Zeeshi
FULL MEMBER
- Joined
- Mar 14, 2013
- Messages
- 156
- Reaction score
- 0
- Country
- Location
EME College, Rwp men munaqid hua NERC’14 jiska sab ko aur specially engineers ko pora saal intezar rehta hai. Har saal ki tarha is bar bhi competition ka difficulty level pehle se kai guna zyada tha. Event men total 67 teams ne qualify kiya jin ko 10 Leagues yani groups men divide kiya gya. Teams ka taluq in universities se tha:
* NUST EME (22 Teams)
* UET (20 Teams)
* GIKI (8 Teams)
* LUMS (8 Teams)
* University of Lahore (4 Teams)
* College of Aeronautical Engineering (2 Teams)
* COMSATS (1 Teams)
* Air University (2 Teams)
Event k pehle 4 din Heats chalti rahein jin men tamam leagues kay apas men qualifying rounds howay. 19th June ko Robo Wars hoen jin men Robots ki apas men fight karayi gayi aur ye maze se bharboor event tha.
NERC ka main event 21st June Satureday ko hua jab round of 16 se 8 teams ne Semi Finals k liye qualify kiya. Event
ki 8 best teams ek dosre kay aamne saamne thein or muqabla boht tough tha, har koi tayyar magar pressure men.
Maze ki bat ye kay sab teams EME se thein, is stage par jo 2 teams final men puhnchein, wo thein EME Tamatar or EME Jetjaguar.
Final boht dilshasp raha aur finally EME Tamatar ki team surprisingly jeet gayi. 3rd or 4th place ka match EME Victus ki team ne jeeta. Prize distribution se pehle different robots stage par apne funny or interesting harkaton se sab ko mehzooz krte rahe. Is kay ilawa videos kay zaraiye NUST EME kay different projects bhi dekhaye gaye jin men robots ko mukhtalif security related tasks karte howe dekhaya gaya.
Is event kay Chief Guest thay Cheif Logistics Pakistan Army jinhon ne winning prize apni taraf se donate kiya jo k 125,000/- tha. Event me es k elawa bhi mukhtalif teams ko different catagories men prizes diye gaye.
NERC’14 ne aik bar phir saabit kiya kay Pakistan ki youth kisi se peche nahi aur agar inko munasib wasail provide
kiye jain tou wo kuch bhi karne ki bharphoor salahiyat rakhti hen.
NERC'14 in EME College , Rawalpindi | Shashca | Youth Ka Newspaper