What's new

Poem:Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya

Pakistani

FULL MEMBER

New Recruit

Joined
Jun 1, 2007
Messages
10
Reaction score
0

Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya

Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.

Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.

Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.

Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya.

Mere jeevan ki her khushi main wohi tha bus.
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya
 
Nice, really nice.
reminds me of another old ghazal by Ghulam Ali:

Juzz tere koi bhi halaat najane mere
Tu kahan hai magar ay dost purane mere

Shama ki loh thi ke tu tha us hijr ki raat
Dair tak rota raha koi sarhane mere
Tu kahan hai magar ay dost purane mere...
 
well, if u guys are sharing poetry, then here's one from me(but not written by me:) )


ek pal mein, ek sadii kaa mazaa hum se puuchhiye
dau din kii zindagii kaa mazaa, hum se puuchhiye

bhuule hain unhein raftaa raftaa mudattoon mein hum
qistoon mein khudkushii kaa mazaa, hum se puuchhiye

aaghaaz-e-aashiqii kaa mazaa aap jaaniye
anjaam-e-aashiqii kaa mazaa, hum se puuchhiye

jalte diyoon mein, jalte gharoon jaise zau kahaan
sarkar raushnii kaa mazaa hum se puuchhiye

woh jaan hii gaye ke hamein un se pyaar hai
aankhoon kii mukhbarii kaa mazaa, hum se puuchhiye

hansne kaa shauq hum ko bhii thaa aap kii tarah
hansiye magar hansii kaa mazaa, hum se puuchhiye

hum taubaa kar ke mar gaye be-maut ai 'Khumar'
tauhiin-e-maikashii kaa mazaa, hum se puuchhiye
 

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom