What's new

meri piyari zuban.......!

Kisi Ke Pyar ko bhulana Na Aaya !!

Kisi Ke Dil ko dukhana Na Aaya !!

kisi Ki Yaad Mein Tarpna Tu Sikh Liya Hum Ne !!


Per Apni Yaad Mein Kisi Ko Tarpana Na Aaya !!:angel:
 
.
Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha

Kal phool bhi nikhre nikhre the
Kal un main tumhara aqs bhi tha

Kal baadel kaley gehrey the
Kal chand pe lakhon pehrey the

Kuch tukrey tumhari yadon ke
Barhi der tak dil main thehrey the

Kal yadain uljhi uljhi theen
Aur kal tak yeh na suljhi theen

Kal yaad boht tum aye the
Kal yaad boht tum aye the.
 
. .
Apni baten , Apni yaden le kar jana BHOOL GAYA....
jane wala jaldi men tha mil kar jana BHOOL GAYA....

Mur mur kar dekha tha usne jate raste men
Jese usne, kehna tha kuch, jo woh kehna BHOOL GAYA....

Waqt-e-Rukhsat mere aansoo ponch raha tha aanchal se
Usko gham tha itna ziada khud woh rona BHOOL GAYA....

Waqt ka behte dhaare men, kaisi hum ne ghaflat ki thi
men bhi kehna BHOOL GAYA THA, Woh bhi rukna BHOOL GAYA....


although it is sad but i like it :)
 
.
bas ik jhijhak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
ke teraa zikr bhii aayegaa is fasaane me.n :undecided:

baras pa.Dii thii jo ruKh se naqaab uThaane me.n
vo chaa.Ndanii hai abhii tak mere Gariib-Khaane me.n :smitten:

isii me.n ishq kii qismat badal bhii sakatii thii
jo vaqt biit gayaa mujh ko aazamaane me.n

ye kah ke TuuT pa.Daa shaaKh-e-gul se aaKhirii phuul
ab aur der hai kitanii bahaar aane me.n
:confused:

Kaifi Azmi
 
.
bujh gayaa dil hayaat baaqii hai
chhup gayaa chaa.Nd raat baaqii hai

hal-e-dil un se kah chuke sau baar
ab bhii kahane kii baat baaqii hai

raat baaqii thii jab vo bichha.De the
kaT ga_ii umr raat baaqii hai

ishq me.n ham nibhaa chuke sab se ai 'Khumar'
bas ek zaalim hayaat baaqii hai
:tsk:

Khumar
 
.
bolaa dukaan_daar ke kyaa chaahiye tumhe.n
jo bhii kahoge merii dukaan par vo paa_oge

mai.n ne kahaa ke kutte ke khaane kaa 'cake' hai
bolaa yahii.n pe khaa_oge ---yaa.N leke jaaoge?
:rofl::bunny:

Sagar Khaiyyami
 
.
pyaar mujhase jo kiyaa tumane to kyaa paaogii
mere haalat kii aa.ndhii me.n bikhar jaogii


ra.nj aur dard kii bastii kaa mai.n baashindaa huu.n
ye to bas mai.n huu.n ke is haal me.n bhii zindaa huu.n
khvaab kyuu.n dekhuu.n vo kal jisape mai.n sharmindaa huu.n
mai.n jo sharmindaa huaa tum bhii to sharamaaogii


kyU.n mere saath koi aur pareshaan rahe
merii duniyaa hai jo vIraan to vIraan rahe
zindagii kaa ye safar tumako to aasaan rahe
hamasafar mujhako banaogii to pachhataaogii


ek mai.n kyaa abhii aaye.nge dIvaane kitane
abhii gU.njege muhabbat ke taraane kitane
zindagii tumako sunaayegii fasaane kitane
kyU.n samajhatii ho mujhe bhuul nahii paaogii


Javaid Akhtar
 
.
dd1508043ddc515e1a5af960ee1256c3.jpg
 
.
Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai:smitten:
Terey Ehssaas Say Mohabbat Ki Hai

Tu Merey Pass Nahin Hai Phir Bhi
Teri Yaad Say Mohabbat Ki Hai

Kabhi Tu Nay Bhi Mujhay Yaad Kya Ho Ga
Main Nay Un Lamhaat Say Mohabbat Ki Hai

Jin Main Ho Sirf Teri Aur Meri Baatain
Main Nay Un Auqaat Say Mohabbat Ki Hai

Aur Jo Mahekay Ho Sirf Teri Hi Mohabbat Say
Main Nay Un Jazbaat Say Mohabaat Ki Hai

Tujh Say Milna Tu Ab Khuwaab Sa Lagta Hai ???
Mohsin Nay Terey Intezaar Say Mohabbat Ki Hai
:smitten:
 
.
ye kya bat hoi bhai shab

Mohsin Nay Terey Intezaar Say Mohabbat Ki Hai

mughy or bhi kam hty hai
 
.
Paanhee khooay tay chal parhyay
Jind saadee tunh kad layee vay maahiya
Khalee hadiyaan nonh kee kariyay :cheesy:

Chamailee da phhul maahiya
Aaprnay dil dee gaddee ich
Sanoon pa kay jul maahiya
:azn:


Mosam Tairey aawan Naal
Mosam Tairey Jawan Naal


Banda Kala Rah janda aaey
buhtey yaar banawan naal

pahli gal vi nahi rahandi
bohti gal wadawan naal

shah g O hor yaad aaway ga
roz roz pulawan naal
:cool:
 
.
Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay
Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay
Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai
Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay

Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon
Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay
Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say
Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay

Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main
Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay
Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain?
Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay

Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni
Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay.....
Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain,,
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay

Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon
Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay.........
Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main
Main Laut-ta Hoon To Chaaon Nikal Rakhti Hay
 
.
ye kya bat hoi bhai shab

Mohsin Nay Terey Intezaar Say Mohabbat Ki Hai

mughy or bhi kam hty hai

'Ashiq' tu aisey he hotey hein jo her haal, her khial, aur ada sey mohabbat ka bahana dondhtey hein..............as Ghalib saying; Dil key behlaney ku Ghalib yeh khial achaa hey :azn::coffee:
 
.
'Ashiq' tu aisey he hotey hein jo her haal, her khial, aur ada sey mohabbat ka bahana dondhtey hein..............as Ghalib saying; Dil key behlaney ku Ghalib yeh khial achaa hey :azn::coffee:

Ab lagta hai ashiqoon k liye bhi aik jail banani pary ge :P
 
.
Back
Top Bottom