What's new

Han jee!!

EagleEyes

ADMINISTRATOR
Joined
Oct 3, 2005
Messages
16,774
Reaction score
25
Country
Pakistan
Location
United States
Han bhai.. idea kesa hai? Neo explain kero bhai apna idea.

Ya forum to ab gaya.. :lol:
 
.
Idea to chunga hai but english main ya urdu main discuss karain!
 
.
Khwateen wa hazraat,

Do saal aur teen mah ki mussalsal jid-o-jahad aur aap kay taw'won aur bharpoor mehnet aur shamooliyat kay baad aaj hum aapko ek anokhi section paish kar rahe hain.

Defence.pk ki janib se aap sab kay liye Urdu section Gupshup Maro aap ke liye hazir hai.

Yahan aap Urdu zuban mai har mazmoon par baat kar sakein ge aur apni chat patti baton mein hamein bhi shamil kareinge ;)

Defence.pk is proud to make history as first Pakistani bi-lingual forum with a dedicated Urdu section. :enjoy:

Congrats to all :pakistan:
 
. . . .
Is section a aghaaz aaj ek taranay se shuruh kartay hain.
Amanat Ali ki awaaz main suniye "Ae Watan piyaaray watan".

[youtube]
 
Last edited by a moderator:
. . .
Yar urdu mein baat karney ka maza tu tab hi aye ga jab hum urdu ki asli script use karien - yaani Nasta'liq script. Kisi tarhan urdu mein likhney ki feature (urdu word nahi aata mujhey iss key liye) daal do tu bari baat hogi. Roman script mein woh baat nahi jo asli urdu alfaaz mein hoti hai.

Chalo, kam say kam log apni madri zaban mein baat cheet tu kar sakein gay.
 
.
Urdu Editor Softwere kay na istemaal ki wajeh yeh hai ke Urdu zubaan bohot loag bol to saktay hain magar Urdu parhnay ki silahiyet sab ko nahi.

Kisi ne sach hi kaha hai ke "Zunab-e-Urdu shirin ast", bolnay ka maza hi kuch aur hai! :smitten:
 
.
Mein nay pichley paanch saal mein shayad 5 sey kum dafa urdu likhi ya pari hogi. Meray khayal mein mien urdu parhney ki silahiyat kho behtoon ga jaald hi. Jo kay bari afsoosnak aur sharmnak baat hai. Yahan agar urdu mein posting hoti, tu shayad urdu parhney ki adaat parh jati :P
 
.
Urdu likhnay ya urdu akhbaraat se quote karnay par koi mumaniyet nahin, jo likhna hai likh do. :enjoy:
 
.
Urdu Editor Softwere kay na istemaal ki wajeh yeh hai ke Urdu zubaan bohot loag bol to saktay hain magar Urdu parhnay ki silahiyet sab ko nahi.

Kisi ne sach hi kaha hai ke "Zunab-e-Urdu shirin ast", bolnay ka maza hi kuch aur hai! :smitten:

Haan, aankhon aur dimaagh ka dard bhi parhnay walon ko hi hota hai!:undecided:
 
.
بوحت اچحا لعکین یہ سعکھنے معین زرا وقت لگے گا۔ جو شکس اس ترھان لھکنا چھاے وھ اس وعب ساعٹ پر جا سکتا ے۔

TypeUrdu.com - Type in Urdu - Urdu Phonetic Keyboard
 
.

Latest posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom