What's new

Ghazlein

Kabhi thak ke so gaye hum kabhi raat bhar na soye
Kabhi hans ke moonh chupaya kabhi moonh chupa ke roye,

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye
Mere azmany walay mujhy azma k roye,

Shab-e-ghum ki ap beeti jo sunayee anjuman main
Kaye sun k muskuraye, kaye muskura ke royee,

Main hoon be-watan Musafir mera naam be-kasi hai
Mera koi bhi nahi hai jo galy laga ke royee,

Mere pas se guzar kar mera haal tak na poocha usne
Main yeh kaisy maan jaon ke mujhse wo door ja ke royee . . !


 
beautiful ghazlain sir jee........... now please post all your poetry in this thread only and not create another thread. (I guess you have created 2 threads already).

Nice poetries and keep up the good work - waiting for more :D
 

Latest posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom