kumarkumar1867
BANNED
- Joined
- Apr 5, 2012
- Messages
- 924
- Reaction score
- 0
Jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ?
Kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?
Raat din gardish meiN haiN saat aasmaaN
Ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?
Laag ho to usko ham samjhaiN lagaav
Jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?
Ho liye kyuN naamaabar ke saath-saath ?
Yaar! apne KHat ko ham pahuNchaayaiN kya ?
Mauj-E-KHooN sar se guzar hee kyuN na jaaye
Aastaan-E-yaar se uTh jaayaiN kya ?
Umr bhar dekhaa kiye marne kee raah
Mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya ?
Poochchte haiN woh K ‘GHalib’ kaun hai ?
Koee batlaao K ham batlaayaiN kya ?
Aare ye kyaa main toh Aaap ka comparison Santa se kar raha tha jo apni hoshiyaari se bina-wajah logo ko dushmann banaakar ke khud ko hoshiyaar samajhta hai aur dusro ko bewkoof.
And aap toh Ghalib ban rahi hai
Ye suno Ghalib ko :
Ye Na Thee Hamaaree Qismat Ke Wisaal-E-Yaar Hota
Agar Aur Jeete Rehte Yahee Intezaar Hota
Tere Waade Par Jiye Ham To Ye Jaan Jhoot Jaanaa
Ke Khushee Se Mar Na Jaate Agar Aitabaar Hota
(Mirza Ghalib)