What's new

Urdu & Hindi Poetry

.
SUNOOZAAREPIRSOOCHLOO.jpg
 
.
5.png



Fatima Bint Abdullah
Arab Larki Jo Tarablas Ki Jang Mein Ghaziyon Ko Pani Pilati Huwi Shaheed Huwi
(1912)

Fatima! Tu Abroo-e-Ummat-e-Marhoom Hai
Zarra Zarra Teri Musht-e-Khak Ka Masoom Hai


Fatima, you are the pride of the Community ‐God bless it!
Your dust is holy, every particle of it.

Ye Sa’adat, Hoor-e-Sehrayi! Teri Qismat Mein Thi
Ghaziyan-e-Deen Ki Saqqayi Teri Qismat Mein Thi


You, houri of the desert,were fated to win such merit!
To give the soldiers of Islam water to drink was to be your good fortune.

Ye Jihad Allah Ke Raste Mein Be-Taegh-o-Sipar
Hai Jasarat Afreen Shauq-e-Shahadat Kis Qaddar


A jihad in the way of God, waged without sword or shield!
What courage the love of martyrdom gives!

Ye Kali Bhi Iss Gulistan-e-Khazan Manzar Mein Thi
Aesi Chingari Bhi Ya Rab, Apni Khakstar Mein Thi


O that in our autumn‐stricken garden there were flower‐buds like this!
O that a spark like this, dear Lord, could be found in our ashes!

Apne Sehra Mein Bohat Aahu Abhi Poshida Hain
Bijliyan Barse Huway Badal Mein Bhi Khawabida Hain!


In our desert many deer still hide! and in the spent clouds
Many flashes of lightning still lie dormant!

Fatima! Go Shabnam Afshan Ankh Tere Gham Mein Hai
Naghma-e-Ishrat Bhi Apne Nala-e-Matam Mein Hai


Fatima, though our grieving eyes weep tears like dew over you,
Our dirge is also a celebration song.

Raqs Teri Khak Ka Kitna Nishat Angaiz Hai
Zarra Zarra Zindagi Ke Souz Se Labraiz Hai


How thrilling is the dance of your dust,
Every atom of which is charged with life.

Hai Koi Hangama Teri Turbat-e-Khamosh Mein
Pal Rahi Hai Aik Qoum-e-Taza Iss Aghosh Mein


There is stirring in your quiet grave:
Within it a new nation is being reared.

Bekhabar Hun Gharche Un Ki Wusaat Se Mein
Afreenash Dekhta Hun Un Ki Iss Marqad Se Mein


Though I know nothing of the range of its ambition,
I see them spring to life from this tomb.

Taza Anjum Ka Faza’ay Asman Mein Hai Zahoor
Didah’ay Insan Se Na-Mehram Hai Jin Ki Mouj-e-Noor


New stars are appearing in the sky above,
Stars whose rolling waves of light have not been seen by the eyes of man;

Jo Abhi Ubhre Hain Zulmat Khana’ay Ayyam Se
Jin Ki Zou Na Ashna Hai Qaid-e-Subah-o-Sham Se


Stars just risen out of the dark dungeon of time,
Stars whose light is not hostage to day and night;

Jin Ki Tabani Mein Andaz-e-Kuhan Bhi, Nau Bhi Hai
Aur Tere Koukab-e-Taqdeer Ka Parto Bhi Hai


Stars whose radiance is both old and new,
And partakes of the splendor of the star of your destiny too.
 
.
Dasht to dasht hain
Darya bhi na chhore hum ne
Bahr e zulmaat mein
Dhaura diye ghore hum ne

Safah e dahar se
Batil ko mitaya hum ne
Nau e insan ko
Ghulami se chhoraya hum ne..


Shikwa (Allama Iqbal)
 
.
Na cherr aiy nighatay baaday bahari rah alag apni

Tujhay athkelian sujhi hein ham bezaar bethay hein



My reply .........


Inhi athkeliyon se jeet lein ge naam O dil unka

Isi baaday bahari ko ham apni rah laga lein ge
 
. . .
" Be'Nishan Manzilon K Safar Py Niklo Gay TO Jano Gay"
"WASI"
" Dillon k Musafir Kyun Raat Ko Sona Bhool Jatay Hain............!

