What's new

meri piyari zuban.......!

Maana Keh Iss Zameen ko na Gulzaar ker Sakey
Kutch Khaar kum ker Gaye, Guzrey Jidhar sey hum
 
Main k phir dasht-e-rafaqat ka safar kar aaya
kia kahoon kaisi aziyat say guzar aaya!!
 
kisi ke sath mein aur dil kisi ke sath raha
ajab mazaaq meri zindagi ke sath raha


kamal-e-zabt tha mera woh ya muqadar tha
kinar-e-aab bhi ju tashnagi ke sath raha

woh aik dukh jisay door chor aya tha
tamaam umer meri zindagi ke sath raha

jo dil mein baat thi hontoon se kis tarha
mein in ki bazm mein ik bebasi ke sath raha

abb in mein aa ke darinday bhi ho gaye shamil
abb admi bhi kahan admi ke sath raha

hansa to ankh se ansoo nikal parhay
hamesha ghum koi meri khushi ke sath raha
 
vo koii aur na thaa chand Khushk patte the
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the


abhii abhii tumhen sochaa to kuchh na yaad aayaa
abhii abhii to ham ek-duusare se bichhare the


tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii
kalii kalii mein Khizaan ke chiraaG jalate the

tamaam umr vafaa ke gunaah gaar rahe
ye aur baat ki ham aadamii to ache the


shab-e-Khaamosh ko tanhaaii ne zaban de dii
pahar gunjate the dasht san_sanaate the

vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar
jo zindagii se gurezan the roz marate the



naye Khayaal ab aate hain Dhal ke zahan mein
hamaare dil mein kabhii khet lah_lahaate the

ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane mein
puraane log naye aadamii se Darate the

'Nadeem' jo bhii mulaaqaat thii adhurii thii
ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the
 
zahanaton ko kahan karb se farar mila
jise nigaah milii usako intazaar mila


vo koii raah kaa patthar ho yaa hasiin manzar
jahan se raastaa Thaharaa vahiin mazaar mila


koii pukaar rahaa thaa khulii fizaaon se
nazar uthaaii to chaaro taraf hisaar milaa

har ek saans na jaane thii justajuu kis kii
har ek dayaar musaafir ko bedayaar milaa

ye shahar hai ki numaish lagii huii hai koii
jo aadamii bhii milaa banake ishtahar milaa
:undecided:
 
Main k phir dasht-e-rafaqat ka safar kar aaya
kia kahoon kaisi aziyat say guzar aaya!!

... addition..

har koi hum say mila umar-e-gurezan ki tarha
woh to jis dil say bhi guzra, wohin ghar kar aaya

tum nay ek sang uthaya mere aainay par
aur har shakhs ko main aaina gar kar aaya

mujh say kya poochtay ho shehar-e-wafa kaisay hai
aisay lagta hai salibon say uttar kar aaya

siruf chehray hi agar karab kay aainay hain
kyun na main dil ka lahoo aankh mein bhar kar aaya

ab jo is shehar ki taqdeer ho, main to logo
dar-o-deewar peh hasrat ki nazar kar aaya

hum to samjhay thay muhabbat ka peyambar hai pkpatriotic
aur woh be-mehar bhi toheen-e-hunar kar aaya
 
merey tan k zakham na gin, meri ankh mein abhi noor hai
merey bazoun pe nigah kr, jo ghroor tha wo ghroor hai
abhi razmgah k darmian , hai mera nishan khula hoa
abhi taza dam hai mera lahoo, naey markoon pe tulla hoa
soo merey ghaneem na bhool tu, k sitam ki shab ko zawaal hai
tera jabro-zulm bla sahi , mera hosla bhi kamaal hai
LOVE PAKISTAN AND BE A PROUD NATION
 
Bezerk
Can't see image in your posts.

Can you people write the poet's name with the poetry (if you know about it)
 

Latest posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom