What's new

MUSHAYARA

Rona tey ohdi Aadat si
Asi Awain dil nu laa baithey
oh nak poonjh k chali gayi
Asi nawaan rumaal ganwa baithey:D
 
.
Chardey Suraj dhaldey waikhey
Bujhey deevey baldey waikhey

Heerey da koi mull na taarey
khotey sikkey chaldey waikhey

Jinna'n da nai jag tey koi
O v puttar paldey waikhey

Ohdi rehmat dey naal bandey
Paani uttey chaldey waikhey

Loki kehndey daal nai galdi
mein tey patthar galdey waikhey
 
.
is shahar-e-kharabi mein gam-e-ishq k mare
zinda hain yahi bat bari bat hai pyare

ye hansta hua chand ye purnur sitare
tabinda-o-painda hain zarron k sahare

hasrat hai koi guncha hamein pyar se dekhe
arman hai koi phul hamein dil se pukare

har subah meri subah pe roti rahi shabnam
har *** meri *** pe hanste rahe tare

kuch aur bhi hain kam hamein ai gam-e-janan
kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanware

(Habib Jaalib)
 
.
aao k ajj khatam howi dastaan e ishaq
abb khatam e ashaqi k fasaane sunaye hum
 
.
Mujay Mooj-zoohN pay yaqueeN Nahi magaar arzoo hay kay jab kazaah
Mujay buzm-e-Dahr say lay cha’ley
Toh pher aik bar yeh azaaN daiy
Kay La’haad say loo’T kay aha’sakooN
Ta’ray der pay aah kay sa’dah karooN
Tuj’hay ghum’ghaar key hoo Taa’lab to Taa’ray haa’zoor maiN aah’ra’hooN
Yaih nay hoo toh soo’ay rah Aa’dam maiN pher aik bar rawa’naah hooN

A Wish
I do not believe in miracles
But I wish that when death carries me away
from the domains of time and space,
It should allow me just once
to return from the grave
and knock at your door and ask,
If you need someone to share your grieves
Here I come
And if you do not have such desire,
I may once again travel to the other world.
 
.
Dekhi jo nabaz meri to ek lamha sooch kar,
Kaghaz liya aur ishq ka bimaar likh diya,
Sadkay q na jawoon mai aisey tabeeb par,
Nuskhey pe jis ne SHARBAT-E-DEEDAR likh diya...
 
.
.
.
jeene ki kashmakash mein na bekar daliye

mein one liner hun mujhe maar daliye

ye moamla naqad kijiey na udhar daliye

poston ko meri lejyie, achaar daliye

kuch forum ka ho bhala to kuch members ka bhala

kuch qoum ka bhala ho to neighbours ka bhala

ya RAB zamana mujhko mitata hai kis liye

har shakhs mujhko Ankh dikhata hai kis liye

aap bhi to hissa lijiey do chaar daliye

haathon se ya zubaan se wo maar daliye

ronay bhi naa dijiey sarkar daliye

mein one liner hun mujhe maar daliye​
 
.
nigahooun kay tasadam say ajab takrar karti hai
yakeen kamil nahen hai laikan guman hai pyar karti hai


laraz jata houn yeh souch kay kafir ho na joun
tabeat os ki poja k lyay bra esrar karti hai


osay maloom hai shaid mera dil hai nashaanay per
laboun say kuch nahee kehti nazar say waar karti hai
 
.
Hajoom-e-Gham meri Fitrat badal nai sakta
Karo me kia,Meri adat he muskurany ki


My nature cannot change despite being surrounded by sorrow.What can i do, icant let go the habit of smiling.
 
.
Jugnoo ko din ke waqt parkhnay ki zid kariye
Bachay hamaray ehd ke chalak ho gai

Daim abad rahe gi ye duniya
hum na hongay na husa koi ho ga

Parveen Shakir
 
. .
Seene mein jalan, aankhon mein toofan sa kyun hai,
is shaher mein har shakhs pareshaan sa kyun hai.

Kyaa koi nayi baat nazar aati hai mujhme,
aaina hamein dekh ke hairaan sa kyun hai.
 
.
.
.
jeene ki kashmakash mein na bekar daliye

mein one liner hun mujhe maar daliye

ye moamla naqad kijiey na udhar daliye

poston ko meri lejyie, achaar daliye

kuch forum ka ho bhala to kuch members ka bhala

kuch qoum ka bhala ho to neighbours ka bhala

ya RAB zamana mujhko mitata hai kis liye

har shakhs mujhko Ankh dikhata hai kis liye

aap bhi to hissa lijiey do chaar daliye

haathon se ya zubaan se wo maar daliye

ronay bhi naa dijiey sarkar daliye

mein one liner hun mujhe maar daliye​



Main Ne Majnu Pe Ladakpan Mein 'Asad'
Sang Uthaya Tha Ke Sar Yaad Aaya
 
.
This is Great Poem by Anwar Masood on 'Mother'.

It is in Punjabi

 
Last edited by a moderator:
.
MASJID mein baith ke PEENE de GHALIB
ya woh jagah dikha de jahan KHUDA na ho...


this one is one of my favorites...

masjid khuda ka ghar he peenay ki jaga nahi
kafir k dil me ja wahan per khuda nahi!!

thats an oft quoted combination of ghalib n iqbal!!
 
.

Latest posts

Pakistan Defence Latest Posts

Back
Top Bottom