Na Zameen Hai Meri Qarar'gaah Na Falaq Hai Manzil-E-Azaab-E-Dil!!!

Bari Dair Se Hai Safar Mera, Teri Yaad Se Teri Yaad Tak...!!!


"Tum laut k anay ka Takalluf mat karna "
~
~
"Hum Ek Muhabat ko Dobara Nahi Karty"

Apne Liye Bas Ek Yaad-E-Muhhabbat Hii Bahot Hai..
Hum Koi Bhi Galati Ho Dobara Nahii Karte..
Jab Tak Woh Salamat Hai Adawat Ka Maza Hai..
Dushman Ko Bhi Hum Jaan Se Maara Nahii Karte!!!

Ik naksh bhi idher se udhar na hone
pae...!
Mein jaca tujhe mila tha mujhe weca juda
kar...!

Meray Wajood Se Shayed Milay Suraagh Tera ..
Kabhi Mai Khud Ko Teray Wastay Talaash Karoon ... !!
 
. .
~Ye Jo Refakaton Ki Khuwahesh Me Dill_E Muntazir Hai Para Huwa............
~ ~ ~
~Isy Kiya Khabar K Jodaeeyon K Azab Ketny Shaded Hain...................
 
.
Itani Mayassar nahi aaj iss maikhaane mein ....
Jitani kabhi hum chor diya karte the paimaane mein

Itani Mayassar nahi aaj iss maikhaane mein ....
Jitani kabhi hum chor diya karte the paimaane mein
 
.
Tum shariyat kay takazon ke baat kertay ho
Ham nay nangay jismon ko malboos e haya dekha hai
Dekhay hain ham nay ahraam main liptay kae iblees
Ham nay me khanay main kae baar khuda dekha hai

Dr. Allama Muhammad Iqbal......
 
.
Taj Tere Liye Ek Mazhar-e-Ulfat hi Sahi
Tujh ko Is Waadi-e-Rangeen si Aqidat hi Sahi

Mere Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujh se

Bazm-e- Shaahee mein Ghareebon ka Guzar Kya Maani ?
Sabt Jis Raah pe Ho, Satvat-e-Shaahee ke Nishaan
Us pe Ulfat Bhari Roohon ka Safar Kya Maani ?
Mere Mehboob, Pas-e-Parda-e-Tashheer-e-Wafaa

Mere Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujh se

Toone Satvat ke Nishaanon ko To Dekha Hota
Murdaa Shaahon ke Maqaabir se Bahlne wali
Apne Tariq Makaanon ko To Dekha Hota

Mere Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujh se

Unginat Logon ne Duniyaa mein Muhobbat Ki Hai
Kaun Kahtaa Hai Ki Saadiq Na Thhe Jazben Unke
Lekin Unke Liye, Tashheer ka Saamaan Nahi
Kyon ki Woh Log bhi Apni hi Tarah Muflis Thhe

Mere Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujh se

Yeh Immarat-o-Maqaabir, Yeh Faseelen, Yeh Hisaar
Mutlaq-Ul-Hukm, Shahenshaahon ki Azmat ke Satoon
Daaman-e-Dahar pe, Us Rang ki Gulkaari Hai
Jis mein Shaamil Hai, Tere Aur Mere Ajdaad Ka Khoon

Mere Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujh se

Mere Mehboob, Unhen Bhi To Muhobbat Hogi
Jinki Sannayee ne Bakshi Hai Ise Shaql-e-Jamil
Unke Pyaaron ke Maqaabir rahen Benaam-o-Numood
Aaz Tak Un pe Jalaayee Na Kisi ne Qandeel

Mere Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujh se

Yeh Chamanzaar, Yeh Jamauna Ka Kinaaraa, Yeh Mahal
Yeh Munakkash Dar-o-Deewaar, Yeh Mahraab, Yeh Taaq
Ek Shahenshhan ne Daulat ka Saharaa Le kar
Hum Ghareebon ki Muhobbat ka Udayaa Hai Mazaaq

Mere Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujh se
 
. .
yay mehr-e-tabaan say ja kay keh do, wo apni kirnon ko ginn kay rakhay...
main apnay sehraa kay zarry zarry ko, khud chamakna sikhaa raha hoon....
 
.
Back
Top Bottom