu Moosa Bin Imran Kahoon
Tanuu Har Dil Da Dildar Kahoon
Tanuu Ahmad Alishaan Kahoon
Tanuu Shahihd Malk Hijaz Kahoon
Tanuu Bahis Kaun Makaan Kahoon
Tanuu Nazz Kahoon Andaaz Kahoon
Tanuu Hoor Pari Walmaan Kahoon
Tanuu.. Nauog Kahoon
Tanuu Toug Kahoon
Tanuu Surkhee Bedaaa Paan Kahoon
Tanuu Tabla Tay Tamboor Kahoon
Tanuu Dholkal Sur Tay Tan Kahoon
Tanuu Husn-te Har Singar Kahoon
Tanuu Ashawa Ghamza Aan Kahoon
Tanuu Ishq Kahoon
Tanuu Illam Kahoon
Tanuu Waham Yakin Gumaan Kahoon
Tanuu Husane Da V Idrrak Kahoon
Tanuu Zouk Kahoon Wajhdan Kahoon
Tanuu Sadar Kahoon
Sadraan Kahoon
Tanuu Hairat Hairaan Kahoon
Tasleem Kahoon
Talveen Kahoon
Tmkeen Kahoon
Irfan Kahoon
Tanuu Sumbal Soo Sand Sard Kahoon
Tanuu Nargis Nafarman Kahoon
Tanuu Lale Adaagh Ta Bagh Kahoon
Gulzar Kahoon
Ustaan Kahoon
Tanuu Lale Adaagh Ta Bagh Kahoon
Gulzar Kahoon
Ustaan Kahoon
Tanuu Khanjar Teer Toofang Kahoon
Tanuu Barcha Baang Sanaan Kahoon
Tanuu Teer Fairang Kaamaan Kahoon
Soofar Kahoon
Beepan Kahoon
Bairang Kahoon
Bemisal Kahoon
Basurroot Har Har Aan Kahoon
Sukdoor Kahoon
Qudooos Kahoon
Rehman Kahoon
Subhan Kahoon
Aray Tobaa Dard Farid Sadaaa.... Har Shea Nu Par Nuksaan Kahoon
Tanuu Bohut Alag Be Aib Kahoon
Tanuu Haq Be Nam.nishaan Kahoon
Tanuu Bohut Alag Be Aib Kahoon
Tanuu Haq Be Nam.nishaan Kahoon
 
. .
Bulla, ki jaana main kaun
Bulla, ki jaana main kaun

Na main moman vich maseetan
Na main vich kufar dian reetan
Na main pakan vich paleetan

Na main andar bed kitaban
Na main rehnda bhaang sharaban
Na main rehnda mast kharaban

Na main shadi na ghamnaki
Na main vich paleetan pakeen
Na main aaabi na main khaki

Na main aatish na paun
Bulla ki jaana main kaun

Na main arabi na lahori
Na main hindi shehar nagaori
Na hindu na turk pashauri

Na main bhet mazhab de paya
Na main aadam hawwa jaya
Na koi apna naam dharaya

Avval-aakhar aap nu jana
Na koi dooja hor pacchana
Maithon na koi har syana

Bulle shauh Kharha hai kaun
Bulla ki jaana main kaun

==============

Not a believer inside the mosque, am I
Nor a pagan disciple of false rites
Not the pure amongst the impure
Neither Moses, nor the Pharaoh

Bulleh! to me, I am not known

Not in the holy Vedas, am I
Nor in opium, neither in wine
Not in the drunkard`s intoxicated craze
Niether awake, nor in a sleeping daze

Bulleh! to me, I am not known

In happiness nor in sorrow, am I
Neither clean, nor a ****** mire
Not from water, nor from earth
Neither fire, nor from air, is my birth

Bulleh! to me, I am not known

Not an Arab, nor Lahori
Neither Hindi, nor Nagauri
Hindu, Turk, nor Peshawari
Nor do I live in Nadaun

Bulleh! to me, I am not known

Secrets of religion, I have not known
From Adam and Eve, I am not born
I am not the name I assume
Not in stillness, nor on the move

Bulleh! to me, I am not known

I am the first, I am the last
None other, have I ever known
I am the wisest of them all
Bulleh! do I stand alone?

Bulleh! to me, I am not known
 
.
I wrote your name in the sky,
but the wind blew it away.
I wrote your name in the sand,
but the waves washed it away.
I wrote your name in my heart,
and forever it will stay.
 
.
Dil ney eik cheeze bari bahesh baha mangi hey,

Husen-e -Maghroor ki fitrat sey wafa mangi hey,

Maslehat hey key tawuja hey key sazish hey,

Eik dushman ney merey huq mein dhua mangi hey.
 
.
Muqadar mein jo sakhti thi, woh mur kar bi nahin nikli.

Lehadh khodi gaeye meeri, tu pathreli zameen nikli.
 
.

Pakistan Defence Latest Posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom