H2O3C4Nitrogen
SENIOR MEMBER
- Joined
- Dec 3, 2007
- Messages
- 4,386
- Reaction score
- 0
zamana aya hai be hijabi ka aam dedar-e-yaar hoga
sukuut tha parda-dar jis ka wo raaz ab ashkaar hoga
guzar gaya ab wo dour saqi keh chup k peetay they peenay wale
banay ga sara jahan mekhana, har koi badakhwar hoga
diyar-e-maghrib k rehne walon khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tm samjh rahe ho wo ab zar-e-kam ayar hoga
nikal k sehra sey jis ney rooma ki saltanat ko palat diya tha
suna hai ye qudsion se main ne woh sher phir hoshiyar hoga
tmhari tehzeeb apney khanjar sey ap hi khudkushi karegi
jo shakh-e-nazuk pe aashiana baney na paidar hoga
safina-e-barg-e-gul bana leg qafila moor-e-natawan ka
hazar moujon ki ho kashaksh magar ye darya k paar hoga
khuda k aashiq tou hain hazaron banon main phirte hai mare marey
main uska banda banon ga jis ko khuda k bandon sey piyar hoga
main zulmat-e-shab main le k niklonga apney darmanda karwan ko
sharar fashan hogi aah! meri nafas mera shola baar hoga
na pooch iqbal[i/] ka thikana abhi wahi kefiyat hai uski
kahin sar-e-rahguzar baitha sitam kash-e-intezar hoga
_____________________________________________________________
Akbar Ilhabadi
Utha kar phaik do bahir gali me
Ke Nai tehzeeb ke anday hein ganday